2022
Gareebo aur Sankatgrast Logon ki Madad Karna—Kuch Bhaag
November 2022


Har Mahine ka Liahona Sandesh, November 2022

Gareebo aur Sankatgrast Logon ki Madad Karna

Kuch Bhaag

Tasveer
Oaks ki postar quote

Hamare saathiyon ke liye bahut kalyaan aur maanviye sewa Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka dwara sikhaaya aur abhyaas kiya jaata hai. Uddharan ke liye, hum har mahine ki pehli taareekh ko upwaas rakhte hai aur apni sabhaaon me zarooratmando ki madad karne ke liye kam se kam bina khaae huwe bhojan ke baraabar ka yogdaan karte hai. Girjaghar duniya bhar me maanviye aur anye sewaaon ke liye bhi bahut bada yogdaan deta hai.

Hamara Girjaghar seedhe taor par jo kuch bhi karta hai, uske baawajood duniya bhar me Parmeshwar ke bachcho ke liye adhikaansh maanviye sewa un logon aur sangathano dwara ki jaati hai jinka hamare Girjaghar se koi aupchaarik sambandh nahi hai.

Ishu Masih ka Girjaghar zarooratmando ki sewa karne ke liye pratibadh hai, aur yeh us prayaas me dusron ke saath sehyog karne ke liye bhi pratibadh hai.

Aaj ka revelaishan sikhaata hai ki hamara Rakshak, Ishu Masih,“sachchi jyoti hai jo sansaar me aane waale har ek manushye ko prakaashmaan karti hai.” [Doctrine and Covenants 93:2]. Isi kaaran, Parmeshwar ke sabhi bachcho ko unke gyaan aur chamta ke anusaar Unki aur ek dusre ki sewa karne ke liye prakaashmaan kiya jaata hai.

Hamein se adhik logon ko dusron dwara kie gae achchhe kaaryon ko pehchaana chahiye aur uska samarthan karaa chahiye kyunki hamare paas aisa karne ke liye samay aur saadhan hain.

Main Ishu Masih kee gawahi deta hoon, jiska prakaash aur Aatma duniya bhar me gareebon aur sankatagrast logon ki madad karne ke liye Parmeshwar ke sabhi bachchon ka maargadarshan karta hai.