2015
Pavitra Aatma Tumhare Saathi ki Tarah
November 2015


Shikshan Sandesh Bhent, November 2015

Pavitra Aatma Tumhare Saathi ki Tarah

Hum kar sakte, agar hum yogye se jiye, Aatma ki ashirvaad hamare saath hai, sirf abhi aur tab nahi lekin hamesha.

Mere bhaaiyon aur bahanon, mai bahut abhaari hoon tumhare saath mein is Sabbath din par Prabhu ke Girjaghar ke maha sammelan par rehne ke liye. Maine mehsoos kiya hai, jaise ki tum ne bhi mehsoos kiya hoga, Aatma ko, Pavitra Aatma ko, sachchaai ki gawahi ki shabdon ko jo hum ne suna aur gaaya.

Mera iraada hai aaj ki tumhari ichcha aur nirnay ko badhaau taaki baptisma par vaada kiye uphaar ko tum paa sako. Pakka karne ke kriya ke samay hum ne in shabdon ko sunna: “Pavitra Aatma ko lo.”1 Us samay se, hamare jiwan hamesha ke liye badal gaye.

Hum kar sakte, agar hum yogye se jiye, Aatma ki ashirvaad hamare saath hai, sirf abhi aur tab nahi, jaisa ayse anubhavon ke daoraan hota hai, lekin hamesha. Aatma ke ashirvaad jo hamare saath rahe, sirf abhi nahi, lekin ek chamatkar parikshaa se jo hamare aaj tak hai, hamesha ke liye. Tum jaante ho prabhubhoj ki prarthna se ki kaise un vaado ko puri ki jaaegi: “He, anant pita Parmeshwaar, hum aapke putra, Ishu Maseeh ke naam mein maangte hai, is roti ko aashish aur pavitra karo un sab praniyon ke liye jo ise grahan karte hai; taaki weh ise aapke putra ke sharir ki yaad mein kha sakein, aur aapki gawahi de sakein, he Parmeshwaar, annat Pita, ki weh apne upar aapke Putra ka naam lene, aur sada yaad rakhne, aur un aagyaaon ko maanne ke ichchuk hai jo usne unhe di hai, taaki Unke saath Uski Aatma sada ke liye rah sakein.”

Aur phir woh mahaan vaada aaya: “Ki unke paas Uski Aatma hamesha rahega” (D&C 20:77; zor diya gaya).

Uski Aatma hamare paas hamesha rahe ka matlab hai ki Pavitra Aatma ka maargdarshan aur nirdeshan har roz hamare jiwan mein rahe. Hum kar sakte hai, jaise ki, Aatma se chetaoni paana ki buraai ke behkaawe se bache rehna.

Sirf usi kaaran se, yeh bahut aasan hai dekhne mein ki kaise Prabhu ke chelon ne hamare ichcha ko badhane ki koshish ki hai prabhubhoj sabhaaon mein Parmeshwar ki bakhti karne ke liye. Agar hum prabhubhoj vishwaas se lete hai, Pavitra Aatma tab hamari raksha kar sakega aur unko bhi jinhe hum pyaar karte hai behkaawon se bachne mein jo badhti prabalta aur barambaarta se aata hai.

Yeh Pavitra Aatma ka saath achche baat ko zyaada prabhaoshaali aur behkaawe ko kam taqatwar banata hai. Woh hi kafi hai humko sthir rehne mein taaki hum Aatma ke saath ke yogye rahein hamesha ke liye.

Jaise ki Pavitra Aatma humko mazboot karta shaetaan se bachne ke liye, Woh hamein shakti bhi deta hai sachchaai ko janne mein. Sachchaai jo sabse avashyak hai sirf jaana jaata hai Parmeshwar ke praktikaran se. Hamare manaavi kaaran aur prakritik samajh ka istemaal kaafi nahi hai. Hum us samay mein rehte hai jab budhimaaniyon ko mushkil hoga sachchaai ko hoshiyaar dhoka se pehchaanne mein.

