2023
Ishu Masih Ke Shikshaen
May 2023


Har Mahine ka Liahona Sandesh, May 2023

Ishu Masih Ke Shikshaen

Kuch Bhaag

Tasveer
diwarikagaz

Jaisa ki bhavishyevakta Nephi ne hamen sikhaya tha, hamen “Masih ke vachanon par daavat deni chaahiye; kyunki dekho, Masih ke vachan tumhen sab kuch bataenge ki tumhen kya karna chahiye.”1 … Aaj ke mere sandesh mein Rakshak ke shabdon ka chayan shaamil hai—Unhonne jo kaha hai. …

“[Kaanoon mein sabse badee aagya yah hai:] tumhe Prabhu apne Parmeshwar ko pure hirday, aur pure aatma, aur pure mann se prem karna chahiye.

“Badi aur mukhye aagya to yahi hai.

“Aur dusra pehle ki tarah hai, Tumhe apne padosi se apni tarah prem karna chahiye.

“Issi do agyaaon par sara kanoon aur bhavishyevakta nirbhar hain.”2 …

“Main tumse sach sach kehta hoon, ki tumhe sadaa jaagte aur praathna karte rahena chahiye, kahi aisaa na ho ki tum shaetaan dwara laalach mein pad jaao, aur uske dwara daas banaaye jaao.”3 …

“Isiliye, jo bhi tum karoge, mere naam mein karoge, isliye girje ka naam tum mere naam par rakhoge.”4 …

“Ab yah aagya hai ki: Paschataap karo, sabhi duniya ke rehne waalon mere paas aao aur mere naam, se baptisma lo, taaki tum Pavitra Aatma ka swaagat karo, taaki tum Pavitra Aatma ka swaagat kar sako, taaki tum antim din mere saamne bedaag raho.”5 …

Hum Masih mein vishwaas karte hai. Hamen Unki shikshaon ko kaise jaanna chahiye aur Unka paalan kaise karna chahiye, iske baare mein Unhonne jo kaha, usse main apni baat samaapt karta hoon:

“Parantu Sahayak, arthaat Pavitra Aatma, jise Pita mere naam se bhejega, woh tumhe sab baate sikhaaega, aur jo kuch maine tum se kaha hai, woh sab tumhe yaad dilaaega.”6