2011
Sahayak Sanstha ka Itihaas aur Parampara
January 2011


Shikshan Sandesh Bhent, January 2011

Sahayak Sanstha ka Itihaas aur Parampara

Is lekh ko sikho aur, jaise uchit ho, bahanon ke saath baato jab tum unhe bhent karo. In sawaalon ke madad se bahanon ko shakti pradaan karo aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan mein sakriye bhaag banaao.

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Eliza R. Snow ne Bhavishyevakta Joseph Smith ke shikshan se batlaya ki “yah naam [Sahayak Sanstha] chaahe naye taarikh ka ho, yah puraane zamaane ka sangathan hai.”1

Swarg ke Pita aur Uske Putra, Ishu Masih, ne Joseph Smith se bhent kiya aur, uske dwara, susamachaar ko dharti par punahsthaapit kiya. Sahayak Sanstha us punahsthaapna ka ek bhaag tha. Girjaghar ka sangathan pura nahin tha jab tak bahanein sangathit nahin hui.2

Aanewaale mahinon mein, har ek Shikshan Sandesh Bhent hamein mauka dega Sahayak Sanstha ke itihaas ke baare mein aur uske punahsthaapit susamachaar mein uske bhaag ke baare mein sikhne ke liye. Aur kai vajaahon ke liye, hamare itihaas ko samajhna sirf zaroori nahin magar ati avashyak hai.

Pehla, hamare itihaas ko samajhne ki shakti hamein prerit karti hai Ishwar ki mahila banne ke liye jo hamare liye zaroori hai. Mahaan Antim-dinon ke Sant Mahilaaon ke udhaaran ko nibhaate hue, hum beete hue dinon se yah sikh sakte hain ki hum kaise aanewaale zindagi ka saamna karein.3

Dusra, hamara itihaas wahi sidhaant sikhlata hai jo pehle Girjaghar mein tha aaj bhi woh humara buniyaadi sidhaant hai. Yah gyaan aur hamara lakshye---vishwaas aur vyaktigat sachchai ko badhana, parivaaron aur gharon ko shakti pradaan karna, aur unko madad karna jinhe zaroorat hai---hamare beete hue aur aanewaale dinon ko jodti hai.

Teesra, jab hum apne itihaas ko mulye dete hain, hum aur achchi tarah apna dhaarmik parampara baant sakte hai. Pradhaan Henry B. Eyring, Pratham Salahakaar Pratham Adhyakshta mein, ne kaha: “Tum apne parampra ko aage badhate ho jab tum dusron ko daan mein dayaluta ka tohfa dete ho. … Sahayak Sanstha ka itihaas shabdon aur nambaron mein likha gaya hai, magar parampara ek dil se dusre dil tak pahuch jaati hai.”4

Ant mein, apne itihaas ko samajhna hamein anewaali Sahayak Sanstha ke prabhaaokaari bhaag ko banane mein madad karegi. Pradhaan Spencer W. Kimball (1895--1985) ne samjhaya, “Hamein pata hai ki jin mahilaaon ke paas beete hue din ki bahut chahat hoti hai woh hi anewaali zindagi ko sahi tarike se aage badhaegi.”5

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha adhyaksh.

Dharamshaastra mein se

Esther 9:28--29; Romans 16:1--2; Alma 37:8; Moroni 7:45--47

Hamare Itihaas Se

“Sahayak Sanstha Prabhu ka sangathan hai mahilaaon ke liye.”6 Us samay ek bhavishyvekta ke pad par, Joseph Smith ne Sahayak Sanstha ko March 17, 1842 mein sthaapit kiya tha. Us chote se, vibhin dal ke pehle sabha mein mahilaaon ko samarpan kiya gaya, usi tarah jaise aaj Sahayak Sanstha ki bahanon ko. “Sab se chote the woh teen kishor awastha mein, aur sab se budha, ek mahila apne pachaasi mein. Gyara mahilaaein un mein se shaadi shuda thi, do vidhwaaein, cha shaadi shuda nahin, aur ek ke baare mein pata nahin ki woh shaadi shuda hai ya nahin. Unke shiksha aur bhumikaein bahut alag the, aur unke aarthik paristithi bhi. Woh vibhin tarikon se aur bhi zyaada badti rahi usi tarah jaise sangathan ke sadasyon ki sankhya badhti rahi, magar woh ek the aur hamesha ek rahenge.”7

Vivaran

  1. Eliza R. Snow, “Female Relief Society,” Deseret News, Apr. 22, 1868, 81.

  2. DekhiyeTeachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 451.

  3. Dekhiye L. Tom Perry, “The Past Way of Facing the Future,” Liahona, Nov. 2009, 73--76.

  4. Henry B. Eyring, “The Enduring Legacy of Relief Society,” Liahona, Nov. 2009, 124--25.

  5. Spencer W. Kimball, “Privileges and Responsibilities of Sisters,” Ensign, Nov. 1978, 104.

  6. Spencer W. Kimball, “Relief Society---Its Promise and Potential,” Ensign, Mar. 1976, 4.

  7. Jill Mulvay Derr, Janath Russell Cannon, aur Maureen Ursenbach Beecher, Women of Covenant (1992), 28.