2012
Shikshan Sandesh Bhent dwara Saodhaan Dekhbhaal karna aur Sewa karna
January 2012


Shikshan Sandesh Bhent, January 2012

Shikshan Sandesh Bhent dwara Saodhaan Dekhbhaal karna aur Sewa karna

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

“Dayaluta [ka arth] paropkaar mehsoos karne se kahi zyaada hai,” sikhlaaya Pradhaan Henry B. Eyring ne, jo Pratham Adhyakshta mein Pratham Salahkaar hai. “Dayaluta Prabhu Ishu Masih mein vishwaas aazmaane se utpann hota hai aur woh Unke Praeshchit ka asar hai.”1 Sahayak Sanstha bahanon ke liye, shikshan bhent dayaluta ka kriya ho sakta hai, Uddhaarkarta mein vishwaas aazmaane ka mahatvapurn tarika.

Shikshan bhent ke zariye, hum saodhaan dekhbhaal kar sakte hai har ek bahan se sampark karne se, ek susamachaar sandesh baantne se, aur uski aur uske parivaar ki zarooraton ke baare mein jaanne se. “Shikshan bhent Prabhu ka kaarye ban jaata hai jab hamara nazariya pratishat ke bajaae logon par rehta hai,” samjhaati hai Julie B. Beck, Sahayak Sanstha ki maha pradhaan. “Vaastav mein, shikshan bhent kabhi khatm nahin hota. Woh to jiwan ka ek bhaag hai na ki ek kaarye. Vishwaas se ek bhent karne waali shikshak ki sewa dena hamare chela hone ka chinn hai.”2

Jab hum lagataar aur prarthna-purn saodhaan dekhbhaal pradaan karte hai, hum seekhte hai kaise har ek bahan aur uske parivaar ko paryaapt rup se sewa karein. Sewa ke kai rup ho sakte hai—kuch bade aur kuch utne bade nahin. “Aksar sewa ke chote karm ki hi zaroorat hoti hai kisi ko khush karne aur ashirvaad dene ke liye: kisi ke parivaar ke baare mein puchna, protsaahan ke kuch shabd, ek sachcha taareef, dhanyevaad ka ek chota likhaawat, kuch der ka ek fon call,” sikhlaya Pradhaan Thomas S. Monson ne. “Agar hum saodhaan aur chaokas rahenge, aur agar hum un fusfusaahat ke anusaar kaarye karenge jo hamein milti hai, hum bahut kuch achcha karenge. … Sahayak Sanstha ke bhent karne waale shikshakon ki sena ke sewa pradaan karne ke kaarye anginit hai.”3

Dharamshaastra mein se

John 13:15, 34–35; 21:15; Mosiah 2:17; Doctrine and Covenants 81:5; Moses 1:39

Hamare Itihaas Se

1843 mein, Nauvoo, Illinois ke Girjaghar sadasyon, ko chaar wards mein baata gaya. Usi varsh ke July mahine mein, Sahayak Sanstha netaaon ne ek bhent karne waali samiti banaai jismein har ward ki chaar bahane thi. Bhentvaarta karne waali samiti ka zimmedaari tha zaroorat ka pata lagana aur daan ikattha karna. Sahayak Sanstha ne is daan se zarooratmandon ki sahayta ki.4

Jabki bhentvaarta karne waale shikshak ab daan nahin lete, par woh ab bhi zaroorat maaloom karne ki zimmedaari rakhte hai—aatmik aur bhautik—aur un zaroorat ko mitaane ki koshish karna. Eliza R. Snow (1804–87), Sahayak Sanstha ke dusre maha pradhaan, ne samjhaya: “Ek shikshak … ke paas Prabhu ki utni Aatma honi chahiye, jisse ki jab woh ghar mein prawesh karein woh wahan rehne waale aatma ko pehchaan paaye. … Parmeshwar aur Pavitra Aatma se niwedan karein [us Aatma] ko haasil karne ke liye taaki tum us aatma ko mil sako jo us ghar mein rehta hai … aur tumhein shaanti aur sahanbhuti ke shabdon ko kehne ki ichcha ho, aur agar tumhein koi bahan mile jise thand lag rahi ho, use apne gale se lagaao jaise kisi bachche ko [use] garm karne ke liye.”5

Vivaran

  1. Henry B. Eyring, “The Enduring Legacy of Relief Society,” Liahona, Nov. 2009, 121.

  2. Julie B. Beck, “Relief Society: A Sacred Work,” Liahona, Nov. 2009, 114.

  3. Thomas S. Monson, “Three Goals to Guide You,” Liahona, Nov. 2007, 120–21.

  4. Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 105.

  5. Eliza R. Snow, Daughters in My Kingdom mein, 108.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kya kar rahi hoon apne bahanon ki madad karne ke liye jisse woh mehsoos kar sake ki main prem aur sewa karne waali saheli hoon?

  2. Main kaise aur behtar ho sakti hoon auron ki saodhaani se dekhbhaal aur sewa karne ke liye?