Maha Sammelan
Baandhne(Seal Karne) ki Shakti
Aktubar 2023 maha sammelan


Baandhne(Seal Karne) ki Shakti

Baandhne ki shakti Parmeshwar ke bachcho ke liye vyaktigat uddhaar aur parivaarik utthaan ko yuniversal roop se uplabdh karaata hai.

Yeh bhavishyevaani ki gayi hai kam se kam Isaiah ke dino se hee1 ki antim dino me, Prabhu ki pracheen samay ke vachanbadh log, Israel ka ghar, “apne bhaari bikhraao se, samudr ke duipon se, aur dharti ke chaar bhaagon se ikattha kiye jaaenge”2 aur unhe “unki viraasat kee bhomi” me punahsthaapit kiya gaya.3 Pradhaan Russell M. Nelson ne is ikattha hone ke baare me aksar aur sashakt roop se baat kee hai, ise “aaj dharti pe hone waala sabse zaroori kaam hai” kaha hai.4

Is ikattha karne ka lakshye kya hai?

Prophet Joseph Smith ke revelaishan se, Prabhu ne vachanbadh logon ki suraksha ke roop me ek uddeshye ki pehchaan ki. Usne kaha, “Zion ke zameen par, aur uske stakes par ikattha hona, bachaao ke liye [hoga], aur toofaan aur krodh se sharan ke liye ho, jab woh saari prithvi par bina milaawat ke fael jaaega.”5 Is tarah se “krodh” ko Parmeshwar ke niyamo aur aagyaaon ko bhaari roop se naa paalan karne ke swabhaawik parinaam samjha jaa sakta hai.

Sabse mahatwapurn baat yeh hai ki is ikattha hone ka uddeshye un sabhi ke liye moksh aur unnati ka ashirwaad laana hai jo unhein praapt karenge. Is tarah Abraham ko diye gaye vachan ke vaade poore hote hai. Prabhu ne Abraham se kaha ki uske vansh aur purohiti ke maadhyam se “dharti ke sabhi parivaaron ko ashirwaad diya jaana chaahiye, yahan tak ki susamachaar ke ashirwaad se, jo moksh ka ashirwaad hai, yahan tak ki anant jiwan ka bhi.”6 Pradhaan Nelson ne use is tarah batlaaya: “Jab hum susamachaar ko apnaate aur baptisma lete hai, hum Ishu Masih ka pavitra naam apne upar lete hai. Baptisma woh faatak hai jisse nikal kar hum un sab vaadon ke hakdaar honge jo puraane samay me Prabhu ne Abraham, Isaac, Jacob, aur unke bachchon ko diya tha.”7

1836 me, Moses Kirtland Mandir me Prophet Joseph Smith ke saamne prakat huwe aur “dharti ke chaar hisso se Israel ko ikattha karne ki chaabiyaan … samarpit ki.”8 Usi samay, Elias bhi unke saamne aaya, aur “Abraham ke susamachaar ke yug ka jimwaari diya, yeh keh kar ki hum me aur unke vansh me ashish aayega.”9 Is adhikaar ke saath, ab hum Ishu Masih ke susamachaar—Unke maadhyam se mukti ki achchi khabar—ko dharti ke sabhi hisson aur logon tak le jaate hai aur un sabhi ko ikattha karte hai jo susamachaar ki vahcan me shaamil honge. Weh “Abraham ka vansh, aur girjaghar aur raajye, aur Parmeshwar ke chune huwe” ban jaate hai.10

Usi samay pe Kirtland Mandir me ek teesra swarg ka doot tha, jo Joseph Smith aur Oliver Cowdery ko dikhaa. Mai prophet Elijah ki baat karta hoon, aur yeh woh adhikar aur chaabiyaan hai jinhe usne punahsthaapit kiya tha jispe aaj mai baat karna chaahata hoon.11 Sabhi purohiti dharamvidhiyon ko maanye karne aur unhe dharti aur swarg dono par baadhyekaari banaane ki shakti—seal hone ki shakti—veil ke dono taraf ek vachanbadh log ko ikattha karne aur taeyaar karne ke liye mahatvapoorn hai.

