2014
Prabhu ki Sewa Pyaar ke saath karo
February 2014


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, February 2014

Prabhu ki Sewa Pyaar ke Saath Karo

Tasveer
Pradhaan Thomas S. Monson

Prabhu Ishu Masih ne sikhlaya ki, “Kyunki jo koi apna praan bachaana chahega wah use khoyega, parantu jo koi mere liye apna praan khoyega wahi use bachaayega” (Luke 9:24).

“Main vishwaas karta hoon,” Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha, “Uddhaarkarta humein yah batla rahe hai ki jabtak ki hum apne aap ko dusron ki sewa mein kho na dein, hamare jiwan ka kam mahatva hoga. Jo sirf apne liye jeetein hai anth chota hota hai aur apne jiwan ko kho detein hai, jabki jo dusron ki sewa mein apne jiwan ko kho detein hai weh fulte aur faltein hai—aur sahi mein apne jiwan ko bacha letein hai.”1

Pradhaan Monson ke in dekhrekh ke alawa, wah Antim-din Santon ko yaad dilatein hai ki weh Prabhu ke haath hai aur anant tak ke aashirwaad unki intazaar karta hai jo vishwaasi hokar dusron ki sewa kartein hai.

Mandir mein Sewa

“Mahaan sewa hota hai jab hum unke liye zaroori dharam vidhiyon ko kartein hai jo mar chuke hai. Kai kaarye mein hum unhein nahi jaantein hai jinke liye hum kaarye ko kartein hai. Hum kisi dhanyewaad ki asha nahi rakhtein hai, na hi hamein woh aashwaasan hai ki woh use swikaar karenge jo hum bhent karenge. Phirbhi, hum sewa kartein hai, aur us kaarye se jo milta hai wah aur kisi se bhi nahi: sahi mein hum Zion Parwat ke uddharkarta jaisa bantein hai. Jis tarah hamare Uddharkarta ne Apne jiwan ko hamare liye mahaan balidaan kiya hai, isliye hum, chote kaarye mein, wahi kartein hai jab hum mandir mein unke liye wah adhikaar ka patra ka kaarye kartein hain jinke paas aage badhne ka aur koi raasta nahi hai jabtak ki hum yaha dharti par rehne waale unke liye na karein.”2

Hum Prabhu ke Haath hai

“Mere bhaaiyon aur bahanon, hum unke ird-gird mein hai jinko hamari dekhbhaal, hamari protsaahan, hamari madad, hamari sahayata, hamari daya ki zaroorat hai—weh parivaar ke sadasyon, mitron, bandhuwon, ya anjaanen ho saktein hai. Hum yaha dharti par Prabhu ke haath hai, sewa ki aagya ka paalan karne ke liye aur Unke bachchon ko upar uthane ke liye. Wah hum sab par nirbhar hai. …

“Wah sewa jis ke liye hum sab ko niyukti mili hai wah hai Prabhu Ishu Masih ki sewa.”3

Uddharkarta ke Parchaain ki tarah Sewa karna

Nayi Duniya mein, punarjiwit Prabhu ne batlaaya ki, “aur tum jaante ho ki mere girja mein tumhe kya karna hai; kyunki tumne mujhe jo kaam karte dekha wahi tum bhi karna; aur un kaamon ko jis tarah mainne kiya usi prakaar se tum bhi karna’ [3 Nephi 27:21].

“Hum dusron ko ashirwaad detein hai jab hum ‘Nazareth ki Ishu… ki parchaai ki tarah sewa kartein hai jo achcha karta phirta tha’[Acts 10:38]. Parmeshwar humein ashirwaad dega khushi paane mein hamare Swarg ke Pita ki sewa ke liye jab hum Uske bachchon ki sewa is dharti par kartein hai.”4

Sewa ki Zaroorat

“Hume ek mauka milna chahiye sewa ke liye. Un sadasyon ke liye jo sakriye nahi hai ya jo nahi aate aur bhaag nahi lete, hum unke liye prarthna kar saktey hai un tak pahuchne ke liye. Unko kuch sewa ke kaarye dene se shaayad woh puri gatividhi mein phir se waapas laaya ja sakta hai. Magar jo netaein is mein madad kar saktein hai kabhikabhi hichkichaate hai aysa karne mein. Humein yah samjhna chahiye ki log badal saktein hai. Weh bure kaarye chod saktein hain. Weh apraadh se chama pa saktein hain. Weh purohiti ko laayak se rakh saktein hain. Weh dil se Prabhu ki sewa kar sakte hai.”5

Kya Hum Wah Sab Kar Rahein Hain Jo Humein Karna Chahiye?

“Duniya ko humari madad ki zaroorat hai. Kya hum wah sab kar rahein hain jo humein karna chahiye? Kya hum Pradhaan John Taylor ki shabdon ko yaad karte hai: “Agar tum apne niyukti ko badhaate nahi ho, Parmeshwar tumhe unke zimmedaar tehraega jinhe tum bacha sakte the agar tumne apna kaarye kiya hota’? [Teachings of Presidents of the Church: John Taylor (2001), 164]. Yaha par paer hai sthir rehne ke liye, haath hai pakadne ke liye, mann hai protsaahan karne ke liye, hriday prerna karne ke liye, aur aatmaein hai bachaane ke liye. Anantta ke ashirwaad tumhara intazaar kar rahein hai. Tumhare aosar hai nato sirf dekhne ke liye balki karne ke liye … sewa.”6

Vivaran

  1. “What Have I Done for Someone Today?” Liahona, Nov. 2009, 85.

  2. “Until We Meet Again,” Liahona, May 2009, 113–14.

  3. “What Have I Done for Someone Today?” 86, 87.

  4. “The Savior’s Call to Serve,” Liahona, Aug. 2012, 5.

  5. “See Others as They May Become,” Liahona, Nov. 2012, 68.

  6. “Willing and Worthy to Serve,” Liahona, May 2012, 69.

  7. Teaching, No Greater Call: A Resource Guide for Gospel Teaching (1999), 12

Is Sandesh Mein se Shikshan

“Agar tumhare paas Masih ki tarah pyaar hai, tum taeyaar rahoge susamachaar ko sikhlaane ke liye. Tumhe prerna milega dusron ki madad ke liye taaki weh Uddhaarkarta ko jaane aur Uske piche chale.”7 Unke liye prarthna karein taaki unke prati dayaluta badhe jinhein bhent karein. Jab tum unke liye Masih ki tarah pyaar ko jaanoge, tum aur bhi achchie tarah se sewa karoge dono Prabhu ki aur unki jinhein tum sikhlaate ho.