2010
Koi Shresht Nahin Hay
March 2010


Yuva

Koi Shresht Nahin Hay

Mainne hamesha Nephi ki tarah banna chaha: aagyakaarita mein sakht, ati vishwaasi, aur ati dhaarmik. Meri nazron mein Nephi achchaai ka uttam udharan tha. Kuch baatein mujhe bhaati thi sirf bada hokar unke jaisa banne se---ya unke shreshtta ke kuch hi bhaag ko apnaane ki shuruaat karna.

Ek din main ek choti si sankat se guzar raha tha, jo aparyaapt hone ke ehsaas se aata tha. Mere kitni abhilaashaaen aur lakshye the. Magar kuch bhi to nahin kar pa rahi thi. Niraasha ke aansuwon mein, mainne apne ehsaas apne pita ko batlaaya. Woh turant khada hua, pustak case ke paas gaya, aur Mormon Dharamshaastra ki apni ek caapy nikaali. Kuch kahe bina, usne 2 Nephi 4 ko khola aur verse 17 se padhna shuru kiya.

Mere badan mein bijli ki tarah kapkapi daud padi jab mainne in shaktishaali shabdon ko suni: “He abhaage manushye arthaat swanye main!” Mera soch idhar-udhar jaane laga. Kaise Nephi, jo mera naayak(hero) aur uddhaaran tha, apne aap ko “abhaaga” keh sakta tha? Agar woh abhaaga tha, to main kya thi?

Ek baar phir, woh bijli mere andar daud padi jab mere pita ne verse 28 padha: “Meri aatma, jaago! Ab paap ki or mat jhuko.” Aisa mehsoos hua ki niraasha ke baadal mere mann se hat gaye hay aur khula neela aasmaan aur tez dhup ki shaan aur garmi dikhaai di. Kaise is verse ne meri aatma ko ujjwal kiya uska varnan karna asambhav hay. Bahut kam dharamshaastra ke verses hay jinhonne mujhe aasha, prerna, aur anand se bhara hay is verse ki tarah.

Verse 30 mein, Nephi ne wohi kaha jo main soch rahi thi, sirf aur akarshit tarike se: “Tum mein mera hriday anand manaaega, mere Parmeshwar, aur mere mukti ki aadhaar shila.” Yeh verse apne saath shaanti aur kritigyata ke ehsaas laaya Prabhu ke snehsheel daya aur prem ke liye.

Mere pita ne pustak band ki aur samjhaaya ki kabhi kabhi yeh verses ko Nephi ka bhajan kehte hay. Phir usne mujhe dhiraj se batlaaya ki dharti ke mahaan vyakti bhi apurn hote hay, aur un logon ko apni apurnata ko pehchaanna chahiye ya phir woh ghamandi ho jaaenge aur, is kaaran, mahaan nahin.

Main samajh gayi. Sirf isliye ki mujh mein kamzoriyaan thi aisa to nahin ki main Nephi ki tarah nahin ban sakti thi. Apne kamzoriyon ko pehchaanne se main Nephi ke maansik chamta ke aur kareeb aayi. Nephi mahaan tha kyunki, aagyaakaari aur vishwaasi hone ke saath saath, woh vinamra tha aur apne kamiyon ko apnaata tha.

Us anubhav ke baad, mainne Nephi ke in shabdon ko bahumulya samjha hay. Har baar main ise padhti hoon, main wohi khushi aur prerna anubhav karti hoon jo pehli baar padhne se hua tha. Yeh verses mujhe batlaate hay ki main Parmeshwar ki putri hoon, aur apni kalpana se adhik ki chamta rakhti hoon. Main jaanti hoon ki agar main vishwaasi rahun aur aage badhti rahun, avarnaniye ashirvaad mere liye hay.