Prabhu ne Apne Chela Thomas ko sikhlaya, jo prakritik sabut chahata tha Uddhaarkarta ki Punarujiwan ka Unke chot ko chuh ke, woh prakat hone ki kriya ek surakshit sabut hai: “Ishu ne usse kaha, Thomas, Tu ne muhje dekha hai, kya isliye vishwaas kiya hai: dhanye weh hai jinhone binaa dekhe vishwaas kiya” (John 20:29).

Jo sachchaaiyaan Parmeshwar ke ghar tak ka raasta dikhata hai Pavitra Aatma dwara sachcha saabit hota hai. Hum ‘Sacred Grove” jaha jawaan Joseph Smith ka “Pehla Drishti hua tha par nahi ja ke dekh sakte Pita aur Putra ko usse baate karte huwe. Na hi prakritik sabut ya shudh daleel sthapit kar sakta hai ki Elijah aaya tha jaise ki vaada kiya gaya tha purohiti ki chaabiyon ki padvi pradaan karne jo ab hai aur ek jiwit bhavishyevakta, Thomas S. Monson istemaal karta hai.

Sachchaai ka samarthan Parmeshwar ke ek beta ya beti ke paas aata hai jo Pavitra Aatma ko adhikaar se leta hai. Jaise ki astaye aur juth koi bhi mauke se humko pesh aata hai, humko Sachchaai ki Aatma ka nirantar prabhaao ki zaroorat hai jo humko shak se dur karte hai.

Jabki ek Barah Parishad ke Chelapan ki sadasye, George Q. Cannon ne zor kiya ki hum nirantar se Aatma ko talaash karein hamare saath rahne ke liye. Usne vaada kiya, aur Main bhi vaada karta hoon, agar hum us dishaa ki or chalein, hamein sachchaai ki “gyaan ki kami nahin hogi,” “kabhi nahi shak hoga ya andhero mein,” aur hamare vishwaas mazboot hoga, [hamara] anand … pura hoga.”2

Humko woh nirantar madad ki zaroorat hai Pavitra Aatma ke saath se ek aur kaaran se. Priyejan ki mrityu achanak ho sakti hai. Woh ek gawahi hai Pavitra Aatma se ek dayalu Swarg ke Pita aur punrjiwit Uddharkaarta ki sachchaai ki jo humko umeed aur sahanubhuti deta hai priyejan ke mrityu par. Woh gawahi hamare saath rehna chahiye us mauke par.

Isi prakaar, kai kaaran se, humko Pavitra Aatma ki lagataar saath ki zaroorat hai. Hum uski ichcha karte hai, phir bhi hum anubhav se jante hai ki woh aasaan nahi hai kaayam rakhne mein. Hum sab sochte hai, bolte hai, aur kaarye karte hai hamare roz ki jiwan mein jo Aatma ko thes pahunchata hai. Prabhu ne humko sikhlaya hai ki Pavitra Aatma hamare nirantar saathi hoga jab hamari hriday dayaluta se bhara hai, aur jab sadgun hamare soch ko lagataar se sajaata hai. (dekhiye D&C 121:45).

Woh log jo unche sttar paane ki koshish kar rahe hai Aatma ki saathi ke taufe ke liye ko yogyata ki zaroorat hai, mai yeh protsaahan prastut karta hoon. Aap ko mauka tha jab aap ne Pavitra Aatma ki prabhaao ko mehsoos kiya. Aap ke liye aaj hua hoga.

Aap is achche vichaar ki mauke ko ek vishwaas ki beej ki tarah maan sakte hai jaise Alma ne batlaya tha (dekhiyeAlma 32:28). Har ek ko bo. Aap aysa kar sakte hai apne prerna par kaarye karne se jo aapne mehsoos kiya hai. Sabse bahumulye prerna hai ki aap jaane ki Parmeshwaar kya chahata hai ki aapko karna hai. Agar tithing ya ek dhukit dost ko bhent karna hai, aap ko karna chahiye. Koi bhi cheez hai, kar lo. Jab aap dikhawaat se sachchmuch palaan karoge, Aatma aapko kai aur vichaar dega jo Parmeshwaar chahata hai ki aap karein Unke liye.

