2010
Vyaktigat Praktikaran Dhoondhna aur Praapt Karna
April 2010


Shikshan Sandesh Bhent, April 2010

Vyaktigat Praktikaran Dhoondhna aur Praapt Karna

In dharamshaastron aur uddharanon ko ya, agar zaroorat pade, dusre siddhaant ko sikhlaiye jo un bahanon ko ashirvaad denge jinse tum bhent karti ho. Dharamsiddhaant ki gawahi dijiye. Jinhein tum sikhlaati ho unhein amantrit kijiye ki unhonne jo mehsoos kiya aur sikha hain unhein baantein.

Main Kaise Vyaktigat Praktikaran Dhoondh Sakti Hoon?

“Hum vyaktigat praktikaran praapt karne ki tayyaari karte hay jaise bhavishyevaktaaon ne kiya, dharamshaastra adhayan karne se, upwaas se, prarthna se, aur vishwaas badhaane se. Vishwaas hi avashyak bhaag hay. Yaad kijiye Joseph ki tayyaari Pratham Drishti (First Vision) ke liye:

“‘Par yadi tum mein se kisi ko buddhi ki ghati ho, to Parmeshwar se maango. …

“‘Par vishwaas se maange, aur kuch sandeh na karein.’”1

Elder Robert D. Hales Barah Devduton ki Parishad ke.

“Prarthna tumhara apna maarg hay swarg mein jaane ka. Veil ki tumhari or taala laga hay.

“Par yeh sab kuch nahin hay. Unse, jinhonne socha tha ki praktikaran bina koi mehnat ke aata hay, Prabhu ne kaha:

“‘Tum ne samjha nahin; tum ne socha ki main tumhe woh de dunga, magar tumne mujhse maangne ko nahin socha.

“‘Magar, dekho, Main tumse kehta hoon, ki tumhein iska adhayyan apne mann mein karna chahiye; phir mujhse puchna hay ki yeh sahi hay ya nahin, aur agar yeh sahi hay tum apne andar mehsoos karoge ki yeh sach hay.’”2

Pradhaan Boyd K. Packer, Barah ke Parishad Pradhaan.

Kaise Main Vyaktigat Praktikaran Praapt Kar Sakti Hoon?

“Unke jaane maane rup mein, praktikaran ya prerna praapt hoti hay shabdon ya soch dwara jo mann ko batlaaya jaata hay (dekhiye Enos 1:10; D&C 8:2–3), achaanak praapt kiye gaye gyaanuday dwara (dekhiye D&C 6:14–15), achche aur bure ehsaas dwara kisi kaarye ko karne se pehle, ya phir prerna bhare naatako dwara bhi, jaise abhinay kalaaon mein. Jaise Pradhaan Boyd K. Packer, … Barah ke Parishad ke Pradhaan, ne kaha hay, ‘Prerna awaaz se zyaada ek ehsaas ke rup mein praapt hoti hay.’”3

Elder Dallin H. Oaks Barah Devduton ke Parishad ke.

“Mandir shiksha praapt karne ka ghar hay. Mandiron mein diye gaye zyaadatar shikshan pratikaatmak (symbolic) hote hay aur Aatma dwara sikhe jaate hay. Iska matlab hay hamein upar se shiksha milti hay. … Hamara siddhaant aur vaadon ka gyaan aur arth badhega jab hum aksar mandir lautenge sikhne ki ichcha se aur anant sachchaai jo sikhlaai jaati hay par gaur karne se. … Aao hum us dhaarmik shakti aur praktikaran ka anand lein jo hamein lagataar mandir jaane se milta hay.”4

Silvia H. Allred, pratham salahkaar Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein.

Vivaran

  1. “Personal Revelation: The Teachings and Examples of the Prophets,” Liahona, Nov. 2007, 88.

  2. “Personal Revelation: The Gift, the Test, and the Promise,” Ensign, Nov. 1994, 59–60.

  3. “Eight Reasons for Revelation,” Liahona, Sept. 2004, 8.

  4. “Holy Temples, Sacred Covenants,” Liahona, Nov. 2008, 113, 114.

Shikshan Sandesh ke liye Sahayta

Ek daura karne waale shikshak ke rup mein, tum Aatma ke prabhaao praapt kar sakte ho apne bahanon ki zarooraton ke liye aur kaise un zarooraton ko pura kiya jaaega. Jab tum is sandesh ko padhaaoge, baantein, jaise subidha ho, koi bhi prerna ya sahayta tumne praapt ki ho shikshan sandesh ke baare mein.

Vyaktigat Tayyaari

1 Samuel 3:10

1 Kings 19:11–12

Alma 5:46; 26:22

3 Nephi 19:19–23

D&C 8:2–3; 9:8–9;