2022
Hum Daswa Hissa Kyun Dete Hain
December 2022


“Hum Daswa Hissa Kyun Dete Hain” Liahona, Dec. 2022.

Har Mahine ka Liahona Sandesh, December 2022

Hum Daswa Hissa Kyun Dete Hain

Tasveer
ek ke upar ek rakhe huwe sikke(coins)

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka ke sadasye, apne kamaai ka daswa-hissa Girjaghar ko dete hain. Ise daswa hissa kehte hai. Is paise ka istemaal pooree duniya mein Girjaghar ka kaam karne ke liye istemaal kya jaata hai.

Daswa Hissa Konchi Hai?

Parmeshwar ki aagyaon mein se ek hai daswa hissa dena, jo ki hamari kamaai ka daswa hissa, Unke Girjaghar ko dena hai. Jab ham daswa hissa dete hain, to hum apni aashishon ke liye Parmeshwar ke prati abhaar prakat karte hain. Hum dikhaate hain ki hamein Prabhu par bharosa hai aur hum har baat mein Uski aagya maanne ko taeyaar hain.

Tasveer
log daswa hissa dewe ke roop mein Melchizedek ko saamaan laate hain

Melchizedek—Keeper of the Storehouse[Godaam ka Rakhwaala], Clark Kelley Price dwara

Puraana Niyam ki Shikshaen

Parmeshwar ke logon ne Puraana Niyam ke samay se hee daswa hissa diya hai. Udhaaran ke liye, Abraham ne daswa hissa diya (dekhiye Genesis 14:18–20). Daswa Hissa ka niyam Moses aur Malachi sahit praacheen prophets dwara bhi sikhaya gaya tha (dekhiye Leviticus 27:30–34; Nehemiah 10:35–37; Malachi 3:10).

Daaswa Hissa ke kaanoon ki Punahsthaapna

1838 mein, Prophet Joseph Smith ne Prabhu se pucha ki Girjaghar ke sadasyon ko daswa hissa kaise dena chahiye. Prabhu ka uttar Doctrine and Covenants 119 mein darj hai, jo kehta hai ki sadasyon ko apni byaaj ka daswa hissa Girjaghar ko dena chahiye (dekhiye verse 4). Girjaghar ke netaon ne sikhaaya hai ki “byaaj” ka arth kamaai hai.

Tasveer
log haath milaate hue ek lifaafa dusre ko dete hain

Jamie Dale Johnson dwara li gayi tasveer

Daswa Hissa Kaise Bharein

Hum onlain daan form bharkar daswaa hissa bhar sakte hain donations.ChurchofJesusChrist.org mein. Ya hum ek kaagaz waala form bhar sakte hain aur bishopric ya shaakha presidensi ke kisi sadasye ko paise de sakte hain. Saara paisa Girjaghar ke headquarters ko bheja jaata hai, jahan Girjaghar ke neta (First Presidency, Barah Devduton ki Parishad, aur Presiding Bishopric) praarthnaapurvak nirnay lete hain ki iska upyog kaise kiya jaega.

Ashirvaadein

Prabhu ne vaada kiya hai ki jo log daswa hissa dete hain unhein asthaayi aur aadhyaatmik rup se aashirvaad diya jaega. Daswa hissa ne Parmeshwar ke sabhi bachchon ko Uske baare mein sikhne aur susamachaar mein badhne ka avsar bhi diya.

Tasveer
Salt Lake Mandir

Daswa Hissa Paisa ka Upyog Kaise Kiya Jaata hai

Daswa hissa ke paise ka upyog duniya bhar mein Prabhu ke Girjaghar ke nirmaan ke liye kiya jaata hai. Ismen mandiron aur anye Girjaghar sanrachnaon ka nirmaan, dharmgranthon aur anye saamagriyon ko chaapna, Girjaghar ke paathshaalon ko chalaana aur paarivaarik itihaas aur mishanari kaaryon mein madad karna shaamil hai.

Daswa Hissa Ghoshna

Saal mein ek baar, Girjaghar ke sadasye apne bishop (ya shaakha adhyaksh) se milte hain aur unhen batate hain ki kya weh purn-daswa hissa bharnewaale hain.

Daswa Hissa konchi ke Bharpaai Kare hai

Tasveer
Oakland California Mandir

Oakland California Mandir ka Tasveer Longin Lonczyna Jr. dwara

Tasveer
vibhinn bhaashaon mein Mormon ki Pustak ki copiyaan
Tasveer
meetinghouse(baethak ghar)