2016
Raviwaar ko Abhaari Hona
November 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, November 2016

Raviwaar ko Abhaari Hona

Antim-din Santon ke liye, Raviwaar abhaar aur prem ka din hai.

Mere priye bhaaiyo aur bahano jo Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-dinon ke Santo ka mein duniya bhar mein faele hai, mai abhaari hoon ki Pradhaan Thomas S. Monson ne chaaha ki mai Raviwaar din par sammelan mein bhaashan doon. Mai prarthna karta hoon ki Pavitra Aatma mere shabdon ko tumhare dilon tak pahunchaaye.

Aaj mai dil ke ehsaason par bolna chahata hoon. Jispar mai aaj gaor karunga woh hai abhaar—khaaskar Raviwaar ko.

Hum kayi cheezon ke liye abhaar mehsoos karte hai: ek ajnabi se daya, ek samay ka bhojan jab hum bhuke ho, toofaano ke daoraan sir par ek chat hona, ek tuti haddi jo theek ho jaaye, aur ek naojaat shishu ka rona. Hum mein se kayi log ayse palon par ke abhaar ke ehsaas ko yaad karenge.

Antim-din Santon ke liye, Raviwaar woh pal hai, asal mein ek din, abhaar aur pyaar ka. Prabhu ne Jackson County, Missouri ke Santo ko, 1831 mein, shiksha diya ki unke prarthnaaen aur abhaar swarg ki or nirdeshit hone chahiye. Shuruaat ke Santon ko ek praktikaran mila tha ki kaise Raviwaar ke din ko bitaya jaaye aur kaise upwaas aur prarthna kiya jaaye.1

Unhein, aur hamein Prabhu dwara batlaya gaya tha kaise Raviwaar ko bhakti aur abhaar vyakt karein. Jaisa ki tum batla sakte ho, sabse zaroori hota hai woh pyaar jo hum uphaar dene waalon ke prati mehsoos karte hai. Yeh hai Prabhu ke shabd ki kis tarah dhanyevaad dein aur kaise Raviwaar ko pyaar karein:

“Maine unhe ek aagya diya, aysa kehkar: Tumhein Prabhu apne Parmeshwar se apne pure hriday, apne pure bal, mann, aur taaqat se pyaar karna hai; aur Ishu Maseeh ke naam se hamein Unki sewa karna hai. …

“Tumhein apne Prabhu Parmeshwar ko sabhi cheezon mein dhanyevaad dena chahiye.

“Tumhe Prabhu apne Parmeshwar ke liye dharmikta se balidaan dena hai, yahi ki ek tute hriday aur ek shokart aatma ka.”2

Aur phir Prabhu khatra ki chetaoni deta hai ki agar hum asafal rahe Swarg ke Pita aur Ishu Maseeh ki or dhanyevaad dene mein un sab uphaaron ke daata hone ke liye: “Aur kisi aur baat se Parmeshwar naaraaz nahin hota, ya use bura nahin lagta, siwaae un logon ko dekh jo Unke kiye sabhi baaton ko kaboolta nahin, aur unke aagyaaon ko maanta nahin.”3

Aap sunne waalon mein se kayi toh Raviwaar ko anand ka din maante hai Parmeshwar ke ashirvadon ko yaad karne aur use dhanyevaad ke liye. Tumhe woh logpriye geet yaad hai:

When upon life’s billows you are tempest-tossed (Jab jiwan ke lehro par tumhe patka jaae),

When you are discouraged, thinking all is lost (Jab tum niraash rehte ho, sochkar sab kho gaya),

Count your many blessings; name them one by one (Apne sabhi ashirvaadon ko gino, unhe ek ek karke kaho),

And it will surprise you what the Lord has done (Aur tumhe achambha hoga Prabhu ne kya kiya hai).

Count your blessings (Apne ashirvaadon ko gino);

Name them one by one (Unhe ek ek karke kaho).

Count your blessings (Apne ashirvaadon ko gino);

See what God hath done (Dekho Parmeshwar ne kya kiya hai). …

Are you ever burdened with a load of care(Kya kabhi tumpar zimmedaari ka bojh hai)?

Does the cross seem heavy you are called to bear(Kya krus ka bojh zyaada hai tumhe mila uthaane ko)?