Jab aap palaan karoge, Aatma se vichaar lagataar ayenge, kareeb se aur kareeb se tumhare nirantar saathi hoga. Tumhari sachchaai ki chunne mein ki shakti badhegi.

Aap janonge jab is vichaar Unke liye karoge Aatma se hai balki tumhare khudh hi ichcha se. Jab vichaar samaanta hai jo Uddhaarkarta aur Uski jiwit bhavishyevakta aur chelapan ne kaha hai, aap paalan karne mein chunn sakte hai bharosa se. Prabhu Apne Aatma ko bhejega aap ke paas

Uddharan ke taur par, agar aap ek aatmik vichaar ko praapt karenge Sabbath ko aadar karenge, khaas kar jab dekhne mein mushkil hoga, Parmeshwar Apni Aatma ko bhejega madad karne ke liye.

Wohi madad mera pita ke paas aaya tha kai saalo pahele jab uski kaam unko Australia mein legaya tha. Ek Raviwaar mein woh akela tha, aur woh prabhubhoj lena chahata tha. Woh Antim-dino Santon ke jaankari pata nahi tha. Tab usne chalna shuru kiya. Usne prarthna ki har ek intersection par taaki woh jaan sake ki kaun raaste par jaana. Ghanton baad chalne se aur raaste par jaane se, woh ruk gaya phir se prarthna karne ke liye. Use ek vichaar aaya ki woh ek maarg par jaaye. Jald mein woh sangeet sunn raha tha jo ek khotri se aya tha aas-paas mein. Usne khidki par dekha aur dekha ki kuch hi log mez ke paas baetha tha safed kapde se prabhubhoj ki thali dhaki thi.

Ab, utna hi tumhare liye bahut nahi honga, par unke liye kuch chamatkarik tha. Woh janta tha ki prabhubhoj ki prarthna ke vaade puri ho gayi: “Aapke Putra ka naam lene, aur sada yaad rakhne, aur un aagyaaon ko maanne ke ichchuk hai jo usne unhe di hai, taaki Unke saath Uski Aatma sada ke liye rah sakein.” (D&C 20:77).

Woh sirf ek hi uddharan tha ek samay mein jab usne prarthna ki aur woh kiya jo Aatma ne usse kaha ki Parmeshwaar chahata hai ki woh karein. Usne kai saalo se lagataar prarthna ki, jaisa aap aur mai karenge. Woh khabhi apne dhaarmikta ki baate nahin karta tha. Woh chote –chote cheezein karte aaye hai Prabhu ke liye jo use prerna mili thi.

Jab bhi kai Antim-dinon ke Santon ne usse pucha hai ki unse baate karein, usne kiya. Chaahe 10 log ya 50 ya jitna bhi ho woh thakta nahin tha. Woh apne gawahi deta Pita, Putra ka, aur Pavitra Aatma ka aur bhavishyevaktaon ka jab bhi Aatma unko prerit karta tha.

Uski unche niyukti Girjaghar mein the Bonneville Utah Stake high council mein, jaha woh stake khet mein weeding karta tha, aur woh Raviwaar Vidyalay kaksha mein padhata tha. Saalo baad, jab use zaroorat tha, Pavitra Aatma waha tha uski saathi ki tarah.

Mai apni pita ke bagal mein khada tha aspatal ki kamre mein. Meri maa, jo uski patni thi 41 saalo se, bistar par leti thi. Hum use kai ghanto se dekh rahe the. Hum dekhne uske chehre se peeda ke lakeer ko jaate dekh rahe the. Uski haathon ki ungliyaan, jo ghuse jaise bandhe the, khul gaye. Uske haath uske bagal mein aaram se the.

