2017
Mormon Dharamshaastra ki Shakti
May 2017


Shikshan Sandesh Bhent, May 2017

Mormon Dharamshaastra ki Shakti

Tasveer
Pradhaan Thomas S. Monson

Mai chahata hoon ki hum sab prarthnasheelta se har din Mormon Dharamshaastra ka adhyan aur chintan kare.

Mere priye bhaaiyon aur bahanon, mai aapka swaagat karta hoon jab ki hum ek baar phir Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke ek badhiya maha sammelan mein mile hai. Mai aaj apna aupcharik sandesh ko shuru karne se pehle, paanch naye mandiron ki ghoshna karunga jo in ilaakon mein banenge: Brasília, Brazil; bhaari Manila, Philippines, chetra; Nairobi, Kenya; Pocatello, Idaho, USA; aur Saratoga Springs, Utah, USA.

Aaj subha mai Mormon Dharamshaastra ki shakti aur kyun itna avashyak hai ki hum Girjaghar ke sadasye iske shikshan ko apne jiwanon mein adhyan, chintan kare, aur amal mein laaye. Mormon Dharamshaastra ka mazboot aur pakka gawahi rakhne ki avashyakta ko bada chada kar nahin keh sakte hain.

Hum badi sankat aur buraaiyon ke samay mein ji rahe hai. Aaj ke duniya mein jo paap aur buraai itni faeli hui hai usse hum kaise bachenge? Mai ghoshna karta hoon ki hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih mein mazboot gawahi hona, aur Unke susamachaar mein hamein suraksha dene mein madad dega. Agar tum Mormon Dharamshaastra nahin padh rahe ho, kripya ki jiye. Agar tum use prarthnasheelta se padhoge aur achchi abhilaasha se sachchaai janne ki koshish karoge, Pavitra Aatma tumse uski sachchaai prakat karega. Agar yeh sach hai—aur mai datkar tumhe gawahi deta hoon ki aysa hai—tab Joseph Smith woh bhavishyevakta tha jisne Parmeshwar aur Unke Putra, Ishu Masih ko dekha tha.

Kyunki Mormon Dharamshaastra sach hai, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka Prabhu ka Girja hai is dharti par, aur Parmeshwar ka pavitra purohiti Unke bachchon ke bhalaai aur ashish ke liye punahsthaapit kiya gaya hai.

Agar tumahre paas yah gawahi nahi hai, yah gawahi parapt karne ke liye jo zaroori hai karo. Yeh avashyak hai ki tumhare paas apne khud ki gawahi ho in kathin samay mein, kyunki auron ki gawahi sirf kuch door tak rahega. Haalaanki, ek baar jab haasil kar lo, ek gawahi ko sakriye aur jiwit rakhna padhta hai lagataar Parmeshwar ke aagyaaon ke or aagyakaari hone se aur daenik prarthna aur dharamshaastra adhyan se.

Prabhu ke kaarye mein mere priye saathiyon, mai hum sab se niwedan karta hoon ki hum prarthnasheelta se adhyan karein aur Mormon Dharamshaastra ka har din chintan kare. Jab hum aysa karenge, hum Aatma ke aawaaz ko sunne ki, behkaawe se bachne ki, shak aur dar par vijay paane ki, aur apne jiwan mein swarg ki madad paane ki awastha mein rahenge. Mai yeh gawahi apne pure hriday se deta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.