2015
Mandir Ke Aashirvaad
May 2015


Mandir Ke Aashirvaad

Jab hum mandir jaate hai, hamein dhaarmikta ka star aur shaanti ka ehsaas mil sakta hai.

Mere priye bhaaiyon aur bahanon, mai kitna abhaari hoon aaj ke is Easter ke subha ko tumhare saath hone ke liye jab hamara dhyaan duniya ke Uddhaarkarta ki or hai. Mai apna prem aur shubhkaamnaaye aap sab ko deta hoon aur prarthna karta hoon ki hamare Swarg ke Pita mere shabdon ko prerit karenge.

Is sammelan mein saat saal ho chuke hai jabse mujhe Girjaghar ke Pradhaan ke padh mein swikriti mili thi.Kuch saal bahut vyast the, sirf kuch chunaotiyon se nahin magar anginit ashirvaadon se bhare huwe. In ashirvaadon mein se sabse anandmay aur pavitra raha hai mandiron ko samarpan aur phir-se-samarpan karne ka mera saobhaagye.

Sabse haal mein, pichle Nawambar mein mujhe sundar naye Phoenix Arizona Mandir ko samarpan karne ka saobhaagye mila tha.Mere saath the Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Elder Dallin H. Oaks, Elder Richard J. Maynes, Elder Lynn G. Robbins, aur Elder Kent F. Richards. Samarpan se pehle waale shaam ko, ek badhiya sanskritik samaroh hua tha jahan hamare mandir ke jila ke 4,000 yuvaaon ne sundarta purwak abhinay kiya. Dusre din mandir ka samarpan teen pavitra aur prerna bhare sabhaaon mein hua.

Mandiron ka banna saaf taur se dikhlata hai Girjaghar mein badhanti ho rahi hai. Aaj hamare paas 144 mandirein hai jo chaalu hai, 5 mein marammat kaarye chal raha hai aur 13 anye mandir ban rahe hai. Iske alaawa, 13 mandir jinki ghoshna pehle ki gayi thi abhi banawat se pehle ki tayaari ke vibhinn avastha mein hai. Is saal hum aasha karte hai ki hum 2 mandiron ko phir-se-samarpan karein aur 5 naye mandir ka samarpan karein jinpar kaam samaapt hone ko hai.

Pichle do saalon se, humne pehle se ghoshna kiye mandiron ki banawat ko pura karne ki koshish ki hai, humne naye mandir ko banane ki yojna ko taal diya tha. Haalaanki, aaj subha, mai bahut prasann hoon yeh ghoshna karne ke liye ki teen naye mandir in jagahon par banenge: Abidjan, Ivory Coast; Port-au-Prince, Haiti; aur Bangkok, Thailand.Kaun se behtarin ashirvaad hai hamare vishwaasi sadasyon ke liye jo in ilaakon mein hai aur, sachmuch, jahan kahi bhi mandirein hai is duniya mein.

Yeh nirnay karne ka kriya aur anye mandiron ke liye jagah dhoondhna to hota rahega, kyunki hum chahate hai ki zyaada se zyaada sadasyon ko mauka mile mandir jaane ka bina samay aur saadhan ka bhaari balidaan kiye. Jaise hum ne pehle kiya hai, hum tumhe itlaah karenge jab iske baare mein nirnay kiya jaaega.

Jab mai mandiron ke baare mein sochta hoon, mere dhyaan un kayi ashirvaadon ki or jaata hai jo hum wahan paate hai. Jab hum mandir ke darwaazon se andar jaate hai, hum apne piche duniya ke un behkaawon aur chintaaon ko chod dete hai.Is pavitra mandir ke andar, hum sundarta aur prabandh paate hai.Yahan hamein hamare hridayon se aaraam aur ek fursat hamare jiwanon ke zimmedaariyon se milta hai.

Jab hum mandir jaate hai, hamein dhaarmikta ka star aur shaanti ka ehsaas mil sakta hai jo kisi aur ehsaas se badhkar hai jo ek insaan ke hriday mein aa sakta hai.Hum Uddhaarkarta ke bol ka sahi arth jaanenge jab Usne kaha tha: “Mai tumhe shaanti diye jaata hoon, apni shaanti tumhe deta hoon. … Tumhara mann vyakul na ho, aur na dare.”1

Aysi shaanti kisi ke bhi dil mein sama sakti hai—jo hriday pareshaan hai, jo hriday dukh ke bojh se dabe hai, hriday jo chintit hai, hriday jo madad ke liye pukaar rahe hai.

Mainne haal hi mein ek jawaan ladke ke baare mein nayi khabar suni jo mandir gaya apne hriday mein madad maangne ke liye.Kayi mahino pehle use Dakshin America mein mission ki sewa ki niyukti mili thi.Parantu, uska visa aane mein itna lamba samay lag raha tha ki use phir se niyukti mili United States mein mission ki sewa karne ke liye. Bhale hi wah niraash tha ki woh apne pehle niyukti ke sthaan par nahin jaaega, usne apne naye zimmedaari mein achchi mehnat ki, yeh ichcha tha ki woh sabse behtar sewa pradaan kare. Kuch bure anubhavon ke kaaran apne saathi prachaarakon ko dekhkar, jo use laga ki sirf susamachaar prachaar karne mein aaraam farma rahe hai, woh niraash ho gaya.

Kuch hi mahino baad is jawaan ladke ne ek gambheer swaasth ki chunaoti ka saamna kiya jisse woh thoda paralyzed ho gaya, aur is kaaran use chikitsa ke chutti par ghar bhej diya gaya.