Count your many blessings; ev’ry doubt will fly(Apne sabhi ashirvaadon ko gino; sab shak dur hoga),

And you will be singing as the days go by(Aur tum gaaoge dinon ko dhalte dhalte).4

Mujhe vishwaasi Antim-din Sant patra bhejte aur bhent karne aate hai jo zimmedaari ke bojh se dabe huwe hote hai. Kuch log aysa mehsoos karte hai ki, unke liye hi, sab kuch kho gaya ho. Mai aasha aur prarthna karta hoon ki mai jo kehta hoon Raviwaar par abhaari hone ki baat sahayta karegi shanka ko dur karne ke liye aur tumhare dilon mein sangeet shuru karne ke liye.

Ek ashirvaad jiske liye hum abhaari hai woh hai ki hum us prabhubhoj sabha mein to hai, Unke naam mein Unke ek ya do chelon ke saath ikattha hai. Kuch log to ghar par hai apne khatiya se uth nahin paa rahe hai. Kuch log hamari jagah par hona chahenge par iske bajae aspataalon mein sewa kar rahe hai aur janta ko suraksha pradaan kar rahe hai ya apna jiwan daao par laga kar hamara bachaao kar rahe hai kisi registaan ya jangal mein. Yeh sach ki hum ek anye Sant ke saath ikattha ho paa rahe hai aur prabhubhoj le sakte hai hamein Parmeshwar ke kripa ke prati abhaar aur pyaar mehsoos karne mein madad karega.

Bhavishyevakta Joseph Smith aur punahsthaapit susamachaar ke kaaran, hum jo ek aur ashirvaad ginte hai woh hai har hafte prabhubhoj ko lene ka maoka—Parmeshwar ke sewakon dwara tayyaar kiya, ashirvaad diya gaya, aur baata gaya. Hum abhaari ho sakte hai jab Pavitra Aatma hamein samarthan deta hai ki prabhubhoj prarthnaaon ke shabdon, jo adhikaar praapt purohiti rakhne waale dete hai, ko hamare Swarg ke Pita dwara sammaanit kiya jaata hai.

Hamare ginne laayak ashirvaadon mein se, ab tak sabse mahaan hai maaf karne ka ehsaas jo aata hai jab hum prabhubhoj lete hai. Hum Uddhaarkarta ke liye zyaada pyaar aur prashansa mehsoos karenge, jinke anant balidaan se hamare paap dhul sakte hai. Jab hum roti aur paani khaate hai, hum yeh yaad karte hai ki Usne hamare liye kasht jhela. Aur jab hum abhaar mehsoos karte hai uske liye jo Unhonne hamare liye kiya, hum Unka pyaar mehsoos karenge hamare liye aur hamara pyaar Unke liye.

Jo pyaar ka ashirvaad hamein milta hai usse aasaan ho jaaega ia aagya ka paalan karne ke liye “use hamesha yaad karein.”5 Tum shaayad, meri tarah, Pavitra Aatma ke liye pyaar aur abhaar mehsoos karo, jise Swarg ke Pita ne vaada kiya hamesha hamare saath rahega jab tak hum banaye gaye vachanon ke prati vishwaasi rahenge. Hum un sab ashirvaadon ko Raviwaar ko gin sakte hai aur abhaar mehsoos kar sakte hai.

Raviwaar ek achcha samay bhi hai baptisma ke samay kiye gaye vachan ko yaad karne ka ki Swarg ke Pita ke bachchon ko pyaar aur sewa karenge. Raviwaar ko is vachan ko nibhane ke liye hum ek kaksha ya parishad mein pure dil se bhaag lenge hamare sang bhaaiyo aur bahano ke beech vishwaas aur pyaar badhane ke liye. Us vaade anusaar hum apne niyuktiyon ko prasannta se nibhaenge.

Mai un kayi Raviwaaron ke liye abhaari hoon jab mai Bountiful, Utah ke ek deacon parishad mein padhata tha, tatha Idaho mein ek Raviwaar Kaksha ko leta tha. Aur mai us samay ko bhi yaad karta hoon jab mai nursery mein apne patni ka sehyogi tha, jahan mera kaam tha khilaone baatna aur unhe batorna.

