2013
Ishu Masih ka Divye Mission: Ek Lauta Putra
December 2013


Shikshan Sandesh Bhent, December 2013

Ishu Masih ka Divye Mission: Ek Lauta Putra

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal kartey ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Humare Uddhaarkarta, Ishu Masih, Ek Lauta Putra ke naam se kehlaya gaya hai kyunki Wah hi sirf ek insaan hai dharti par jo maranshil maata aur ek amaranshil Pita ke dwara paeda hua hai. Use Uske Pita, Parmeshwar se divye shakti praapt hui hai. Uski maata, Mary se, Use maranshilta mili aur use bhukh, pyaas, kamzori, peeda, aur maut se guzarna pada.1

Kyunki Ishu Masih Pita ka Ek Lauta Putra hai, apne maranshil jiwan ko tyaag kar aur punahar jiwit ho sakta hai. Dharamshaastra sikhlatein hai ki “Masih ke praeschit ke kaaran,” hume “punahar jiwan praapt hota hai” (Jacob 4:11). Hum yah bhi dharamshaastra mein sikhtein hai ki sabhi log amaranshilta se anant jiwan ko praapt karenge agar weh vishwaas karenge” (D&C 29:43).

Jab hum aur zyaada samajhtein hai ki kya matlab hai ki Ishu ko Pita ka Ek Lauta Putra kehtein hai, Masih mein humara vishwaas badhega. Elder D. Todd Christofferson Barah Devduton ke Parishad ne kaha, “Ishu Masih mein vishwaas sthir vishwaas aur vaada hai (1) Uska Parmeshwar ka Ek Lauta Putra hona, (2) Uska anant Praeschit, aur (3) Uska sahi Punaharjiwan.”2 Naye bhavishyevaktaoun ne bayaan kiya hai:”[Ishu Masih] sharir mein Ek Lauta Putra tha, duniya ka Muktidata.”3

Dharamshaastra mein se

John 3:16; Doctrine and Covenants 20:21–24; Moses 5:6–9

Hamare Itihaas Se

Naye Niyam mein hum un mahilaon ke vishay mein padhtein hai, jinke naamon ko hum jaantey aur dosre jinhein nahi jaantey, jinhone Ishu Masih mein vishwaas kiya, Uske shikshan mein sikhein aur jeeyein, aur Uske dekhrekh, chamatkaaron, aur dayaluta ki gawahi diya Yeh mahilaein mukti ke kaarye mein mahaan chelein aur zaroori gawahon ki tarah banni.

Uddhaaran ke taur par, Martha ne Uddhaarkarta ke dayaluta ki bahot gawahi ki jab usne Us se kaha, “Main vishwaas kar chuki hoon ki Parmeshwar ka Putra Masih jo jagat mein aanewaala tha, wah tu hi hai” (John 11:27).

Uddhaarkarta ke dayaluta ke kuch jald hi ke gawahi mein Uski maata, Mary aur Uske mausera bahan Elisabeth the. Devdut Gabriel Mary ko bhent karne ke baad, Elisabeth ko bhent kiya. Jaese hi Elisabeth ne Mary ke swaagat ko suna, wah “Pavitra Aatma se bhar gayi” (Luke 1:41) aur gawahi ko diya ki Mary Parmeshwar ke Putra ki maa banegi.

Vivaran

  1. DekhiyeGospel Principles(2009), 52–53.

  2. D. Todd Christofferson, “Building Faith in Christ,” Liahona, Sept. 2012, 13.

  3. “The Living Christ: The Testimony of the Apostles,” Liahona, Apr. 2000, 2–3.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kyun mere liye zaroori hai ki Ishu Masih ke bhumika ko samajh sakun?

  2. Kis tarah aagyakaari hone se Uddhaarkarta mein humara vishwaas badhta hai?