Saalon pehle, Moroni ne Joseph Smith ko yeh spasht kar diya tha ki Elijah avashyak purohiti adhikaar laaega: “Mai Elijah jo prophet hai ke haath se tumhare saamne purohiti praat karoonga.”12 Joseph Smith ne baad me samjhaya: “Elijah ko kyun bheja? Kyunki uske paas Purohiti ke sabhi dharamvidhiyon ko prakaashit karne ke adhikaar ki chaabiyaan hai; aur [jab tak] adhikaar nahi diya jaata, dharamvidhiyon ko dhaarmikta se prashaashit nahi kiya jaa sakta”13—arthaat, dharamvidhiyaan samay aur anant kaal dono me maanye nahin honge.14

Ek seekh me jo ki ab shaastr ban gaya hai Doctrine and Covenants me, Profat Joseph Smith ne kaha: “Shaayad kuch logon ke liye yeh bahut sakht dharamsiddhaant hoga jiski hum baat karte hai—ek shakti jo swarg me record karta ya baandhta hai. To bhi, duniya mein har yug mein, bhi Prabhu ne vaastavik revelaishan dwara kisi samooh ko purohiti ki vyavastha di hai, yeh shakti hamesha di gayi hai. Isliye, un logon ne Prabhu ke naam par adhikaar ke saath jo kuch bhi kiya, aur use sachchai aur imaandaari se kiya, aur uska uchit aur wafadaar rikord rakkha, yeh dharti aur swarg me ek maanoon ban gaya, aur ise radh nahi kiya jaa saka, mahaan Yahowa ki aagya ke anusaar.”15

Hum sealing adhikaar ko sirf kuch mandir dharamvidhiyon par laagu karne ke baare me sochte hai, lekin yeh adhikaar kisi bhi dharamvidhi ko valid aur mrityu se pare baandhne ke liye avashyak hai.16 Uddharan ke liye, sealing shakti aapke baptisma par maanyeta ki muhar pradaan karti hai, taaki ise yahaan aur swarg me pehchaana jaa sake. Anth me, sabhi purohiti dharamvidhiyaan Girjaghar ke President ke chaabiyon ke tahat nishpaadit ki jaati hai, jaise ki President Joseph Fielding Smith ne samjhaya tha, “Usne [Girjaghar ke Adhyaksh] hamein adhikaar diya hai, usne hamare purohiti me sealing shakti daal di hai, kyunki woh un chaabiyon ko rakhta hai.”17

Israel ko ikattha karne ka ek aur mahatwapurn uddeshye hai jiska vishesh arth hai jab hum dharti par aur swarg me sealing ke baare me baat karte hai—yaane mandiron ka nirmaan aur sanchaalan. Jaise Profat Joseph Smith ne samjhaya: “Duniya ki kisi bhi yug me … Parmeshwar ke logon ko ikattha karne ka uddeshye kya tha? … Mukhye udddeshye Prabhu ke liye ek banaana tha jisse Woh Apne logon ko Apne ghar ke niyamon aur Apne raajye ki mahimaaon ko prakat kar sake aur logon ko mukti ka maarg sikha sake; kyunki kuch niyam aur siddhaant hai, jab unhe sikhaaya aur abhyaas kiya jaata hai, to unhein us uddeshye ke liye banae gaye sthaan ya ghar me kiya jaana chahiye.”18

Purohiti dharamvidhiyon ko sealing shakti jo maanyeta deti hai, usme nishchit roop se, Prabhu dwara nirdhaarit sthaan—Unka mandir—me kiye gaye dusro ke liye kiye gaye dharamvidhiyaan shaamil hai. Yahan hum sealing shakti ki mahima aur pavitrata dekhte hai—yeh Parmeshwar ke bachcho ke liye vyaktigat uddhaar aur parivaarik utthaan ko yuniversal roop se uplabdh karaata hai, chaahe weh dharti par kaheen bhi aur kabhi bhi rahe hon. Koi bhi anye dharamshaastr ya darshan ya praadhikaran sarva-samaveshee avsar ki barabari nahi kar sakta. Yeh sealing shakti Parmeshwar ke nyaaye, daya, aur pyaar ka ek sampurn mahima hai.