Kayi saal lage mujhe Aatma ke zariye yeh janne mein ki Prabhu ke liye mera saadharan sewa bahut maaine rakhta tha Swarg ke Pita ke bachcho ke jiwanon mein. Mere achambha mein, in mein se kuch logon ne mujhe yaad rakha and mujhe dhanyevaad diya unki sewa karne ke liye un Raviwaaron ko Swami ke khatir.

Jaise ki hum kabhi kabhi Raviwaar ke kiye gaye apne hi sewa ka parinaam nahin jaan paate, hum shaayad hum Prabhu ke kisi aur sewak ke sab koshishon ka asar nahin dekh paaenge. Magar Prabhu Apna raajye aahiste se Apne vishwaasi aur vineet sewakon dwara badha raha hai, kam pradarshan se, uske vishaal millennial samay ke bhavishye ki or. Pavitra Aatma ki zaroorat hai badhti hui shobha dekhne ke liye.

Mai New Jersey ke ek chote se shaakha mein prabhubhoj sabhaaon mein bhaag lete huwe bada hua jahan sirf kuch sadasye the aur ek hi parivaar, mera apna. 75 saal pehle, mera baptisma hua Philadelphia ke ek laute bane Girjaghar ke chapel mein hua tha jahan hum Pennsylvania ya New Jersey mein jaa sakte the. Jabki us samay jahan sirf ek chota shaakha tha Princeton, New Jersey mein, wahi ab do bade ward hai. Aur sirf kuch din pehle, hazaaron jawaan yuvaaon ne wahan Philadelphia Pennsylvania Mandir ke samarpan se pehle ek samaroh mein bhaag liya.

Jab mai ek yuva tha, mujhe district(jila) prachaarak ki niyukti mili jahan hum Raviwaar ko bhakti karne jaate the wahan ke eklaute Albuquerque, New Mexico mein. Aaj wahan ek mandir aur chaar stake hai.

Mai Albuquerque se nikla tha taaki Cambridge, Massachusetts mein school jaa sakun. Wahan ek chapel aur ek jila tha jo Massachusetts aur Rhode Island tak faela hua tha. Main us sundar desh ke pahaadon se hokar prabhubhoj sabhaaon mein gaya chote shaakhaaon mein, zyaadatar chote kiraae ke jagah ya chote banae hue gharon mein. Ab Parmeshwar ka ek pavitra mandir hai Belmont, Massachusetts mein, aur grameen ilaake mein faele huwa stake hai.

Us samay maine yeh na dekha tha ki Prabhu Apna Aatma un chote prabhubhoj sabhaaon mein un logon par undel raha tha. Mujhe mehsoos ho raha tha, par mai nahin dekh paaya Prabhu ke iraadon ka parimaan aur aanewaala badhanti Unke raajye ki jayjaykaar karne ke liye. Ek bhavishyevakta ne, praktikaran dwara, dekha aur likha woh sab jo hum aaj khud ke liye dekhte hai. Nephi ne kaha ki hamare kul milakar sankhya bhaari nahi hongi par usse ikattha ki gayi raushni dekhne laayak hogi:

“Aur aysa hua ki maine Parmeshwar ke Memne ki girja ko dekha, aur uske sadasye kam the. …

“Aur aysa hua ki mai, Nephi ne, Parmeshwar ke Memne ki shakti ko dekha, ki wah Memne ke girja ke santon ke upar aur Parmeshwar ke shartnaama ke antargat, aane waale logon ke upar aayi jo saare jagat mein faele huwe the; aur weh satyanishta ke hatiyaar liye huwe aur Parmeshwar ke shakti ke saath the mahaan mahima mein.”6

Is yug mein, Doctrine aur Covenants ke likha anusaar isi tarah se bhavishyevaani ki baat hai hamare stithi aur aane waale maoko ke liye:

“Tumne abhi tak yeh nahi samjha Pita ne kitne mahaan ashirvaadon ko rakha hai aur tumhare liye tayyaar kiya hai;

“Aur tum sab kuch abhi nahin jhel sakte; phir bhi, prasann raho, kyunki mai tumhe aage badhaunga. Raajye tumhara aur uske ashirvaadein tumhare hai, aur anantta ka bhandaar tumhara hai.

