2013
Atma-Nirbharta
September 2013


Shikshan Sandesh Bhent, September 2013

Atma-Nirbharta

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Atma-nirbhar chamta, vaada, aur bal pradaan karta hai humare aur humare parivaaron ke dhaarmik aur sharirik achchaai ke liye.1

Jab hum atma-nirbhar ke mul ko apne gharon aur sangathanon mein sikhtey aur prayog kartey hai, hum aosaron ko sikhtey hai gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karne aur dosron ko atma-nirbhar banne mein madad karte hai taaki weh durbhaagye ke samay ant tak jhel sakein.

Humare paas saobhaagye aur zimmedaari hai apne kaarye ke istemaal se atma-nirbhar banne mein dhaarmik aur sansaarik taur se. Dhaarmik atma-nirbharta par baatein karne mein aur hume Swarg ke Pita par nirbhar hone mein, Barah Devduton ke Parishad Elder Robert D. Hales ne sikhlaya ki: “Hum dharm parivartit hotein aur dhaarmikta se atma-nirbhar hotein hai jab hum prarthna bhare jiwan mein humare vaada—ko prabhubhoj ke samay laayak se latein hai, mandir ke sifaarish ke laayak hone se, aur dosron ki sewa ke liye balidaan detein hai.”2

Elder Hales ne hume salaah diya ki atma-nirbhar bano, “jismein shaamil hai postsecondary padhaai ya vocational shiksha, kaarye ko sikhna, aur apne kamaai ke anusaar jeena. Karze se bachna aur abhi kuch paese ko bachana, hum anewaale saalon ke liye pure-samay Girjaghar ke sewa mein taeyaar rahatein hai. Dono sansaarik aur dhaarmik atma-nirbharta ka mahatav hai ki hum apne aap ko unchi sthaan par le jaaein taaki hum dosron ko madad karein unki zarooraton mein.”3

Dharamshaastra mein se

Matthew 25:1–13; 1 Timothy 5:8; Alma 34:27–28; Doctrine and Covenants 44:6; 58:26–29; 88:118

Hamare Itihaas Se

Salt Lake Valley mein Antim-din Santon ke ikattha hone ke baad, jo ek ekaanth jangal tha, Pradhaan Brigham Young chahatey the ki weh wahan safal ho aur sthaai gharon ko banaye. Is ka matlab tha ki Santon ko gunon ko sikhna zaroori tha jo unhe atma-nirbhar bana deta. Is kaarye mein, Pradhaan Young ko mahilaon mein bahot hi vishwaas tha unke chamtaon, gunon, vishwaasi hone, aur utsukta mein, aur unhonne unhe khaas saansarik kaamon mein protsaahit kiya. Jabki aaj Sahayak Sanstha ki mahilaein ke khaas kaam alag alag hai, mul abhi bhi wahi hai:

  1. Kaam ko pyaar karna sikho aur aalsipan ko chodo.

  2. Atma-nirbharta ke aatma ko haasil karo.

  3. Vyaktigat zimmedariyon ko dhaarmik shakti, swaasth, padhaai- likhaai, kaam, vit, bhojan, aur jiwan ke anye zarooraton ko swikaar karo.

  4. Vishwaas aur chonautiyon ko ant tak jhelne ke liye prarthna karo.

  5. Dosron ko shakti do jinhe zaroorat ho.4

Vivaran

  1. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 6.1.1.

  2. Robert D. Hales, “Coming to Ourselves: The Sacrament, the Temple, and Sacrifice in Service,” Liahona aur Ensign, May 2012, 34.

  3. Robert D. Hales, “Coming to Ourselves,” 36.

  4. Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 51.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kis tarah un bahanon ki madad karti hoon jinki main dekhbhaal karti hoon unko apne shaaririk aur dhaarmik zarooraton kya hai dhoondhne mein.

  2. Kya main apne dhaarmik atma-nirbharta ko prabhu-bhoj ki taeyaari se aur sewa ke balidaan ke saath badha rahi hoon?