2014
Ishu Maseeh ka Divye Mission: Wakil
July 2014


Shikshan Sandesh Bhent, July 2014

Ishu Maseeh ka Divye Mission: Wakil

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondne se jaano jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu Maseeh Father ke paas hamare Wakil hai. Yeh shabd wakil ke Latin bhaasha ke shuruaat hai jiska matlab hai “woh jo dusre ke liye niwedan karta hai.”1 Uddhaarkarta hamare liye niwedan karta hai, samajhdaari, nyaye, aur daya ka istemaal karke. Yeh jaante huwe ki yeh hamein Unke Praeshchit ke prem aur abhaar se bhar dega.

“[Ishu Maseeh] ko suno jo Pita ke paas hamara wakil hai, jo hamare liye niwedan kar raha hai uske aage—

“Kehte huwe: Pita, unke kasht aur mrityu ko dekho jisne kuch bhi paap nahin kiya, jisse tum behad prasann the; dekho apne Putra ke lahoo ko jo baha hai, jiska lahoo khud aapne diya taaki aapki jayjaykaar ho;

“Isliye Pita, in mere bhaaiyon ko baksh do jo mere naam par vishwaas karte hai, taaki woh mere paas aaye aur anant jiwan paaye” (D&C 45:3–5).

Maseeh jo hamare Wakil hai par, Elder D. Todd Christofferson Barah Devduton ke Parishad ke ne kaha: “Yeh mere liye bahut zaroori vishay hai, ki main kisi bhi samay aur kisi bhi sthiti mein prarthna dwara mahima ke darbaar mein jaa sakta hoon, ki mera Swarg ka Pita mera niwedan sune, ki mera Wakil, jisne koi paap nahin kiya, jiska lahu baha, mere liye niwedan karega.”2

Dharamshaastra mein se

Mosiah 15:8–9; Moroni 7:28; Doctrine and Covenants 29:5; 110:4

Hamare Itihaas Se

Prabhu ke Girjaghar ke itihaas bhar mein, Ishu Maseeh ke mahila chelon ne Unka uddharan liya. Esther ek vishwaasi aur nidar wakil thi. Uski chachera bhaai Mordecai ne use raaja ke faesle ki capi bhijwaai jismein likha tha ki Jews/Yahudiyon ko maar diya jaaega, aur usne ise zimmedaari di “[raaja se] apne logon ke liye baat karne ki.” Usne aur kaha: “Aur kaun jaane tum is raajye mein isi samay ke liye aayi thi?” (Esther 4:8, 14).

Woh apne logon ke liye wakil thi phir bhi, Esther maan gayi: “Tab main raaja ke paas jaaungi, jo ki kanoon ke khilaaf hai: aur agar main nahin bachi, to nahin bachi” (Esther 4:16).

Esther ne phir raaja se vinamrata se baate ki aur “unke paero par gir padi, and use apne aansuwon se manaaya … taaki woh kaanoon ko badle … Yahudiyon ko nasht karne ka.” Usne aur kaha, “Kaise main yuhi apne bhaaiyon ki tabahi dekh sakti hoon?” (dekhiye Esther 8:3, 5–6). Raaja ka dil pighla, aur usne use vaada kiya.3

Vivran

  1. Dekhiye Russell M. Nelson, “Jesus Christ—Our Master and More” (Brigham Young University fireside, Feb. 2, 1992), 4; speeches.byu.edu.

  2. D. Todd Christofferson, “I Know in Whom I Have Trusted,” Ensign, May 1993, 83.

  3. Aur Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 180.

Yeh Kijiye

Kaise Ishu Maseeh ka wakil hona hamein prerit kar sakta hai auron ko daya aur maafi dene ke liye?