2014
Vishwaas se Bhara hua Prarthna
October 2014


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, October 2014

Viswaas se Bhara hua Prarthna

Tasveer
Pradhaan Henry B. Eyring

Prarthna shabdon se zyaada hai jab hum Parmeshwar se baate kartein hai. Parmeshwar aur Uske bachchon ke beech ek dusre se vaartalaabh ka zariya hai.

Jab prarthna us tarah kaam karta hai jaesa karna chahiye, hum apne hriday ke ahesaas ko saadhaaran shabdon mein bayaan kartein hai. Swarg ke Pita hamesha hamare mann mein ahesaas ko jaga kar jawaab deta hai. Wah hamesha hamare sachchaai se kiye hue prarthna ko sunnta hai jab hum Use aagya ke saath nibhaane ki prarthna kartein hai, chaahe jab bhi aur kahi bhi Uska jawaab praapt ho.

Prabhu yah vaada karta hai un sab se jo Mormon ki Dharamshaastra ko padhenge aur uske bare mein prarthna karenge.

“Aur jab tumhe yeh baatein praapt hogi tab main tumhe saodhaan karunga ki tum Parmeshwar Pita se Maseeh ke naam par pucho ki kya yeh baatein satye nahi hai; aur agar tum sachchey hriday se aur sachchi abhilaasha se, Maseeh mein vishwaas karke puchoge, tab wah Pavitra Aatma ki shakti dwara tum par sachchaai sapasht prakat karega.

“Aur tum Pavitra Aatma ki shakti dwara sab baaton ki sachchaai ko jaanoge” (Moroni 10:4–5).

Yah vaada atal hai. Hazaaron logon ne parikshan kiya aur prarthna ki aschariye vaade ke parinaam ko praapt kiya hai ek ashirwaad ke saath jisse unke jiwan mein khushiyon aur na khatam hone waale khushiyon ko bhar diya hai. Yah vaada hum sab ke prarthna par laago hota hai taaki hum Parmeshwar ke mann aur aagya jo jaane jo humre liye hai. Hum yah kar saktein hai jabkabhi hum Parmeshwar ke sewak se salaha praapt kartein hai jise hume maargdarshan dene ke liye niyukti praapt hui ho. Uddhaaran mein, hum us par nirbhar ho saktein hai jab hum maha sammelan mein bhaashan ko suntein hai. Hum yah kar saktein hai jab hum Parmeshwar ke jiwit bhvishyevekta se niyukt hue vinamar parchaarakhoun se sikhtein hai. Yah hamare bishop ya shaakha pradhaan se praapt hue salaah par bhi laago hota hai.

Hamare jiwan mein prarthna se faeda praapt karne ke liye, niyam saral hai. Hume yah puchna chahiye ki kya sach hai Ishu Maseeh ke naam mein Pita se prarthna mein. Hume sachche hriday se puchna chahiye, jiska matlab hai ki humare paas sachchaai se wahi karna chahiye jo Parmeshwar ka jawaab chahata hai ki hum karein. Aur Ishu Maseeh se hume sachcha mahatav ke vishwaas ko praapt karna chahiye.

Ek vyakti jo Mormon ki Dharamshaatra ko nahi jaanta jab use baptisma lene se pahale padhata hai aur dono cheezon ki santushti praapt karta hai ki kitaab sachcha hai aur ek gawaahi ki Joseph Smith ne Parmeshwar ki shakti ke dwara anuwaad kiya tha. Girjaghar ke sadesye ke swikriti ke baad, hume Pavitra Aatma prapt ho sakta hai humare saathi ke rup mein dosre sachchaaiyon ko swikriti dene ke liye. Phir, kahibhi hum vishwaas se prarthna karenge, hum yah jaanenge ki Pavita Aatma hume yah bayaan dega ki Ishu hi Maseeh hai, ki Parmeshwar jo Pita hai wah jiwit hai, aur ki Weh humse aur sabhi Swarg ke Pita ke bachchon se prem kartein hai.

Yah ek kaaran hai ki Mormon ki Dharamshaastra mein ek vaada hai ki humare hriday mein daya hoga jabki Pavitra Aatma hume gawahi deta hai ki Ishu hi Maseeh hai: “Agar koi vineet aur hriday ka deen hai aur Pavitra Aatma ki shakti ke kaaran swikaar karta hai ki Ishu hi Maseeh hai tab use daya hona chahiye” (Moroni 7:44).

Yah par sabhi upwaas ke Raviwaar ko dhaarmikta mein badhane ke liye ek mahaan aosar prapt hota hai. Upwaas ki Raviwaar ko hume Alma aur Mosiah ke putron ke anubhoun se madad mil sakta hai, jinhone prarthna aur upwaas kiya tha anant sachchaayon ko jaanne ke liye taaki weh Lamanites ko shakti, adhikaar, aur prem se sikhla sakein (dekhiye Alma 17:3, 9).

Upwaas ke Raviwaar ko hum prarthna aur upwaas dono kartein hai. Gareebon ko ashirwaad dene ke liye, hum bishop ya shaakha pradaan ko daya se bhara hua upwaas ka daan detein hai jo do samay ke bhojan ke barabar ke kimat ka ho. Humare soch aur humare prarthnaein Uddhaarkarta mein rahata hai aur unko jinhein Wah chahata hai ki hum dhaarmik aur sharirik zarooraton mein yaad karein.

Humare prarthnaein aur ikchaaein Uddhaarkarta ki prarthnaein aur ikchaaein ki tarah ban jaata hai jab hum upwaas rakhtein hai aur zyaada vineet, sikhnewaale, aur prem karne waale bane ke liye. Aur jaesa Usne kiya tha, hum prarthna kartein hai Pita ki aagya ko apne liye jaanne aur karne ke liye.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Eyring ne sikhlaya hai ki prarthna aur upwaas se hum “anant sachchaai ko jaanne ko sikhtein hai.”Yah jaano ki jinhein tum bhent karo unke gawahiyon ko shaayad shakti ki zaroorat ho aur us vishaye par ek sikhshan taeyaar karo. Uddhaaran ke rup mein, agar tum kisi veyakti ko bhent kartey ho jisne ek kareebi dost ya parivaar ke sadesye ko khoya hai, unke saath anant parivaaron aur mritio ke baad ke jiwan par amal daalo. Tum unke saath upwaas rakho jinhein bhent kartey ho taaki unhein gawaahi ke mul ko jaanne mein madad mile.