Sealing shakti tak pahunch ke saath, hamara dil swabhaavik roop se un logon ki or mugh jaata hai jo pehle ja chuke hai. Vachan me antim-din ki ikattha hona me shaamil hai woh bhi hai jo veil ke us paar jaa chuke hai. Parmeshwar ke aadarsh kram me, jiwit insaan apne “pitaaon,” yaani apne poorvajon ke saath sthayi sambandh banae bina anant jiwan ko uski purnata me anubhav nahi sakte hai. Isi tarah, un logon ki pragati jo pehle se hi us paar, ya jo abhi bhi sealing ke laabh ke bina maut ke veril ko paar kar sakte hai, tab tak adhuri hai jab tak ki unke liye dharamvidhi unhe hamare, unke vanshajo, aur hamein divye roop se unke saath nahi baandh dete.19 Veil ke paar ek dusre ki sahayta karne ki zimmedaari ko ek vachan ke vaade ke roop me tehraaya jaa sakta hai, jo naya aur hamesha ke vachan ka hissa hai. Joseph Smith ke shabdo me, hum “apne mritako ko pehle punarjiwan me [hamare saath] baahar aane ke liye seal karna chahate hai.”20

Sealing shakti ki uchchatam aur pavitr viwaah me ek purush aur ek mahila ke anant milan aur unki sabhi peedhiyon ke maadhyam se maanav jaati ke judaao me hai. Kyunki in dharamvidhiyon me kaarye karne ka adhikaar itna pavitr hai, Girjaghar ka President khud dusron ko is dene ka dekhrekh karta hai. President Gordon B. Hinckley ne ek avsar par kaha, “Maine kayi baar kaha hai ki agar parivaaron ko hamesha ke liye ek saath baandhne ke liye pavitr purohiti ki sealing shakti ke alaawa punahsthaapna ke sabhi dukho aur kashton aur dard se aur kuch nahi nikla hota, toh yeh uski laagat ke laayak hai.”21

Un sealings ke bina, jo anant parivaaron ko banati hai aur yahan aur uske baad ki peedhiyon ko jodhti, hum anant kaal me na toh jadon aur na hi shaakhaaon—yaani na vansh aur naa hi vanshawaali ke saath bache rahenge. Yeh ek or vyaktigat kee mukt-askthaayee, asambandh sthiti hai, ya ayse sambandh hain jo Parmeshwar dwara niyukt viwaah aur paarivaarik sambandhon ko aswikaar karte hai,22 dusri or, jo dharti ke banane ke mool uddeshye ko barbaad kar dega. Yadi yeh aadarsh ban jaata, toh yeh Prabhu ke aagman par dharti ko abhishaap se peedit hone ya “puri tarah se barbaad” hone ke samaan hota.23

Hum dekh sakte hai ki kyun “ek purush aur ek mahila ke beech vivaah Parmeshwar ki niyukti hai aur parivaar apne bachcho ki anant niyati ke liye nirmaata ki yojna ka kendr hai.”24 Saath hi, ham maante hai ki apoorn vartamaan me, yeh kuch logon ke liye vaastavikta ya kuch hadh tak mumkin bhi nahi hai. Lekin hamein Masih par aasha hai. Jab hum Prabhu ka intazaar karte hai, President M. Russell Ballard hamein yaad dilaate hai ki “dharamshaastr aur antim-din prophets is baat ki pushti karte hai ki har koi jo susamachaar ke vachano ko rakhne me wafadaar hai, uske paas maoka hoga unnati ka.”245

Kuch logon ne dukhi aur aswasth paarivaarik paristhitiyon ka anubhav kiya hai aur ek anant paarivaarik sehyog ki bahut kam ichcha mehsoos karte hai. Elder David A. Bednar ne dekha tha: “Aapne, jinhonne apne parivaar me talaakh ki peeda ka anubhao kiya hai ya vishwaas ke ullaghan ki peeda mehsoos ki hai, kripya yaad rakhein [ki parivaaron ke liye Parmeshwar ka pettan] aapne saath phir se shuru hota hai! Aap ki peedhiyon ki chaen ki ek kadi bhale hi toot gayi ho, lekin anye dhaarmik kadiyaan aur chaen ke baaki bhaag abhi bhi anant roop se mahatwapurn hai. Aap apni chaen me taakat jodh sakte hai aur shaayad tooti kadiyon ko waapas laane me bhi madad kar sakte hai. Woh kaarye ek-ek karke poora kiya jaaega.”26

