2011
Woh Yahan Nahin, Parantu Ji Utha Hai
April 2011


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2011

Woh Yahan Nahin, Parantu Ji Utha Hai

Aaj sirf Capernaum ke khandar bache hai, woh jheel ke kinare ka shahar, Uddhaarkarta ke Galilee ke prachaar ka sthaan. Yahan usne mandir mein prachaar kiya, samudra ke kinare sikhlaaya, aur gharon mein changaai ki.

Uske prachaar kaarye ke shuruaat mein, Ishu ne Isaiah ke shabd istemaal kiye: “Ki Parmeshwar ka Aatma mujh par hai; isliye ki Prabhu ne kangaalon ko susamachaar sunaane ke liye mera abhishek kiya hai, aur mujhe isliye bheja hai ki bandhuwon ko chutkaare ka, aur andhon ko drishti paane ka susamachaar prachaar karun, aur kuchle huwon ko chudaaun” (Isaiah 61:1; bhi dekhiye Luke 4:18)—ek saaf ghoshna ek divye yojna ki Parmeshwar ke putra aur putriyon ko chudaana hai.

Magar Ishu ka Galilee ka prachaar sirf ek shuruaat tha. Manushye ke Putra ka hamesha se Golgotha ke pahaad par sanket sthal raha hai.

Gethsemane ke Bagiche mein Antim Bhojan ke baad giraftaar kiya gaya, Apne chelon dwara thukraaya gaya, uspar thuka gaya, jhaancha gaya, aur majaak udaaya gaya, Ishu Apne krus ke bhaari bojh ke niche ladkhadaaya Calvary ke maarg par. Woh safalta se dhokha, atyachaar, aur krus par mrityu ki or pragati karta gaya.

Is geet ke bol mein “The Holy City” (“Woh Pavitra Shahar”):

Drishye badal gaya tha. …

Woh subha thandi aur kapkapi ka tha,

Jaise krus ka chaya utha

Ek soonsaan pahaad par.1

Hamare liye hamare Swargiye Pita ne Apna Putra ko diya. Hamare liye hamare Bade Bhaai ne Apni jaan de di.

Antim samay mein Swami mukar sakta tha. Parantu Usne aesa nahin kiya. Woh sabse niche jhuka taaki Woh sabhi ko bacha sakein: manushye ki jaati, dharti, aur uspar jo kuch bhi kabhi jiwit tha.

Isaai dharam ke yeh shabd mere liye bahut mahatwa ka hai jo farishte ne roti hui Mary Magdalene aur us anye Mary se kaha jab woh Prabhu ke sharir ki dekhbhaal karne uske kabra ke paas aayi: “Tum jiwit ko mare huwon mein kyun dhoondhti ho? Woh yahan nahin, parantu ji utha hai” (Luke 24:5–6).

Is ghoshna ke kaaran, jo jiwit reh chuke hai aur mar gaye hai, jo aaj jiwit hai aur ek din mar jaaenge, aur jo abhi paeda nahin hue aur abhi mare nahin ko aaj bachaaya gaya hai.

Kabra par Masih ke vijay ke kaaran, hum sab punahsthaapit honge. Yeh hai aatma ki mukti. Paul ne likha:

“Yahan hai … swargiye (celestial) deh, aur paarthiv (terrestrial) deh: parantu swargiye dehon ka tej aur hai, aur paarthiv ka aur.

“Surya ka tej aur hai, chaand ka tej aur hai, aur taaro ka tej aur hai: kyunki ek taare se dusre taare ke tej mein antar hai.

“Murdo ka ji uthna bhi aesa hi hai” (1 Corinthians 15:40–42).

Woh swargiye mahima hai jise hum talaashte hai. Parmeshwar ki maujoodgi mein hum rehna chahate hai. Woh ek anantta ka parivaar hai jismein hum sadasyata chahate hai.

Usne jisne hamein anant mrityu se bachaya, main gawahi deta hoon ki woh sachchaai ka shikshak hai—parantu woh shikshak se bahut badhkar hai. Woh sampurn jiwan ka uddharan hai—parantu woh uddhaaran se bahut badhkar hai. Woh badhiya daactar hai—parantu woh ek daactar se bhi bada hai. Woh hi duniya ka Uddhaarkarta hai, Parmeshwar ka Putra, Shaanti ka Raajkumaar, Israel ka Pavitra beta, haan jiwit hua Parmeshwar, jisne ghoshna ki “Main hi shuruwaat aur ant hoon; ki Woh jiwit hai, ki Use maara gaya tha, aur Woh Pita ke paas hamara samarthak hai” (see D&C 110:4).

“Haa, kitni mithi khushiyaali yeh waakye deta: ‘Main jaanta hoon ki mera Muktidaata jiwit hai’”2

Main yeh gawahi deta hoon.

Vivaran

  1. Frederick E. Weatherly, “The Holy City” (1892).

  2. “I Know That My Redeemer Lives,” Hymns, no. 36.

Is Sandesh Mein Se Shikshan

Achche shikshak apne shikshakon mein ekta protsaahit karta hai. Jab log apna gyaan baantte hai aur ek dusre ki sunte hai adap se, woh sirf seekh paane ka achcha vaataavaran nahin utpann karte par ekta badhate hai (dekhiye Teaching, No Greater Call [1999], 63). Tumhare shikshakon ke beech ekta badhegi jab tum aur woh aadar ke saath Ishu Masih ke Praeshchit aur Unke Punahsthaapna ki gawahi doge. Yeh ekta parivaaron ko sahayta kar sakti hai Pradhaan Monson ke salaah anusaar “anantta ka parivaar” banne mein.