2016
Mujh se Seekh
March 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, March 2016

“Mujh se Seekh”

Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-Dino ke Santon ka mein, hum sab shikshak hai aur hum sab seekhne waale hai. Hum sab ko Prabhu ka vinamra nimantran milta hai: “Mujh se seekho … aur tum apne mann mein vishraam paaoge.”1

Mai sabhi Antim-din Santon ko amantrit karta hoon ki weh apne koshishon se sochein kaise sikhlaenge aur seekhenge aur Uddhaarkarta ki or dekhenge hamare Maargdarshak ki tarah aysa karne mein. Hum jaante hai ki yeh “Parmeshwar se aaya shikshak”2 ek saadharan shikshak se zyaada khaas hai. Woh jisne hamein sikhlaya ki Prabhu hamare Parmeshwar se apne pure dil se, apne pure aatma se, apne pure bal se, aur apne pure mann se prem karein, aur apne padosi se apne jaisa prem karein, hai Swami Shikshak aur sampurn jiwan ka Uddharak.

Woh Yeh hi tha jisne ghoshna kiya: “Aao, mere piche ho le.”3 “Maine tumhare liye ek uddharan diya hai.”4

Jabtak Tum Na Badlo

Ishu ne ek saral par gehra sachchaai sikhlaai jo Matthew mein paaya jaata hai. Jab Woh aur Unke chelein Mount of Transfiguration se utar rahein the, woh Galilee mein ruke aur phir Capernaum gaye. Wahan chelein Ishu ke paas aaye, puchte hue:

“Swarg ke raajye mein sabse mahaan kaun hai?

“Aur Ishu ne ek chote bachche ko apne paas liya, aur use sab ke beech mein khada kiya,

“Aur kaha, Mai tumse kehta hoon, Jabtak tum na badloge, aur chote bachche jaisa na banoge, tum swarg ke raajye mein daakhil nahin ho sakte.”5

Girjaghar mein, susamachaar sikhlaane ka matlab yeh nahin ki Parmeshwar ke bachchon par jaankaari undel do, chaahe ghar par, kaksha mein, ya mission par. Yeh nahin dekhna hai ki maata ya pita, shikshak, ya prachaarak kitna jaanta hai. Na ki Uddhaarkarta aur Unke Girjaghar ka gyaan badhane ke liye hi hai.

Sikhlaane ka mul lakshye hai Swarg ke Pita ke putra aur putriyon ko madad karna Unki upasthiti mein lautne ke liye aur Unke saath anant jiwan ka anand lene mein. Yeh karne ke liye, susamachaar shikshan se unhe daenik chelapan aur pavitra vachanon ke maarg par rehne ke liye protsaahit karega. Lakshye hai ki logon ko prerit karein susamachaar ke siddhaanton ke baare mein sochein, mehsoos karein, aur uske baare mein kuch karein. Uddeshye hai ki Prabhu Ishu Maseeh mein vishwaas utpann karein aur Unke susamachaar ke jaisa badlaao laaye.

Woh sikshan jo ashish deta aur badlaao laata aur bachata hai Uddhaarkarta ke uddharan ko dikhlata hai. Shikshak jo Uddhaarkarta ka uddharan dikhlate hai apne shikshakon se prem karte aur unki sewa karte hai. Woh apne sunne waalon ko divye sachchaai ke anant paathon se prerit karte hai. Unke jaisa jiwan har koi jeena chaahe.

Prem aur Sewa Karo

Uddhaarkarta ka pura sewa mein padosi ke liye prem dikhata tha. Vaastav mein, Unka prem aur sewa aksar Unka paath hua karta tha. Usi tarah, mai un shikshakon ko sabse uttam kehke yaad karta hoon jo apne sikhlane waalon ko jaante, prem karte, aur unki parwaah karte the. Woh khoye huwe bhedon ko dhoondhte the. Woh jiwan ke paath ko sikhlaate the jo mai hamesha yaad rakhunga.

Ek aysi shikshak thi Lucy Gertsch. Woh apne har ek vidyaarthi ko jaanti thi. Woh hamesha unse sampark karti jo ek Raviwaar nahin aate ya jo aate hi nahin the. Hum jaante the ki woh hamari parwaah karti thi. Hum mein se kisi ne bhi use bhulaya nahin ya un paath ko jo usne sikhlaaya tha.

