2010
Vyaktigat Dharamshaastra Adhayyan Dwara Pita Parmeshwar aur Ishu Masiha mein Vishwaas ko Mazboot Karna
March 2010


Shikshan Sandesh Bhent, March 2010

Vyaktigat Dharamshaastra Adhayyan Dwara Pita Parmeshwar aur Ishu Masiha mein Vishwaas ko Mazboot Karna

In dharamshaastron aur uddharanon ko ya, agar zaroorat pade, dusre siddhaant ko sikhlaiye jo un bahanon ko ashirvaad denge jinse tum bhent karti ho. Dharamsiddhaant ki gawahi dijiye. Jinhein tum sikhlaati ho unhein amantrit kijiye ki unhonne jo mehsoos kiya aur sikha hain unhein baantein.

“Jab main nayi nayi vivahit hui thi, … mujhe madhyaan ke bhojan ke liye amantrit kiya gaya tha jo mere ward ke un sabhi Sahayak Sanstha bahanon ke liye tha jinhonne Mormon Dharamshaastra ya Girjaghar ke itihaas ka ek choti pustak padhi thi. Main apne dharamshaastra adhayyan mein aniyat ho gayi thi, isliye main bhojan mein bhaag lene ke liye yogye thi choti se pustak padhne dwara kyunki woh saral tha aur usmein kam samay lagta tha. Bhojan karte samay, mujhe ek shaktishaali ehsaas hua ki mainne jo itihaas ki pustak padhi hay achchi thi, mujhe Mormon Dharamshaastra padhna chahiye tha. Pavitra Aatma mujhe prerit kar rahi thi apne dharamshaastra adhayyan ke tarike ko badalne ke liye. Usi din se main Mormon Dharamshaastra padhne lagi, aur kabhi nahin ruki.… Kyunki mainne dharamshaastra adhayyan daenik rup se shuru kar li thi, mainne apne Swarg ke Pita, Unke Putra Ishu Masiha aur mujhe kya karna chahiye Un ke jaisa banne ke liye ke baare mein sikha. …

“… Pratyek mahila apne ghar par susamachaar dharamsiddhaant shikshak ho sakti hay, aur Girjaghar mein pratyek bahan ko ek neta aur shikshak ke rup mein susamachaar gyaan jaanne ki zaroorat hay. Agar tumne abhi tak daenik dharamshaastra adhayyan ki aadat nahin daali, ab shuru kijiye aur padhte rahiye taaki tum tayyaar raho apni zimmedaariyon ke liye is jiwan aur anantta tak.”1

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha adhyakshta.

“Dharamshaastra ka ek adhayyan hamare aur hamare parivaaron ke bayaan mein sahayta dega. Aaj ke hamare bachche un aawaazon se ghire pal rahein hain jo unhein sachchaai ko chodne ka anurodh karte hay aur iske alaawa, unhein utsaate hay duniya ke sukhon mein rehne ke liye. Jab tak ki woh Ishu Masiha ke susamachaar mein atal hay, unke paas sachchaai ka bayaan hay, aur dhaarmikta mein jeene ki ichcha, woh in prabhaaon ke behkaawe mein pad jaaenge. Hamari zimmedaari hay unhein mazboot karne aur bachaane ki.”2

Pradhaan Thomas S. Monson.

“Hum chahate hay hamari bahanein dharamshaastra mein vidhwaan ho.… Tum unke anant sachchaaiyon ke saath ek rishta banaaoge apne achchaai ke liye, aur apne hi bachchon ke shikshan ke liye aur un sabhi ke liye jo tumhaare prabhaao mein aate hay.”3

“Hum chahate hay ki hamare gharon mein bahanein dharamshaastra mein vidhwaan ho---chaahe woh aviwaahit ho ya viwaahit, jawaan ya vridh, vidhwa ya ek parivaar mein reh rahi ho. Dharamshaastron ke visheshag baniye---na ki dusron ko neecha dikhlae, par unhein upar uthaen!”4

Pradhaan Spencer W. Kimball (1895--1985).

Vivaran

  1. Julie B. Beck, “My Soul Delighteth in the Scriptures,” Liahona, May 2004, 107--9.

  2. Thomas S. Monson, “Three Goals to Guide You,” Liahona, Nov. 2007, 118.

  3. Spencer W. Kimball, “Privileges and Responsibilities of Sisters,” Ensign, Nov. 1978, 102.

  4. Spencer W. Kimball, “The Role of Righteous Women,” Ensign, Nov. 1979, 102.

Shikshan Sandesh ke liye Sahayta

Apne bhent ke daoraan, sawaalon ke jawaab dijiye aur dharamshaastra istemaal karke raae dijiye. Gawahi dijiye ki kaise dharamshaastra adhyyan ne tumhaare vishwaas ko mazboot kiya hay. Jis bahan se aap bhent kar rahi ho unse puchiye ki kaise dharamshaastra adhyyan ne uske ghar aur parivaar ko mazboot kiya hay.

Vyaktigat Tayyaari

John 5:39

2 Timothy 3:14--17

2 Nephi 9:50--51; 31:20; 32:3--5

D&C 138:1--11