Kayi saalon ki cancer ka dard khatm ho raha tha. Mainne sukun dekha uski chehre par. Usne kuch chote saans liye, phir hanfa, aur chup se leti rahi. Hum waha par khade the dekhne ke liye ki dusri saans aaye.

Ant mein, Pita ne dhire se kaha, “Ek choti ladki ghar chaali gayi.”

Usne aasu nahi bahaya. Kyunki Pavitra Aatma ne usko safed samjhauta di ki woh kaun thi, kaha se woh aaye the, woh kya ban gaya, aur kaha ja rahi hai. Aatma ne usko gawahi di pyaari Swarg ke Pita ka kai samay par, ek Uddharkarta ka jisne maut ko paraajeet kiya, aur uski mandir bandhna uski patni se aur parivaar se ki sachchaai ko.

Aatma ne bahut pehle usko aashwaasan diya tha ki uski achchaai aur vishwaas se usko swarg ke ghar par laute ke kaabil banaya jahan par unko ashcharyejanak bachche se pehchanege aur aadar se ghar par swaagat karenge.

Mere pita ke liye, woh ek ummeed se zyaada tha. Pavitra Aatma ne unke liye ek hakeekat banaya diya tha.

Ab, kai log kahenge unke baat aur uski mann mein tasveer ek swarg ke ghar ka sirf ek sundar abhilashi hai, chakraaya hua nirnay ek pati ka uski ghati par. Magar woh janta tha ki anant sachchaai hi raasta hai jisse yeh jaan sakte the.

Woh ek saintist tha jo prakritik duniya ka sachchaai ko talaash karta tha apne pure baalig jiwan mein. Usne sains ki aauzaar ka istemaal achchi tarah se ki taaki uski saathi duniya mein unko aadar karenge. Jitna hi usne kiya hai kemistri mein uske mann ki ankhe jo molecules ghumte hue aur phir use pakkaa karne ke kriya kiya gaya hai laboratri mein parikchan karke.

Magar usne dusra maarg chuna un sachchaaiyon ko dhoondhne mein jo uske liye priye the aur hum sab ke liye bhi. Sirf Pavitra Aatma ke zariye hum logon aur ghatnaaon ko Parmeshwar ke nazar se dekh sakte hai.

Woh tohfa aspatal mein aage badhta raha uski patni ke dehaant ke baad. Humne apni maa ki cheezein batore ghar le jaane ke liye. Pita ne ruk kar sab nurse aur dactar ko dhanyevaad diya jab jo hamein gaadi tak jaate samay raaste mein mila. Mujhe yaad hai, jab maine gussa mehsoos kiya, ki humko jaana tha apne dhuk ko akele jhelne ke liye.

Mujhe ab paata laga ki usne wohi dekha jo Pavitra Aatma ne unko dikhlaya. Usne un logon ko farishta ki tarah dekha jinhe Parmeshwaar ne bheja tha uski patni ki dekhbhaal ke liye. Woh apne aap ko swaasth sewak ki tarah dekhte honge, par Pitaji unhe Uddhaarkarta ke liye unhe sewa karne ka dhanyevaad de raha tha.

Pavitra Aatma ki prerna se unke saath aage baadhe gaye jab humne apne maata-pita ke ghar pahunche. Humne baethak ke kamra par baate ki kuch samay tak. Pita ne maafi mangi ki woh bagalwaale kamre mein jaana chahata tha.

Thodi hi der mein, woh baethak ke kamra mein waapas aaya. Unke chehre par ek rochak muskurahat thi. Woh hamare or hi chale aaye aur dhire se kaha, “ Main chintit tha ki Mildred aatma ke duniya mein akeli jaegi. Mainne sochcha ki woh shaayad bheed mein khoyi hui mehsoos karegi.”

