2014
Ishu Maseeh ka Divye Mission: Shaanti ka Raajkumar
December 2014


Shikshan Sandesh Bhent, December 2014

Ishu Maseeh ka Divye Mission: Shaanti ka Raajkumar

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

“Uddhaarkarta sachche shaanti ka zariya hai,” Elder Quentin L. Cook jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne kaha. Jiwan ke musibaton se bhi, kyunki Uddhaarkarta ke Praeshchit se aur Uske sundarta, sachchaai se jeene se vyaktigat shaanti ka uphaar praapt hoga.1 Yeh samajhna ki Ishu Maseeh Shaanti ka Raajkumar hai hamein andar ki shaanti aur Usmein vishwaas karne mein badhanti paane mein madad kar sakta hai.

Ishu Maseeh ne kaha: “Yeh baatein maine tumse kahi hai, taaki mujh mein tumhe shaanti mile. Sansaar mein tumhe musibatein milti hai: parantu khush raho; maine sansaar ko jeet liya hai” (John 16:33). Us sachchaai ki gawahi deti hui, Linda S. Reeves, Sahayak Sanstha ki maha adhyakshta ke dusre salaahkaar, ne kaha: “Prabhu mere liye dayalu raha hai aur usne mere bojh ko halka karne mein madad kiya hai. Usne meri madad ki hai mahaan shaanti paane ke liye.”2

Elder Richard G. Scott jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne sikhlaaya: “Sabse achchi jagah … shaanti ke liye hai hamare gharon ke diwaaron ke andar, jahan humne woh kiya hai jisse Prabhu Ishu Maseeh mukhye sthaan paa sake.”3

Anye Dharamshaastra

Isaiah 9:6; Luke 2:14; John 14:27; 1 Nephi 13:37; Doctrine and Covenants 59:23

Dharamshaastra mein se

Isaiah ne Ishu Maseeh ke janam ki bhavishyevaani ki, woh Shaanti ka Raajkumar (dekhiyeIsaiah 9:6). America ke desh mein, Samuel jo Lamanite tha ne un chinho ke baare mein batlaaya jo paanch saal baad Maseeh ke janam ke samay ghatega (dekhiyeHelaman 14:3, 5). Jab batlaaya gaya din aaya, avishwaasiyon ne sabhi Isaaiyon ko maar daalne ki dhamki di agar yeh chinh nahin dikhaai denge. Bhavishyevakta Nephi ne “woh saara din Prabhu ko pukaarta raha; aur suno, Prabhu ki vaani use yah kehte huwe sunaai di: … Subha ko mai prithvi par aaunga” (3 Nephi 1:12–13). Chinh dikhaai diye, aur Maseeh ke janam ke saath, “desh mein logon ne phir se shaanti se rehna aarambh kiya” (verse 23).

Bethlehem mein, Mary ne “apne pahilautha putra ko janam diya, aur use kapde mein lapet kar charni mein rakkha” (Luke 2:7).

Vivran

  1. Quentin L. Cook, “Personal Peace: The Reward of Righteousness,” Liahona, May 2013, 35.

  2. Linda S. Reeves, “Claim the Blessings of Your Covenants,” Liahona, Nov. 2013, 120.

  3. Richard G. Scott, “For Peace at Home,” Liahona, May 2013, 29.

Yeh Sochiye

Uddhaarkarta tumhare jiwan mein kaise shaanti laata hai?