“Aur jo bhi sab kuch abhaaripan se haasil karega ko prasidh kiya jaaega; aur dharti mein sab kuch unhe milega, yahan tak ki sao guna, haan, zyaada bhi.”7

Maine badhte huwe abhaar aur Parmeshwar ke liye pyaar ko Girja bhar mein badhte huwe badlaao ko mehsoos kiya hai. Yeh Girjaghar ke sadasyon ke beech tezi se badhta nazar aata hai un samay aur jaghon par jahan unke vishwaas mushkilon ka saamna karte hai, jahan unhein Parmeshwar se niwedan karna padhta hai sirf jeene ke liye.

Jis samay se hum guzrenge us mein kathin mushkilein rahenge, jaise Alma ke logon ke samay mein tha kathor Amulon ke saath, jisne unke upar bojh laade the jo kathin the jhelne mein:

“Aur aysa hua ki unke kashto ke beech Prabhu ki vaani yah kehte huwe, unhe sunaai di: Apne siron ko upar uthaao aur saantaaona grahan karo, kyunki tumne jo pratigya mujhse ki hai woh mai jaanta hoon; aur mai apne logon se anubandh karunga, aur unhe daasta se mukt karunga.

“Aur tumhare upar jo bojh laada jaata hai use mai halka karunga, jisse tumhe unka vajan daasta mein hote huwe bhi maalum nahin padega, aur yeh mai isliye karunga ki tum is samay se mere liye saakshi ban kar khade ho sako aur tum yeh nishchaypurwak jaano ki mai Prabhu Parmeshwar kasht ke samay apne logon mein aata hoon.

“Aur jo bojh Alma aur uske bhaaiyo ke upar laada jaata tha woh ab halka ho gaya; kyunki Prabhu ne unko balwaan kar diya jisse weh apne bojhon ko saralta ke saath dho sake, aur unhonne prasannta aur sahansheelta ke saath Prabhu ki sabhi ichchaaon ko swikaar kiya.”8

Tum aur mai gawaah hai ki jab bhi humne apne Parmeshwar ke saath vachan ko nibhaya hai, khaaskar jab kathin tha, Usne hamare abhaar ke prarthnaaon ko sunaa un cheezon ke liye jo hamare paas tha aur hamare taaqat ki maang ko pura kiya taaki hum vishwaas ke saath jhel sake. Aur ek se zyaada baar Usne hamein prasann aur taaqatwar banaya hai.

Tum shaayad soch rahe honge ki tum kya kar sakte ho Raviwaar ko jee kar aur bhakti karne ke liye taaki apna abhaar vyakt kar sako aur khud ko aur auron ko shakti dila sako aane waale mushkilon mein.

Tum aaj ek niji aur parivaar ke saath abhaar ka prarthna se shuru kar sakte ho un sab kuch ke liye jo Parmeshwar ne kiya hai. Tum prarthna kar sakte ho yeh jaanne ke liye ki Prabhu tumhe kya karwana chahata hai Unki aur auron ki sewa ke liye. Khaaskar, tum Pavitra Aatma se puch sakte ho kisi ke baare mein jo akelapan mein hai ya zaroorat mein jiske paas tum jaa sakte ho.

Mai tumse vaada karta hoon tumhare prarthnaaon ke jawaab milenge, aur jab tum haasil kiye jawaab par amal karoge, tumhe Raviwaar mein khushi milegi, aur tumhara dil abhaar se ubhar jaaega.

Mai gawahi deta hoon ki Parmeshwar jo Pita hai tumhe jaanta aur pyaar karta hai. Uddhaarkarta, Prabhu Ishu Maseeh ne, tumhare paapon ke liye praeshchit kiya kyunki woh tumse pyaar karta tha. Woh, Pita aur Putra, tumhare naam ko us tarah jaante hai jaise Woh Bhavishyevakta Joseph Smith ka naam jaante the jab Woh unhe prakat huwe the. Mai gawahi deta hoon ki yeh Ishu Maseeh ka Girjaghar hai aur ki Woh tumse kiye vachan ko nibhaaega aur Parmeshwar se pushti karega. Tumhara prakriti khud badal jaaega Uddhaarkarta ki tarah banne ke liye. Tumhe sachchaai ke prati behkaawo aur sandeh ke ehsaas mein mazboot kiya jaaega. Tum Raviwaar ka anand paaoge. Mai aapse yeh vaada karta hoon Prabhu Ishu Maseeh ke naam se, amen.