Phir usne utsukta se kaha, “Maine ab hi prarthna ki. Main janta hoon ki Mildred theek hai. Meri maa waha par thi usse milne ke liye.”

Mujhe yaad hai jab woh muskura raha tha yeh kehte hue, meri naani ki kalpana karke, uski choti paao daudte hue, ek bheed mein jaldbaazi se usko nisendeh se milne mein aur apni bahu ke aane par gale lagane ke liye.

Ab, ek aur kaaran jisse mere Pita ne maanga aur praapt kiya woh sahanubhuti kyunki usne hamesha bachpan se vishwaas se prarthna ki. Woh dil mein aaye sahanubhuti aur nirdesh ke jawaab ko batlaane ka aadi tha. Aur prarthna ke aadat ke saath–saath, woh dharamshaastra aur jiwit bhavishyevaktaon ki shabdon ko jaanta tha. Aise hi usne pehchana Aatma ki jaani-maani fusfusaahat ko, jo aap aaj mehsoos kar rahe hai.

Aatma ka saath ne use hamesha sahanubhuti aur nirdesh diya tha. Usko Ishu Maseeh ki Praeschit ke dwara badla tha. Jab hum us vaade ko manzur karte hai ki Aatma hamesha hamare saath rahe, Uddhaarkarta humko shudhta ki anumati deta jo anant jiwan ke liye zaroori hai, jo sabse mahaan tohfa hai Parmeshwaar ka. (dekhiye D&C 14:7).

Tum Uddhaarkarta ke shabdon ko yaad karo: “Ye hi aagya hai: Sansaar ke chaare or ke logon, pashchataap karo, aur mere paas aao aur mere naam mein baptisma lo jisse ki Pavitra Aatma ke swikaare jaane se tumhara pavitrakaran ho sakein, taaki antim din mein mere samne nirdosh khade reh sako” (3 Nephi 27:20).

Woh aagya aata hai is vaade ke saath jo Prabhu se hai:

“Aur ab, main kehta hoon aap se, apna bharosa us Aatma par rakhiye jo achche ke or le jaata hai—ki achcha kare, ki vinamrta se chaliye, nek se vichaar karna; aur ye hi mera Aatma hai.

“Aur mai aap se kehta hoon, Main aapko mera Aatma pradaan karunga, jo tumhara dhyaan ko raushni karega, jo tumhara aatma ko khushi se bharega” (D&C 11:12–13).

Mai apni gawahi deta hoon ki Parmeshwaar Pita jiwit hai, ki punarjiwit hona Ishu Maseeh Apne Girjaghar ko netritav karta hai, ki Pradhaan Thomas S.Monson purohiti ki sab chaabiyon ko sanchaalit karta hai, aur woh prakat hone ki kriya Pavitra Aatma se Antim-dinon ke Santon ka Ishu Maseeh ka Girjaghar aur uski vinamra sadasyon ko raksha aur samarthan karte hai.

Main aur gawahi deta hoon aapko ki ye ashcharyejanak purush jinhone aaj humse Prabhu Ishu Maseeh ke gawaho ki tarah bhaashan diye hai, Barah Devduton ke Parishad ke, Parmeshwar dwara niyukt kiye gaye hai. Mai janta hoon ki Aatma ne Pradhaan Monson ko unhe niyukt karne mein madad ki. Jab tum unki sunoge aur unke gawahi ko, Pavitra Aatma tumhe pushti karega jo mai abhi kehta hai aapko. Woh Parmeshwar se niyukti kiya gaya hai. Mai unko samarthan karta hoon aur pyaar karta hoon aur jaanta hoon ki Prabhu unko pyaar karta hai unko samarthan karenge unke sewa ke kaarye par. Aur main karunga Prabhu Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Handbook 2: Administering the Church (2010), 20.3.10.

  2. Dekhiye George Q. Cannon, in “Minutes of a Conference,” Millennial Star, May 2, 1863, 275–76.