2017
Kendra par prayatan karna
January 2017


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, January 2017

Kendra par prayatan karna

Haal hi me maine ek dal ko teer-andaazi ki saadhna karte dekha. Sirf dekhte hue mujhe saaf nazar aaya ki agar tum danush aur baan ka adhyaksha karna chahate ho, to iske liye samay aur koshish ki zaroorat hai.

Mujhe nahi lagta hai ki khaali deewaar par teer chalane se aur uske chaaro taraf nishaana lagane se koi gunvaan teer-chalak nahi ban sakta hai. Tumhe nishana dhoondna aur pakke nishane par teer daalne ki kala seekhna padtha hai.

Nishana Lagana

Nishana lagane se pahale teer chodna shayad kuch ajeeb lage, par kabhi kabhi hum apne jeewan mei isi vyavahaar ko apnaate hain.

Girja ke sadasye ki haysiyath se, hum susamachaar ke karikaram, mudde, dharamsiddhant jo dilchasp, mahatvapurn, aur ananddayak hai se judhne ki ichcha rakthe hain. Hum iske irdh girdh nishana lagane mei bahak jaate hai, yah sochte hue ki hum susmachaar ke kendra mei nishana laga rahe hain

Aisa karna bahut hi asaan hai.

Duniya ke ithihaas ke shuruwaat se hume Parmeshwar ke bhavishyevaktaon se bahmulya salhaa aur prerna mili hai. Hume anye prakaashan, handbooks, aur Girja ke manuals se prashaasan aur spashtikaran milti hai. Hum asaani se apne man pasand susmachaar vishay ke irdh girdh pakka nishana bana sakte hain, aur aisi case bana sakte hain ki humne susmachaar ke kendra ko pahechaan liya hai.

Maseeh Spashtikaran Karte Hain.

Yeh samasya humare dino ke liye anokha nahi hai. Purane dino mein, dhaarmik neta, kaun se aagyaen sabse mahatvapurn hai ko lekar namavali, pankith aur bahes karne me bahut waqt bitate the.

Ek din kuch dhaarmik vidhyaartiyon ne Maseeh ko sanketh me daalne ki koshis ki. Unhone Unko ek mudde par tippani karne ko kaha jispar kuch hi log raazi ho sakte the.

“Swami,” unhone pucha, “kanoon me kaun sa sabse mahaan agyaa hai?”

Hum sabhi jaanthe hain Ishu ne kaise jawaab diya: “Tumhe Prabhu apne Parmeshwar ko pure hirday, aur pure aathma, aur pure mann se prem karna chahiye.

“Badi aur mukhye aagya to yahi hai.

“Aur dusra pahele ki tarah hai, Tumhe apne padosi se apni tarah prem karna chahiye.

“Issi do agyaaon par sara kanoon aur bhavishyevakta nirbhar hain. ”1

Kripya aakhkri kathan ko not kare: “Isi do agyaaon par nirbhar hai sabhi kanoon aur bhavishyevakta. ”

Maseeh ne hume sirf nishana nahi dikhlaya, balki pakke nishane ko bhi nirdharith kiya.

Nishaane par teer daalna

Girja ke sadasye hone se, hum apne upar Ishu Maseeh ka naam lene ka vaada karte hain. Is vaade me yah samajh antharnihith hai ki hum Parmeshwar ke baare mei seekhne ki puri koshish karenge, Unse prem karenge, Unpar apna vishwaas badhayenge, Unka aadar karenge, aur atalta se Unke gawaah ban kar khade rahenge.

Hum jitna zyaada Parmeshwar ke vishay me seekthe hai aur humare liye Unke pyaar ko mehsoos karte hain, hum uthna hi zyaada samajthe hain ki Ishu Maseeh ka anant balidaan Parmeshwar ka ek divya taufa hai. Aur Parmeshwar ka prem hume pashchataap ke sachche raaste par chalne ke liye prerith karta hai, jo maafi ki chamatkaar ki or le jaata hai. Yeh kriya humare aas paas jo hain unke or zyaada pyaar aur daya paane me madad karti hai. Hum lebal see hatt kar dekhna seekhenge. Hum logo ke paapo, kasar, khot, raajnitik lagaan, dhaarmik abhisansaa, raashtriyeta aur unke rang ko lekar unki aalochna karne ke bahekawe ka virodh karenge.

Hum jin sabhi se milenge unhe Pitah Parmeshwar — ke bachche aur apne bhai aur bahan ki nazar se dekhenge.

Hum sabhi ki or samajhdaari aur prem se badhenge —unki or bhi jinhe pyaar karna aasaan nahi hai. Hum unke saath shok manayenge jo shok mana rahe ho aur unhe shaanti pradaan karenge jinhe shanti ki zaroorat hai.2

Aur hume ahesaas hoga ki sahi susamachaar ka nishana kya hai ko lekar hume tadapne ki zaroorat nahi hai.

Yeh do mahaan agyaaen nishana hai. In do agyaaon par sabhi kanoon aur bhavishyevakta nirbhar hain.3 Humara ise swikaar karne par, sabhi achchi cheeze apni jagah par hogi.

Agar humara pratham dhyaan, soch, aur koshish Sarvashaktimaan Parmeshwar ki or pyaar badhaane mei kendrith hai, aur dusro ki or apna hirday badhane mei, hum jaan sakte hain ki hume sahi nishana mil chuka hai aur hum pakke nishaane—par nishaan laga rahe hain Ishu Maseeh ke sachche chele banne mein.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Is sandesh ko baatne se pahale, aap “Our Saviour’s Love” gaa sakte hain (Hymns, no. 113). Phir jinhe aap mel karne gaye ho unhe protsahit karein ki weh apne jeewan mei “nishana” par gaur karein…Aap varnan kar sakte hain yah pakka karne mei ki do mahaan agyaaen{em} “Apne Prabhu Parmeshwar se prem karna”aur “apne padosi se apni tarah prem karna”(dekhiye Matthew 22:37, 39){em}humesha unke kaarye ko maarg deta hai. Aap shayad baatna chahe ki kaise aap ne apne jeewan mei Maseeh par dhyaan diya aur apni gawahi dena chahe ki isse aap ko kaise ashish mili hai.