Kuch mahino baad woh jawaan ladka puri tarah se theek ho gaya tha, aur uska paralysis gaayab ho gaya tha. Use batlaaya gaya ki woh phir se prachaarak ki sewa kar sakega, ek ashirvaad jiske liye usne har din prarthna kiya tha. Niraasha ki ek hi baat thi ki use wahi mission jaana padega jahan se woh lauta tha, jahan use lagta tha ki kuch prachaarakon ke chaal-chalan aur nazariyaan ghatiya the.

Woh mandir aaya tha sahanubhuti ke liye aur ek swikriti ke liye ki use ek prachaarak ke rup mein achcha anubhav praapt hoga. Uske maata-pita ne bhi prarthna kiya tha ki is baar mandir jaane se unke bete ko zaroori madad milegi.

Jab jawaan ladka celestial kamre mein daakhil hua endowment ke baad, woh ek kursi par baetha aur apne Swarg ke Pita se maargdarshan ke liye prarthna karne laga.

Ek aur jawaan ladka jo thodi der baad celestial kamre mein aaya ka naam hai Landon. Kamre mein aate hi, uska nazar is jawaan ladke par pada jo kursi par baetha tha, aankh band kiye aur jaise prarthna karta huwa.Landon ko ek pakki prerna mili ki use is jawaan ladke se baat karna chahiye. Kyunki woh tokna nahin chahata tha, usne intazaar kiya. Kuch minaton baad, jawaan ladka ab bhi prarthna kar raha tha. Landon jaanta tha ki woh aur der prerna ko nahin taal sakega. Woh jawaan ladke ke paas gaya aur halke se uske kandhe par haath rakha. Jawaan ladka ne apne aankh khole, chaok gaya ki kisi ne use toka hai. Landon ne dhire se kaha, “Mujhe prerna mili hai tumse aa kar baat karne ki, par mai nahin jaanta kyun.”

Jab woh baate karne lage, us jawaan ladka ne apna chinta Landon ko batlaaya, apni stithi use batlaai aur kaha ki woh chahata tha kuch sahanubhuti aur protsaahan paane ki apne mission ko lekar. Landon, jo ek hi saal pehle safal mission par se lauta tha, ne apne khud ke mission anubhavon ke baare mein batlaaye, jo chunaotiyaan aur chintaaen use jhelni padi thi, kis tarah se woh Prabhu ki or muda tha prarthna mein, aur kya ashirvaad use mile the.Uske bol sahanubhuti aur aasha de rahe the, aur uska uske mission ke liye utsaah akarshak tha.Ant mein, jab jawaan ladke ke dar dur huwe, shaanti ka ehsaas use hua.Use gehra abhaar mehsoos hua jab usne yeh jaana ki uske prarthna ka jawaab mil gaya hai.

Donon jawaan ladkon ne saath mein prarthna kiya, aur phir Landon jaane ko tayyaar hua, khush ki usne mili prerna par amal kiya tha. Jab woh jaane ke liye khada hua, jawaan ladke ne Landon se pucha, “Tumne mission ki sewa kaha pradaan ki thi?” Ab tak, un donon ne ek dusre ke mission ka naam nahin kaha tha.Jab Landon ne apne mission ka naam bataya, jawaan ladke ke aankhon mein aansu aa gaye. Landon ne bhi usi mission mein sewa pradaan kiya tha jahan yeh jawaan ladka lautega!

Haal ke ek apne patra mein, Landon ne is jawaan ladke ke vidaai ke shabd likhe the: “Mujhe vishwaas tha ki Swarg ka Pita mujhe ashirvaad dega, magar mai kabhi yeh kalpana nahin kar sakta tha ki Woh kisi ko bhejega meri madad ke liye jisne mere khudke mission mein sewa pradaan kiya tha.Ab mai jaanta hoon ki sab kuch theek rahega.”2 Ek sachche hriday ke vinamra prarthna ko suna gaya aur jawaab diya gaya tha.

Mere bhaaiyon aur bahanon, hamare jiwanon mein hamein behkaawein milenge; hamein mushkilein aur chunaotiyaan milenge. Jab hum mandir jaaenge, jab hum wahan banaye vachanon ko yaad rakhenge, hum achchi tarah se tayyaar rahenge un behkaawon ko jhelne mein aur musibaton ko sehne mein.Mandir mein hamein shaanti milti hai.

Mandir ke ashirvaad bahut anmol hote hai. Ek ashirvaad jiske liye mai abhaari hoon apne jiwan ke har ek din hai meri priye patni, Frances, aur main ne woh paaya jab hum pavitra vedi(altar) par ghutnon par huwe the aur vachanon ko banaye the hamein anantta tak baandhne ke liye. Koi bhi ashirvaad utna anmol nahin mere liye siwaae us shaanti aur sahanubhuti ke jo mujhe milta hai us gyaan se ki woh aur mai phir se ek saath rahenge.

Hamare Swarg ke Pita hamein ashirvaad denge ki hamare paas woh aatma rahe mandir jaane ka, ki hum Unke aagyaaon ke prati aagyaakari rahe, aur ki hum theek se hamare Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ke nakshe kadam par chale. Mai gawahi deta hoon ki Woh hamare Muktidaata hai. Woh Parmeshwar ke Putra hai. Woh kabra se jaaga tha us pehli Easter ke subha ko, Apne saath anant jiwan ka uphaar liye Parmeshwar ke sabhi bachchon ke khatir. Is sundar din ko, jab hum us avashyak ghatna ko manate hai, aao hum aabhaar ke prarthna karein Unke mahaan aur badhiya uphaaron ke liye jo hamare hai. Ki aysa hi ho, mai vinamrata se prarthna karta hoon Unke pavitra naam se, amen.

Vivran

  1. John 14:27.

  2. Patra Thomas S. Monson ke paas hai.