2010
Parmeshwar Ka Ek Mahaan Kaarye
April 2010


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2010

Parmeshwar Ka Ek Mahaan Kaarye

April 6, 1830

Ek sao assi varsh pehle, Joseph Smith, Oliver Cowdery, aur kuch anye log ikattha hue the Ishu Masiha ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ko ayojit karne ke liye. Sabhi drishtiyon se yeh ek saadhaaran magar dhaarmik sabha thi. Joseph likhta hay ki prabhubhoj ke baad, “Pavitra Aatma hamare samaksh bhaari maatra mein undela gaya—kuch logon ne bhavishvaani ki, jabki hum sab ne Prabhu ki jayjaykaar ki, aur behat kush hue.”1

Is din ki ghatnaaen aspasht thi duniya ke liye; woh akhbaaron mein nahin likhi gayi thi ya duniya mein prachaar ki gayi thi. Phir bhi, kaise swarg mein khushiyaan manaai gayi hogi aur Parmeshwar ki jayjaykaar hui hogi—kyunki usi din, Ishu Masiha ka Girjaghar is dharti par lauta tha!

Solomon Chamberlain

Us din se aaj tak, Swarg ke Pita ke laakhon vishwaas-prad beton aur betiyon ne Pavitra Aatma protsaahan ka paalan kiya aur baptisma ke pavitra paani mein daakhil hue. Aysa kaarne waala ek aadmi tha Solomon Chamberlain.

Solomon ek dhaarmik vyakti tha aur usne kai ghante prarthna mein guzaar di thi, paapon se chama maangne ke liye aur Swarg ke Pita se niwedan kar raha tha ki use sachchaai tak pahunchaae. 1816 ke aas paas, Solomon ko ek sapne mein vaada kiya gaya tha ki woh us din jiwit rahega jab Masiha ka Girjaghar ek baar phir is dharti par aayojit hoga Barah ki Parishad ke kaayda dwara.

Varshon baad Solomon naao dwara Canada safar kar raha tha jab woh naao Palmyra, New York ke chote se shahar mein ruk gayi. Wahan usne mehsoos kiya ki koi shakti use utarne ko keh rahi hay. Na jaante hue ki woh wahan kyun tha, woh shahar ke logon se baatein karne laga. Kuch der baad usne ek “sone ki Bible” ki charcha suni. Usne kaha ki un do shabdon ne “[ki] ek shakti jo bijli jaisi thi mere sir ke upar se lekar mere anghuton ke ant tak” pahunchaai.

Uski puch-taach use Smith ke ghar tak le gayi, jahan usne upasthit logon se baatein ki punahsthaapit susamachaar ke behtarin samachaar ke baare mein. Wahan par do din guzaarne ke baad aur sachchaai ki gawahi haasil karne ke baad, Solomon ne apni Canada ki yaatra sampann ki, apne saath 64 naye chaape gaye, Mormon Dharamshaastra ke khule panne le jaate hue. Woh jahan bhi gaya, usne logon ko sikhlaaya, “donon samaaj ke unche aur niche log, amir aur gareeb, … Parmeshwar ke mahaan kaarye ki tayyaari mein jo ghatne waala tha.”2

Parmeshwar Ka Ek Mahaan Kaarye

April 1830 ke us din ke baad, laakhon logon ne punahsthaapit susamachaar ki sachchaai ko paaya aur baptisma ke paani mein daakhil hue hay. Main gawaahi deta hoon ki “Parmeshwar ka yeh mahaan kaarye” aaj is dharti par hay. Main gawaahi deta hoon ki Prabhu Apne Girjaghar par nigraani karta hay aur use Apne Bhavishyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson dwara nirdesh karta hay. In antim dinon mein jeena koi aam ashirvaad nahin hay. Yeh vishaal samay hay, pracheen ke bhavishyevaktaaon ko purvagyaan se haasil hua aur chaokanne, swargduton dwara rakhwaali ki jaa rahi hay. Prabhu Apne Girjaghar ki parwaah karta hay. Woh Apne un logon ki bhi parwaah karte hay jo, Solomon Chamberlain ki tarah, Pavitra Aatma ki prernaaon ka paalan karte aur vishwabhar ke apne bhaaiyon aur bahanon ke saath milkar Parmeshwar ke is mahaan kaarye ko karne mein sahayta karte hay.

Vivaran

  1. Joseph Smith, History of the Church, 1:78 mein.

  2. “A Short Sketch of the Life of Solomon Chamberlain,” typescript, Church History Library (Internet par www.boap.org/LDS/Early-Saints/SChamberlain.html); aur dekhiye William G. Hartley, “Every Member Was a Missionary,” Ensign, Sept. 1978, 23. Girjaghar ko aayojit hone ke kuch din baad, Solomon Chamberlain ko Joseph Smith dwara baptisma diya gaya Seneca Lake, New York ke paani mein.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Vyaktigat Uddharan hamara sabse shaktishaali sikhlaane ka aozaar hay” (Teaching, No Greater Call [1999], 18). Jab tum Solomon Chamberlain ki kahani batlaaoge, parivaar ko amantrit karein un chanon ko yaad karein jab unhonne Aatma ke prernaaon ke anusaar kiya. Charcha karein kaise unke uddharan ne shaayad auron ko sahayta di. Parivaar sadasyon ko amantrit karein ki woh ayse samay ke baare mein batlaaye jab kisi aur ke achche uddharan ne unhe sahayta di thi.