2015
Mera Hriday ka Badlaao
February 2015


Yuva

Mera Hriday ka Badlaao

Lekhak Brazil, Fortaleza mein rahata hai.

Jab maine pahali baar Ishu Maseeh ke punaharsthaapit susamachaar ke vishye mein ne sikha, maine Aatma ke sachchaai ki gawaahi ko mahesoos kiya. Prarthna ke dwara, mera gawahi aur bhi ziyada mazboot hua, aur maine baptisma lene ko socha.

Baptisma lene ke kuch hi samay baad, mere ward ke logon ne mujh se puchna shuruwaat kiya ki mera vichaar kya tha mission ki sewa karne ke baare mein. Sach mein, mujhe pata nahi tha ki kya kahana tha. Apne parivaar aur skool ko chodh kar mission par jaane ka sujhaao thoda bematlab ka laga.

Phir ek din maine apne waartalaabh par vichaar kiya. Maine un prachaarakon ke vishye mein socha jinhone mujhe sikhlaya tha, jinhone saralta se mere sawaalon ka jawaab diya tha aur mujhe madad kiya tha susamachaar ko samjhne mein. Maine jaana ki unke madad ke bina, main kabhi bhi sachche Girjaghar ko jaan nahi sakta. Jaese hi maine yah jaana, mujh mein mission par jaane ki ichcha hui. Maine Aatma ko mujh se kahatey mahesoos kiya ki mujhe pure-samay ki mission par jaana chahiye.

Main jaanta hoon ki prachaarakon ka kaarye humare Swarg ke Pita ka kaarye hai aur hum aatmaon ko punaharsthaapit susamachaar ke sachche gyaan tak pahuncha saktein hain.