2012
Shikshan Bhent, Mukti ka ek Kaarye
December 2012


Shikshan Sandesh Bhent, December 2012

Shikshan Bhent, Mukti ka ek Kaarye

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Sahayak Sanstha ka mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Shikshan bhent mahilaaon ko dekhrekh karne, mazboot karne, aur sikhlane ka mauka deti hai—yeh zaroor se mukti ka kaarye hai. Shikshan bhent ke zariye, bahanein Uddhaarkarta ke liye kaarye karti hai aur mahilaaon ko anant jiwan ke ashirvaadon ke liye tayyaari karne mein madad karti hai.

“Hamein ‘chetaoni, prachaar, dabaao daalkar, aur shiksha, aur nimantran se [auron] ko Masih tak laana hai’ (D&C 20:59), jaise Prabhu ne apne praktikaranon mein kaha hai,” Pradhaan Spencer W. Kimball ne kaha (1895–1985). Usne, yeh bhi kaha, “Tumhari gawahi ek badhiya zariya hai prachaar ka.”1

Jab hum shikshan shikshak ke rup mein khud se susamachaar ki sachchaai ka gyaan badhate hai, tab hamare gawahi mazboot hote aur hum un bahanon ki sahayta karte hai jo baptisma aur swikriti paane ki tayyaari kar rahe hai. Hum naye sadasyon ko madad karte hai susamachaar mein pure rup se ghulne mein. Hamare bhentvarta aur prem madad karte hai unhe “waapas laane mein jo maarg se bhatak gaye hai [aur] unki gawahi ko mazboot karein jo kamzor hai susamachaar mein.”2 Aur hum bahanon ko protsaahit karte hai Masih ke kareeb aane ke liye mandir jaane dwara.

“Tum aatmaaon ko bachane ja rahe ho,” Pradhaan Kimball ne bhent shikhsakon se kaha, “aur ho sakta hai ki aaj ke jo chust log Girjaghar mein hai woh chust hai kyunki tum unke gharon mein gaye aur unhe ek naya nazariya diya, ek nayi drishti. Tumne unhe unjaane baaton ko samjhaya. Tumne unke seemaaon ko badhaya. …

“Dekho, tum yahan sirf bahanon ko bacha nahin rahi ho, balki shaayad unke pati aur gharon ko bhi.”3

Dharamshaastra mein se

Doctrine and Covenants 20:59; 84:106; 138:56

Hamare Itihaas Se

Jab Bhavishyevakta Joseph Smith ne Sahayak Sanstha ki sthaapna ki thi, usne kaha tha ki mahilaaon ko sirf gareebo ki dekhbhaal nahin karni hai magar aatmaaon ko bachana hai. Usne yeh bhi sikhaya ki Girjaghar ki mahilaaen zaroori bhumikaaen nibhati hai Swarg ke Pita ke mukti ki yojna mein.4 Bhavishyevakta Joseph Smith ke sikhlaye sidhaanton dwara sikhlaye gaye, hum Sahayak Sanstha ki bahanein saath milkar mahilaaon aur unke parivaaron ko Parmeshwar ke mahaan ashirvaadon ke liye tayyaar kar sakte hai.

“Hamein ek dusre par daya karni chahiye,” Pradhaan Brigham Young ne kaha (1801–77), “aur [woh jo] balwaan hai kamzoro ko balwaan banaye, aur jo dekh sakte hai woh andho ko raah dikhaae jab tak woh khud raah na dekh sake.”5

Vivaran

  1. Spencer W. Kimball, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) mein, 116.

  2. Eliza R. Snow, Daughters in My Kingdom mein, 83.

  3. Spencer W. Kimball, Daughters in My Kingdom mein, 117.

  4. Dekhiye Joseph Smith, Daughters in My Kingdom mein, 171–72.

  5. Brigham Young, Daughters in My Kingdom mein, 107.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Sahayak Sanstha kaise mujhe anant jiwan ke ashirvaadon ke liye tayyaar karti hai?

  2. Main kya kar sakti hoon apne bahanon ke vishwaas ko badhane ke liye?