2021
Maha Sammelan: Ek Vishwabhar ka Girjaghar Sabha
September 2021


“Maha Sammelan: Ek Vishwabhar ka Girjaghar Sabha,” Liahona, September 2021

Har Mahine ka Liahona Sandesh, September 2021

Maha Sammelan: Ek Vishwabhar ka Girjaghar Sabha

Maha sammelan ke daoraan hum log prophets aur Girjaghar ke anye leaders ko sunte hai. Woh hum logon ko sikhlaate hai Parmeshwar kya chahata hai hum sunein.

Tasveer
Conference Center(Sammelan kendr) ke baahar

Har April aur October, Girjaghar kuch sabhaaen bulaata hai jise maha sammelan kehte hai. Leaders Ishu Masih aur Uske susamachaar ke sikhaawe aur uske gawahi dete hai. Maha sammelan Salt Lake Shahar, Utah, USA me aayojit hota hai, aur duniya bhar me 80 bhaashaaon me prasaarit hota hai. Sabhi sadasye aur anye dilchaspi rakhne waale logon ko amantrit kiya jaata hai bhaashano ko sunne ke liye.

Tasveer
Conference Center(Sammelan Kendr) ke bheetar

Woh Pehle Girjaghar ke Sammelanein

Girjaghar ke official tarike se aayojit kara ge raha ek sabha me April 6, 1830 me (dekhiye Doctrine and Covenants 20). Sabse pehla maha sammelan hua tha June 9, 1830 ko. Tab se, maha sammelanein Girjaghar ke President ke aguwaai me hota aa raha hai jahan kahi sadasye ikattha ho sakte hai. 1840s me, leadaron ne sammelan ko saal me do baar karna shuru kiya.

Tasveer
President Nelson pulpit(manch) par

Aaj Sammelanein Kaise Aayojit Hoti Hai

First Presidency, Barah Devduton ka Quorum, aur baaki Girjaghar leaders maha sammelan ke daoraan bhaashan denge. Temple Square pe sthit Tabernacle Choir aur Girjaghar ke baaki choirs sangeet pradaan karenge. Har ek sammelan me paanch(5) sessions hote hai: teen Shaniwaar ko aur do Raviwaar ko. April me, Shaniwaar ka teesra session Aaronic aur Melchizedek Purohiti ke quorums ke sadasyon ke liye hai. October me, yeh Sahayak Sanstha aur Jawaan Mahilaaon ke sadasyon ke liye hai.

Leadaron ki Shiksha

Sammelan se pehle waale mahino me, Girjaghar ke leaders praathna karte hai ki kya sikhaana chahiye. Prabhu unhe prerit karta hai jaanne ke liye ki unhe kya kehna hai. Woh susamachaar ki sachchaaiyaan sikhaate hai aur hamein Parmeshwar ke niyamo ka paalan karne ka nimantran dete hai. Woh Ishu Masih ki bhi gawahi dete hai aur hamein Unki tarah banne ka protsaahan dete hai.

Maha Sammelan Se Seekho

Maha sammelan se pehle, hum praathna kar sakte hai woh sunne ke liye jo Prabhu chahata hai hum seekhein. Jab hum bhaashano ko sunenge, Aatma hamein woh sikhaaega jo hamein jaanne ki zaroorat hai. Sammelan ke baad, bhaashanein ChurchofJesusChrist.org, Gospel Library app, aur Liahona me up dikhaai deta hai. Hum Ishu Masih aur Uske susamachaar ke baare me zyaada jaanne ke liye praarthnapurwak bhaashano ko stady kar sakte hai.

Dharamshaastra Me Se

Ishu Masih sikhaais ki hum log ke chaahi aksar ek saath milo (dehiye 3 Nephi 18:22).

Jab Girjaghar ke sadasye ek saath bhakti karte hai, Prabhu unke saath rahega (dekhiye Matthew 18:20).

Prabhu Girjaghar ke sadasyon ke ek dusre ke ”nirdeshan dewe aur uh log ke unnati kare” ke aagya dees raha (Doctrine and Covenants 43:8).

Jab Girjaghar ke sadasye Masih me vishwaas dekhaawe hai, toh Uske Aatma uh log ke saathe rahe jab uh log mili (dekhiye Doctrine and Covenants 44:2).