2021
Mandir ke Kaarye
October 2021


“Mandir ke Kaarye,” Liahona, October 2021

Har Mahine ka Liahona Sandesh, October 2021

Mandir ke Kaarye

Mandirein Prabhu ka ghar hai. Hum mandiron me Unke saath dharamvidhiyon ko haasil karte hai aur vachano ko bana sakte hai. Hum apne purwajon ke liye mandir me dharamvidhiyon ko pura kar sakte hai.

Tasveer
mandir

Barranquilla Colombia Mandir ke tasveer Bruno Lima ne utaara.

Itihaas bhar me, Prabhu Apan logon se kahte aais mandiron koX banaao. Mandirein paak jagha long hai jahan humlog Parmeshwar ke pyaar mehsoos karta, dharamvidhiyon ke haasil karta, aur Unse vaada karta hai. Girja duniya bhar me mandiron ko bana rahe hai taaki zyaada se zyaada logon ko ashirwaadein mil sakein.

Tasveer
ek mahila mandir ke aage

Ek mahila ka tasveer Oquirrh Pahaad Utah Mandir ke aage Nexeo aur Matthew Reier ne utaara.

Woh Uphaar(Endowment)

Girjaghar ke sadasye jon dhaarmik tarike se jeete hai mandir jaa kar dharamvidhiyon ko haasil karte hai aur Parmeshwar ke saath vachano, ya vaado ko banate hai. Ek dharamvidhi jon hum log ke mandir me mile hai woh hai endowment. Yeh shabd endowment ke matlab hai “ek uphaar.” Endowment Parmeshwar ka diya gaya uphaar hai. Is dharamvidhi me hum log seekhte hai Swarg ke Pita ke yojna ke baare me hamare uddhaar ke liye, aur hum log vachano ko banante hai Parmeshwar ke aagyaaon ko nibhaane ke liye. Jab hum log banae gaye vachano ke prati imaandaar rahenge, Parmeshwar hamein ashirwaad dega.

Tasveer
ek dampati mandir ke aage

Manila Philippines Mandir ke paas se guzarte huwe ek dampati ki tasveer Cristina Smith ne utaari

Pariwaaron ko Ek Saath Baandhna(Seal Karna)

Mandir me huwe shaadi ko ek sealing bhi kehte hai. Jab ek dampati mandir me seal hote hai aur apne vachano ko nibhaate hai, unka shaadi hamesha ka hoga. Jab unhe bachche honge, woh bachche bhi unse seal ho(bandh) jaaenge. Jo maata-pita bachcho ke paeda hone ke baad seal hote hai woh apne bachchon ko apne saath seal karwa sakte hai. Jab woh dhaarmik jiwan jiyenge, woh anantta tak ek pariwaar bane rahenge.

Tasveer
Lisbon Portugal Mandir ka baptisma sthaan

Lisbon Portugal Mandir ka baptisma sthaan ka tasveer Leslie Nilsson ne utaara.

Parmeshwar ke Sabhi Bachcho ke Liye Mandir ke Kaarye

Hum log pariwaar itihaas kaarye karte hai apne purwajo ke baare me pata lagane ke liye. Uske baad hum unke liye mandir ke kaarye karte hai. Hum unke liye woh sab dharamvidhiyaan karte hai jo jiwit logon ke liye zaroori hai: baptisma, confirmation, (purshon ke liye) purohiti paana, endowment, aur sealing. Uske baad woh chun sakte hai kya woh in dharamvidhiyon ko apnaate hai. Is tarah se, Parmeshwar ke sabhi bachche susamachaar ke ashirwaadon ka anand le sakte hai.

Tasveer
ek pariwaar mandir ke aage

Philadelphia Pennsylvania Mandir ke aage ek pariwaar ka tasveer Cody Bell ne utaara.

Mandir ke Kaarye ke Ashirwaadein

Jab hum mandir me banaae vachano ko nibhaate hai, hamein ashirwaad milega, surakshit honge, aur mazboot rahenge. Hamare saath purohiti ki shakti rahegi. Hamare pariwaarein hamesha ke liye saath honge.

Mandir shaanti aur prerna paane ka jagah bhi hai. Jab hum mandir ke kaarye karte hai, hum log dhaarmik maargdarshan paa sakte hai aur Parmeshwar ka pyaar mehsoos karenge.