Kayi saal baad, jab Lucy apne jiwan ke antim dinon mein thi, mai unse bhent karne gaya. Hum ne un bite dino ko yaad kiya jab woh ek shikshak thi. Humne apne kaksha ke har ek sadasye ke baare mein baat ki aur baate ki har ek ab kya kar rahe the. Unki prem aur parwaah se pura jiwan beet gaya.

Doctrine and Covenants mein paaye aadesh mujhe pasand hai:

“Mai aapko ek aagya deta hoon ki tum ek dusre ko raajye ka siddhaant sikhlaao.

“Mehnat se tum sikhlaao aur mera kripa tumhare saath hoga.”6

Lucy Gertsch ne mehnat se sikhlaya kyunki woh lagataar prem karti thi.

Aasha aur Sachchai Dilaao

Devdut Peter ne aadesh diya, “Jo koi tumse tumhari aasha ke vishay mein kuch puche, to use uttar dene ke liye sarwada tayyaar raho.”7

Shaayad ek shikshak jo aasha de sakta hai woh Ishu Maseeh ke susamachaar ke sachchaaiyon mein paaye jaane waala aasha hai.

“Aur woh kaun si vastu hai jiski aasha tumhe karni chahiye?” Mormon ne pucha. “Suno mai tumse kehta hoon ki Maseeh ke praeshchit aur punarjiwit kiye jaane ki uski shakti ke dwara unnat jiwan ke liye uthaaye jaane ki aasha tum kar sakte ho, aur yeh tumhare vishwaas ke kaaran hoga.”8

Shikshakon, apne aawaaz uthaao aur Ishwartav ke asli prakriti ki gawahi do. Mormon Dharamshaastra ki apni gawahi do. Uddhaar ki yojna mein paaye vishaal aur sundar sachchaai ko batlaao. Girjaghar-swikrit saamaan hi istemaal karo, khaaskar dharamshaastra, Ishu Maseeh ke punahsthaapit susamachaar ke sachchaaiyon ko sikhlaane ke liye unke shudhta aur saralta mein. Uddhaarkarta ka aadesh yaad karo “dharamshaastra dhoondhte raho; kyunki inmein tum samajhte ho ki anant jiwan tumhe milta hai: aur yeh wohi hai, jo meri gawahi deta hai.”9

Parmeshwar ke bachchon ki madad karo samajhne mein ki is jiwan mein kya asli aur avashyak hai. Unhe madad karo anant jiwan tak surakshit le jaane waale maarg chunne ki shakti rakhne ki.

Sachchaai sikhlaao, aur Pavitra Aatma tumhare koshishon mein aayega.

“Mujh se Seekho”

10Kya hamare paas sankalp hay us tarah karne ke liye?11

Sunna seekhne ka zaroori gun hai. Jab seekhne ki tayyaari karte hai, hum prarthnashilta se prerna aur swikriti ki khoj karte hai Pavitra Aatma se. Hum vichaarte, prarthna karte, susamachaar ke paathon ko aazmaate, aur Pita ki ichcha dhoondhte hai apne liye.12

Ishu ne “nitikatha dwara … kayi cheezein sikhlaayi,” 13 jiske liye zaroori hai sunne ke liye kaan, dekhne ke liye aankhein, aur samajhne ke liye dil. Jab hum yogye rup se rehte hai, hum Pavitra Aatma ke fusfusaahat ko behtar sunn paate hai, jo “[hamein] sabhi baatein sikhla sakta hai, aur sabhi [hamein] yaad dila sakta hai.”14

Jab hum Prabhu ke shaant nimantran ka uttar denge, “Mujh se seekh,” hum Unki divye shakti ke bhagidaar ho jaate hai. Isliye, aao hum, aagyaakrita ki aatma mein aage badhe, hamare Uddhaarak ki tarah seekh dete huwe aur seekhein jaise Woh chahata hai hum seekhein.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Monson hamein amantrit karta hai “[hamare] koshishon se socho kaise sikhlaoge aur seekhoge aur Uddhaarkarta ki or dekhoge hamare Maargdarshak ki tarah aysa karne mein.” Tum shaayad dharamshaastra mein dhoondhne ki sochoge bhent karte samay Ishu Maseeh ke padhane aur seekhne ke tarikon ko jaanne ke liye. Tum Pradhaan Monson ke batlaye kuch dharamshaastra ko baatne se shuru karoge, jo hai Matthew 11:29, John 5:30, aur Mark 4:2. Tum charcha kar sakte ho kaise jo tumne Maseeh ke baare mein seekha hai tumhe madad kar sakta hai “Unki divye shakti ke hakdaar banne mein.”