2013
Prabhu Par Parivartit
February 2013


Shikshan Sandesh Bhent, February 2013

Prabhu Par Parivartit

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Girjaghar ke naye bahanein—jismein shaamil hai Jawaan Mahilaaen jo Sahayak Sanstha mein daakhil ho rahi hai, bahanein jo sakriye ho rahi hai, aur naye parivartit log—ko bhent shikshakon ki sahayta aur dosti ki zaroorat hoti hai. “Sadasyon ki upasthiti zaroori hai parivartit logon ko saath rakhne ke liye aur kam-sakriye sadasyon ko waapas laane ke liye,” kaha Elder M. Russell Ballard ne jo Barah Devduton ke Parishad ke hai. “Us drishti ko yaad rakho jismein Sahayak Sanstha … [ek] shaktishaali zariya ban sakti hai mel milaap ka Girjaghar mein. Jald hi sikhne waalon aur phir se chust kiye jaane waalon se meljol badhaao, aur unhein prem se Girjaghar mein laao apne sanstha dwara.”1

Sahayak Sanstha ke sadasye ke rup mein, hum naye sadasyon ko madad kar sakte hai Girjaghar ke mul kriyaon ko sikhne mein, jaise:

  • Bhaashan dena.

  • Gawahi bayaan karna.

  • Upwaas ke niyam ko jina.

  • Daswa Hissa bharna aur anye bhent dena.

  • Pariwaar itihaas kaarye mein bhaag lena.

  • Mrit purvajon ke liye baptisma aur swikriti ke vidhiyon mein bhaag lena.

“Satark doston ki zaroorat hai naye sadasyon ko girjaghar mein achcha aur amantrit mehsoos karwane ke liye,” kaha Elder Ballard ne.2 Hum sabhi, magar khaaskar bhent shikshak, ke paas avashyak zimmedaari hai dosti badhaane ki naye sadasyon ke saath taaki woh unhein achchi tarah “Prabhu ki or parivartit” kar sakein (Alma 23:6).

Dharamshaastra mein se

2 Nephi 31:19–20; Moroni 6:4

Hamare Itihaas Se

“Kyunki parivartit huwe logon ki maatra badhti jaati hai,” Pradhaan Hinckley (1910-2008) ne kaha, “hamein aur zyaada koshish karni chahiye unhein sahayta dene ki jab woh safar par nikalte hai. Sabhi logon ko teen cheezon ki zaroorat hoti hai: ek dost, ek zimmedaari, aur ‘Parmeshwar ke achche shabd’ dwara poshan’ (Moroni 6:4).”3

Bhent shikshak aysi jagah par hai ki woh jinka poshan karte unhein sahayta de sakte hai. Dosti aksar pehle aati hai, jaise ek jawaan Sahayak Sanstha bahan ke saath hua jo ek buzurg bahan ki bhent shikshak thi. Unhonne bahut der lagaya dosti badhane mein jabtak ki woh ek safaai karne ke kaam mein saath na hui. Woh dost ban gaye, aur jab woh Shikshan Sandesh Bhent ke baare mein charcha karne lage, un donon ne “Parmeshwar ke achche shabd” se badhanti paaye.

Pradhaan Joseph Fielding Smith (1876-1972) ne kaha Sahayak Sanstha “is dharti par Parmeshwar ke raajye ka ek mahatvapurn bhaag hai aur … apne vishwaasi sadasyon ko madad karta hai Pita ke raajye mein anant jiwan paane ke liye.”4

Vivaran

  1. M. Russell Ballard, “Members Are the Key,” Liahona, Sept. 2000, 18.

  2. M. Russell Ballard, Liahona, Sept. 2000, 17.

  3. Gordon B. Hinckley, “Every Convert Is Precious,” Liahona, Feb. 1999, 9

  4. Joseph Fielding Smith, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) mein, 97.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kya main apne saathi ke liye prarthna karti hoon aur Aatma se niwedan karti hoon ki woh hamare saath rahe jab hum bahanon se bhent karein?

  2. Kin tarikon se hum har ek bahan ki sewa kar sakte hai taaki woh jaane hum uske baare mein hriday se parwaah karte hai?