2011
Sahayak Sanstha ka Lakshye
April 2011


Shikshan Sandesh Bhent, April 2011

Sahayak Sanstha ka Lakshye

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Jab hamari adhyakshta pehli baar niyukt hui thi, hamein Sahayak Sanstha ke itihaas par kuch sansaadhan diye gaye the. Humne use prarthnashilta se padha, Sahayak Sanstha ka lakshye jaanne ke liye aur Prabhu humse kya karwaana chahate the jaanne ke liye. Humne sikha ki Sahayak Sanstha ka lakshye jaise Prabhu dwara aayojit kiya gaya tha hai sthaapit karna, sikhlaana, aur prerna dilaana Apne putriyon ko taaki woh anant jiwan ke aashirvaadon ke liye tayyaar rahein.

Sahayak Sanstha ke is lakshye ki purti karne ke liye, Prabhu ne har ek bahan aur sanstha ko ek saath aagya di ki:

  1. Vishwaas aur vyaktigat neki mein badho.

  2. Parivaaron aur gharon ko mazboot karo.

  3. Sahayta pradaan karo Prabhu aur Unke bachchon ki sewa karne se.

Hum yeh kaam Prabhu ke tarike se tabhi kar sakte hai jab hum dhoondenge, haasil karenge, aur vyaktigat praktikaran par amal karenge. Vyaktigat praktikaran ke bina, hum safal nahin ho sakte. Agar hum vyaktigat praktikaran ko sunenge, hum kabhi naakaam nahin honge. Bhavishyevakta Nephi hamein sikhlata hai ki Pavitra Aatma hamein dikhaaega “woh sab jo[hamein] karna chahiye” (2 Nephi 32:5). Hamein apne aap ko sthir aur shaant rakhna hai taaki hum Aatma ke aawaaz ko sun sakein.

Bahanon, hamara ek atiavashyak bhumika hai Parmeshwar ke raajye ko banane mein aur use Prabhu ke aane ke liye tayyaar karne mein madad karne ke liye. Asal mein, Prabhu ka kaarye pura nahin ho sakta Unke putriyon ki sahayta ke bina. Iske kaaran, Prabhu chahata hai hum apne daan ko badhaaye. Woh chahata hai ki hum Sahayak Sanstha ke lakshye ko pehle se bhi zyaada pura karein.

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha adhyaksh.

Dharamshaastra Mein se

Deuteronomy 6:5–7; Luke 10:30–37; James 1:27; 2 Nephi 25:26; Mosiah 3:12–13

Hamare Itihaas Se

Sahayak Sanstha ki ek sabha mein, jo June 9, 1842 mein tha, Bhavishyevakta Joseph Smith ne bahanon ko sikhlaya ki unka sanstha “sirf gareebon ko sahayta dene ke liye hi nahin, par aatmaaon ko bachaane ke liye hai.”1 Yeh ghoshna ek dhaarmik aur saarvajanik lakshye ka hai jisne Sahayak Sanstha ko itihaas bhar pehchaan banaya hai. 1906 mein Pradhaan Joseph F. Smith (1838–1918) ne sikhlaya: “[Sahayak Sanstha] ko sirf gareeb, beemaar aur zarooratmand ki zarooraton ko nahin dekhna hai, magar uske kartavvye ka ek bhaag—aur ek bahut bada bhaag, bhi—Zion ki maataaon aur putriyon ke dhaarmik kalyaan ka khayaal rakhna hai; yeh dekhna ki kisi ko thukraya nahin gaya ho, par sabhi ko durbhaagye, durghatna, andhkaar ki shaktiyon, aur duniya ke buraaiyon se surakshit rakha gaya ho.”2 2001 mein Elder M. Russell Ballard Barah Devduton ke Parishad ke ne dohraya, “Har ek bahan is Girjaghar mein jisne vaade kiye hai Prabhu se ko ek divye zimmedaari mili hai aatmaaon ko bachaane ka, duniya ki mahilaaon ko raah dikhaane ka, Zion ke gharon ko mazboot karne ka, aur Parmeshwar ke raajye ko banane ka.”3

Vivaran

  1. Joseph Smith, History of the Church, 5:25.

  2. Teachings of Presidents of the Church: Joseph F. Smith (1998), 185.

  3. M. Russell Ballard, “Women of Righteousness,” Liahona, Dec. 2002, 39.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Mainne kya prerna haasil ki hai apne bahanon ko madad karne mein ki woh vishwaas aur vyaktigat praktikaran mein badhe aur apne parivaaron aur gharon ko mazboot karein? Main kya sahayta de sakti hoon?

  2. Main kaise is sandesh ka istemaal kar sakti hoon apne vishwaas ko mazboot karne ke liye aur apne khud ke dhaarmikta ke pratigya ko badhaane mein?