2014
Kya Hum Tayyaar Hai?
September 2014


Pratham Adhyakshata ka Sandesh, September 2014

Kya Hum Tayyaar Hai?

Mai jis ilaake mein kabhi rehta aur sewa pradaan karta tha, Girjaghar wahan ek murgi paalne ka pariyojan kar rahe the, jiske swanyeichcha karamchaari sthaaniye ward mein se the. Zyaadatar pariyojan theek se chalta tha, bishop ke bhandaar mein hazaaron taaze ande dete the aur kai sao paaund ki saaf ki hui murgiyaan bhi dete the. Haalaanki, kuch aosaron par, shahar ke swanyeichcha kisaan hone ka matlab tha haathon mein chaalein hi nahin par dil aur dimaag mein niraasha bhi aayenge.

Jaise ki, mujhe hamesha yaad rahega woh samay jab humne Aaronic Purohiti ke jawaan purshon ko ikattha kiya tha pariyojan ko saaf karne ke liye. Hamara utsaahik aur chust dal murgi ke darbon ke aage khade hue aur ek furtile dhang se ghaas-fus aur kachraaon ko ukhaadne, batorne, aur jalaane lage. Aag ki raushni mein, humne ban-mein-sosaj (hotdog) khaaye aur ek dusre ko kaam achchi tarah se karne ke liye shaabaasi di.

Haalaanki, sirf ek anarthkaari samasya thi. Shor aur aag se komal murgiyon ke 5,000 ki sankhya ko itna pareshaani hua ki zyaadatar murgiyon ke pakhne jhar gaye aur unhonne ande dena band kar diya. Uske baad humne ghaas-fus ko thoda rehne diya taaki murgiyaan zyaada ande de sakein.

Girjaghar ka har ek sadasye jisne kabhi kisi zarooratmand ki madad ki hai kabhi nahin bhulta ya pachtaata apne anubhav par. Mehnat, bachat, atma-nirbharta, aur auron ke saath baatna hamare liye naye nahin hai.

Hamein yaad rakhna chahiye ki sabse behtar bhandaar ka tarika hai Girjaghar ke har ek parivaar ko apne liye bhojan, kapde, aur, jahan upyukt ho, jiwan ke anye zarooraton ko rakhein. Prabhu ke bhandaar mein vishwaasi Girjaghar sadasyon ke samay, yogyata, gun, daya, samarpit karne waale saamagri, aur vitt ke saobhaagye shaamil hai. Yeh sansaadhan zarooratmandon ki sahayta karne ke liye bishop ko uplabdh hai.

Hum Antim-din Santon se niwedan karte hai ki woh apne aayojan mein budhimaani barte, apne jiwan guzaarne mein sambhlein aur zyaada ya bekaar ke karja se bachein. Kayi aur log vitt-sambandhi kathinaaiyon ko jhel sakenge apne aarthik jiwanon mein agar unke paas bhojan aur kapde ka bhandaar ho aur woh bina karja ke rahe. Aaj hum dekhte hai ki kayi log is salaah ko ulte dhang se paalan karte hai: unke paas karja ka bhandaar hai aur woh bina bhojan ke hai.

Mai Pratham Adhyakshta ke bol dohrata hoon jo unhonne kuch saal pehle kahe the:

“Antim-din Santon ko kayi saalon se salaah di gayi hai ki woh vipattiyon ke liye tayyaar rahein thoda paesa jama karke rakhne se. Aysa karne se suraksha aur sukh mein bahut faaeda hota hai. Har ek parivaar ke paas zimmedaari hai apne khud ke zarooraton ko jitna ho sakein pura karne ke liye.

“Tum duniya mein kahin bhi rehte ho hum tumhe vippati ke liye tayyaar karna chahate hai tumhe tumhare vitt ke haalaath ki or modne se. Hum tumse niwedan karte hai ki tum apne kharch mein saodhaani barto; apne khareedbeen mein karz se bachon khud ko anushaashan karne se. Karja ko chuka dein jitna jaldi ho sake, aur khud ko mukt karein is bandhan se. Lagataar kuch kuch paese bachaae taaki tum ek vitt bhandaar jama kar sako.”1

Kya hum apne jiwanon mein apaat stithi ke liye tayyaar hai? Kya hamare gun paryaapt hai? Kya hum budhimaani se jeete hai? Kya hamare paas bhandaar hai? Kya hum Parmeshwar ke aagyaaon ka paalan karte hai? Kya hum bhavishyevaktaaon ke shikshan ko karte hai? Kya hum apne sampati mein se gareeb, aur zarooratmand ko dene ke liye tayyaar hai? Kya hum Prabhu ke nazar mein sahi hai?

Hum samasyaon ke samay mein rehte hain. Aksar bhavishye ka hamein pata nahin hota; isliye, hamein anishchitta ke liye tayyaar rehna chahiye. Jab nirnay ka samay aata hai, tayyaari ka samay beet chuka hota hai.

Vivran

  1. The First Presidency, All Is Safely Gathered In: Family Finances (pamphlet, 2007).

Is Sandesh Mein se Shikshan

Jinhe tum bhent karoge unke baare mein sochte hue, ayse tarikon ki sochein jisse tum unhein madad karoge zyaada atma-nirbhar banne mein naokri, vitt, bhojan bhandaar, ya apaat stithi ki tayyaari ko lekar. Ek gun ke baare mein sochiye jo tum unhein sikhlaa sakte ho, jaise kheti ya paese ka sanchaalan, jisse unhein shakti mile Pradhaan Monson ke salaah ko apnaane ka.