2011
Bhavishye tak Baaik par Jaao
January 2011


Yuva

Bhavishye tak Baaik par Jaao

Kai jawaan purush paison ki tayyaari karte hai mission par jaane ke liye. Africa mein is tayyaari mein paaspot ke liye bhi paiso ki zaroorat hoti hai. Sedrick Tshiambine ne zaroori paese apne buddhimaani se kamae: ek baaik ke piche kele rakhkar bechne dwara.

Sedrick Luputa, jo Congo ka Democratic Republic hai mein rehta hai. Woh 45 jawaan purushon mein se ek hai Luputa shaakha mein jo paaspot ke liye paise jama kar raha hai mission par jaane ke liye. DR Congo mein ek paaspot ka keemat $250 hai, jo shaayad ek ghar banane ke keemat ka do-tihaai bhaag hai.

Magar Sedrick niraash nahin hua. Usne apne mission ke paeso ke liye apni baaik 15--30 kilometers (9--19 miles) chalaai Luputa se chote gaaon tak, jahan usne kele kharidein, phir Africa ke garmi mein lautta, uske baaik par bahut saare fal hote shahar mein bechne ke liye. Har hafte woh lagbhag 180 kilometers (112 miles) ki yaatra karta baalu ki sadkon par, aur sirf ek baar uska bojh gira hai.

Apne koshishon ke liye Sedrick ne ek hafte mein lagbhag $1.25 kamaaye, ya ek varsh mein $65.00. Use chaar varsh lage paryaapt kamane ke liye ki woh ek paaspot khareed sake, magar ab woh jaanta hai ki uske bhavishye mein ek pure-samay ka mission shaamil hai kyunki woh paeson se tayyaar hai niyukti haasil karne ke liye.