2012
Mera Vishwaas ki Prarthna
February 2012


Yuva

Mera Vishwaas ki Prarthna

Jab mai 18 varsh ka tha, mai ek mez kursi aadi ke dukaan mein ek bechnewaale ki tarah kaam karta tha. Mere kaam karne ka samay bahut hi mushkil tha. Mai 8:00 baje subha se 10:00 baje raat tak kaam karta tha, Somwaar se Shanivaar tak. Mai udaas tha kyunki mai institute aur Girjaghar ke gatividhiyon mein bhaag nahin le paata tha.

Maine Swarg ke Pita se bahut hi vishwaas se prarthna mein manga ki ki Woh mujhe madad kare koi ayesa naukari haasil karne mein jaha mujhe Shanivaar ko kaam nahin karna pade taki mai institute aur dusre gatividhiyon mein bhaag le sakun.

Ek din kaam par main ek aadmi ko madad kar raha tha. Hum ne baatein karna shuru kiya, aur usne batlaaya ki woh ek bade bank mein kaam karta tha. Mai ne usse pucha ki kaise mai wahan naukari ke liye arzi de sakta hoon. Usne mujhe apna naam aur telefone nambar diya aur mujhe batlaya ki mai us vyakti ko fone karoon jo wahan par naukri ke liye logon ko leta tha aur batlaaun ki main use jaanta hoon. Mai bank gaya aur saare zaroori intihaan ko kiya. Mai us mein safal hua aur ek din mein cha ghante Somwaar se Shukarwaar tak kaam karna shuru kiya, teen baar zyaada kamate hue jo main pehle kamata tha.

Mai jaanta hoon ki Parmeshwar hamein maargdarshan deta hai jab hum Use sab se zyaada zaroori samajhte hai. Woh muhje aaj bhi maargdarshan deta hai. Mai jaanta hoon ki prarthna ka siddhaant sachcha hai.