2012
Unhe Prarthna Karne Ka Updesh Do
February 2012


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, February 2012

Unhe Prarthna Karne ka Updesh Do

Jab mai chota bachcha tha, mere maata-pita ne mujhe udhaaran se prarthna karna sikhlaya. Mai ne apne mann mein shuruwaat se Swarg ke Pita ko door samjha. Jabse mai samajhdaar ho gaya, mera prarthna ka anubhao badal gaya hai. Swarg ke Pita mere samajh anusaar kareeb ho gaye hai, jo ujiyaala mein nahaae hue hai, aur jo mujhe achchi tarah se jaanta hai.

Woh badlaao aaya jab maine sachche gawahi ko paaya ki Joseph Smith ke apne anubhao ka varnan jo 1820 mein Manchester, New York mein hua, sahi hai:

“Mainne bilkul apne sir ke upar ek roshni ke gole ko dekha, suraj ke roshini se bhi zyaada ujiyaala tha, jo niche aata raha jab tak ki woh mere upar nahin tika.

“Jaise aysa hua mainne apne aap ko un dushmanon se azaad paaya jo mujhe jakde hue the. Jab woh roshni mere upar padi thi mai ne do Logon ko dekha tha, jinke unjiyaala aur mahima unke baare mein achchi tarah se batla rahe the, mere upar hawa mein khade hue. Un mein se ek ne mujh se kaha, mujhe mere naam se bulaate hue, dusre ki or ishaara karte hue—Yeh Mera Ek Lauta Putra hai. Unhe Suno!” (Joseph Smith—History 1:16–17).

Swarg ke Pita us sundar bahaar ke din us upwan mein the. Usne Joseph ko uske naam se pukaara. Aur Usne Apne “Ek Laute Putra” ko is duniya ka punhar jiwit Uddhaarkarta ki tarah milwaaya. Jab bhi aur kahi bhi tum prarthna karo, tumhare us mahaan anubhao ke sachche gawahi tumhe ashirwaad de sakte hai.

Hum jis Pita se prarthna karte hai woh mahaan Parmeshwar hai jisne Apne Ek Laute Putra ke dwara is duniya ko banaya hai. Woh usi tarah hamare prarthna ko sunta hai jaise hi Usne Joseph Smith ke prarthna —ko puri tarah se suna jaise hum Uske saamne prarthna kar rahe hai. Woh hamein itna prem karta hai ki Usne Apne Putra ko hamare Uddhaarkarta ki tarah diya. Us uphaar se hamein amaranshil aur anant jiwan ko paana sambhao hua. Aur woh hamein Apne Putra ke naam se prarthna dwara, deta hai, is jiwan mein Usse baatein karne ka mauka jab bhi hum chune.

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke purohiti ke rakhnewaalon ke paas pavitra bharosa hai “har ek sadasye ke ghar ko bhent karne jaane ke liye, aur unhein protsaahit karein zubaan se aur ekaant mein prarthna karne ke liye” aur parivaar ke sabhi zimmedaariyon ko pura karein (D&C 20:47; zor diya gaya).

Wahan par kai raaste hai kisi ko prarthna ke liye protsaahit karne ke liye.Uddharan ke liye, hum yeh gawahi de sakte hai ki Parmeshwar ne sadeo hi prarthna karne ke liye aagya diya hai, ya hum dharamshaastra aur hamare apne anubhao se mile ashirvaad jo kritigyata, niwedan, aur jaankaari ke prarthna ke kaaran milta hai. Maan lo, main gawahi deta sakta hoon ki Swarg ke Pita hamari prarthna ko sunnta hai. Mujhe apne mann mein aaye shabdon se maargdarshan aur dilaasa mili hai, aur mai Aatma dwara jaanta hoon ki woh Parmeshwar ke shabd the.

Bhavishyevakta Joseph Smith ko aysi anubhaoen hui thi, aur tumhe bhi ho sakta hai. Use yeh jawaab dil se prarthna karne se praapt hui thi:

“Parmeshwar ne unhe unke aatma mein shaanti dene ka vaada kiya aur use batlaaya ki uske virodhi aur musibatein kuch hi din tak rahenge;

“Aur kaha ki agar woh ant tak sahi rahega, Parmeshwar use unchi sthaan dega” (D&C 121:7–8).

Woh ek pyaare Pita ka prakat hone ki kriya tha apne vishwaasi putra ke liye jo bahut mushkilon ko jhel raha tha. Parmeshwar ke sabhi bachche Uske saath prarthna dwara baatein kar sakte hai. Prarthna karne ka koi aur protsaahan ka itna bhaari prabhaao nahin hua jitna prem aur roshni ka ehsaas jo vinamra prarthnaaon ke jawaab mein mila hai.

Hum Parmeshwar ki kisi bhi aagya ke gawahi ko pa sakte hai yadi hum uski aagya ka paalan karte hai (dekhiye John 7:17). Yeh sach hai us aagya ke liye ki hum hamesha zubaan se aur ekaant mein prarthna karein. Tumhare adhyaapak aur tumhaare dost ki tarah, mai vaada karta hoon ki Parmeshwar tumhare prarthnaaon ka jawaab dega aur Pavitra Aatma ke shakti se, tum apne aap hi jaan jaaoge ki woh jawaab Unse milein hai.

Is Sandesh mein Se Shikshan

  • “Tasveerein anmol aozaar hai paath ke sahi tarike ko mazboot karne ke liye” (Teaching, No Greater Call [1999], 176). Joseph Smith ya Pehle Drishti ke tasveer ko dikhlaao. Joseph Smith ke prarthna ke anubhao ko batlaao. Kis tarah tumhare prarthna aur zyaada arthpurn rahenge agar tum “Swarg ke Pita ko … kareeb se” dekhoge jaise Pradhaan Eyring karta hai?

  • Jaise Pradhaan Eyring batlaate hai, apne prarthna ke gawahi ko bataao, un anubhaon ko batlaao jinhe tumne prarthna ke ashirwaad se praapt kiya hai, ya prarthna ke baare mein dharamshaastra ko batlaane se.