Pichli Julaai me, Elder Jeffrey R. Holland ki patni, Bahan Pat Holland ki antim sanskaar sewaaon me, President Russell M. Nelson ne sikhaaya tha: “Samay ke saath, Patricia aur Jeffrey phir se milenge. Baad me woh apne bachchon aur unki vachan-paalan karne waale bhaavi peedhi ke saath judhkar us anand ki paripurnata ka anubhav karenge jo Parmeshwar ne apne wafadaar bachcho ke liye rakkha hai. Yeh jaankar, hum samajhte hai ki Patricia ke jiwan ki sabse mahatwapurn taareekh uski janm tareekh ya uski mrityu ki taareekh nahi thi. Unki sabse mahatwapurn taareekh 7 June, 1963 thi, jab unhein aur Jeff ko seal kiya gaya tha St.(Saint) George Mandir me. … Yah karan itna mahatvapurn kyun hai? Kyunki dharti ke banane ka mool kaaran hi yeh tha ki parivaarein shuru ki jaae aur unhe ek dusre se joda jaa sake. Uddhaar akele hi paa sakte hai, par unnati pariwaar ke saath paana hai. Koi bhi peeche nahi chodha jai.”

Kuch samay pehle, mai aur meri patni Bountiful Utah Mandir ke ek sealing kamre me ek priye dost ke saath shaamil huwe. Mai is dost se pehli baar tab mila jab woh Córdova, Argentina me ek bachchi thi. Mai aur mera mishnari saathi mishan daftar se kuch hi door pados me logon se sampark kar rahe the, aur jab hum uske ghar pahunche to usne darwaaza khola. Uchit samay me, woh aur uski maan aur bhaai-bahan Girjaghar me shaamil ho gaye, aur weh wafadaar sadasye bane rahe. Woh ab ek pyaari mahila hai, aur is din hum uske mrit maata-pita ko ek dusre se seal karne aur phir use unke saath seal karne ke liye mandir me the.

Ek dampati jo saalon se gehre dost ban gaye hai, altar(vedee) par uske maata-pita bane. Yeh ek bhaaoaatmak pal tha jo tab aur bhi madhur ho gaya jab hamari Argentina ki dost ko uske maata-pita se ke saath seal kiya gaya. Duniya se door ek shaant dopahar me hum me se sirf che log maojood the, aur phir bhi prithvi par hone waale sabse mahatwapurn cheezon me se ek ho rahi thi. Mai is baat se santusht tha ki ek yuwa mishnari ke roop me uske darwaze par dastak dene se lekar ab, kayi saalo ke baad, sealing dharamvidhi ka paalan karne tak, jisne use uske maata-pita aur pichli peedhiyon se joga, meri bhumika aur judaao puri tarah se saamne aaya.

Yeh drishye duniya bhar ke mandiron me lagataar ghatit hota rehta hai. Vachan liye logon ko ektrit karne ka yeh antim charan(step) hai. Yeh Ishu Masih ke Girjaghar me aapki sadasyata ka sarv-uchch saobhaagye hai. Mai vaada karta hoon ki jaise hi aap imaandaari se us saobhaagye ki talaash karenge, samay ya anant kaal me woh nichchit roop se aapka ho jaaega.

Mai gawahi deta hoon ki Joseph Smith ke dwara dharti par punahsthaapit ki gayi sealing shakti aur adhikaar sachcha hai, ki jo dharti par bandha hua hai woh sach me swarg me bandha hua hai. Mai gawahi deta hoon ki President Russell M. Nelson, Girjaghar ke President ke roop me, aaj dharti par ekmaatr insaan hai jo apni chaabiyon se is alaukik shakti ke upyog ko nirdeshit karte hai. Mai gawahi deta hoon ki Ishu Masih ke Praeshchit ne amarta ko satye bana diya hai aur unche paarivaarik rishton ki sambhaaona ko sach bana diya hai. Ishu Masih ke naam se, amen.