2012
Shikshan Bhent, Ek Pavitra Zimmedaari
June 2012


Shikshan Sandesh Bhent, June 2012

Shikshan Bhent—ek Pavitra Zimmedaari

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Shikshan shikshak ke rup mein, hamare paas bhi ek zaroori dhaarmik mission hai pura karna ko. “Bishop jise ward ka maargdarshak niyukt kiya gaya hai, Prabhu ke sabhi logon ka ek hi samay par dekh-bhaal nahin kar sakta. Woh prerit bhent shikshak ki madad par nirbhar rehta hai.”1 Prakat hone ki kriya ko dhondhna aur praapt karna yeh jaanne ke liye ki kis ko har ek bahan ki dekhbhaal karne ki zimmedaari dein.

Prerna ki shuruwaat Sahayak Sanstha adhyakshta ki sadesyon ke milkar prarthna purwak vyaktiyon aur parivaaron ki zarooraton par baate karne se hoti hai. Phir, bishop ki swikriti se, Sahayak Sanstha is tarah saupa gaya kaam ko karti hai ki jo bahanon ko madad kare bhent shikshan ko samajhne mein ki woh ek zaroori dhaarmik zimmeaari hai.2

Bhent shikshak puri tarah se har ek bahan ko jaante aur pyaar karte hai, unki madad karte hai vishwaas ko badhane mei, aur sewa karte hai jab zaroori hoti hai.Woh aatmik rup se prerit hote hai yeh jaanne ke liye ki woh kis tarah har ek bahan jinhe woh bhent karte hai ke dhaarmik aur aatmik zarooraton ko jaane aur pura kare.3

“Bhent Shikshan Prabhu ke kaarye ban jaata hai jab hamare dhyaan nambaron se zyaada logon par hoti hai. Vaastav mein, bhent shikshan kabhi nahin khatam hota. Yeh kaarye se zyaada zindagi ka ek raasta hai.”4

Dharamshaastra mein Se

Matthew 22:36–40; John 13:34–35; Alma 37:6–7

Hamare Itihaas Se

Eliza R. Snow, dusre Sahayak Sanstha maha pradhaan ne padhaya ki, “Main bade shiksak aur pavitra kamre ko vishwaas karta hoon.” Usne bhent shikshak ko salaah diya ki “Parmeshwar ke Aatma, gyaan, vinamrata, pyaar se bhar jaao” gharon ko bhent karne jaane se pehle taaki woh sikhe dono dhaarmik aur sharirik zarooraton ko. Usne kaha, “Tum shaanti aur daya ke shabdon par baatein karna shayad mehsoos karoge, aur agar tum ek bahan ko thand lagte dekho, use apne gale se lagaao jaise ki tum ek bachche ko apne gale lagaaoge aur [use] garmi doge.”5

Jab hum pehle Sahayak Sanstha bahanon ki tarah vishwaas mein aage badhate hai, hamare paas Pavitra aatma hogi aur hum prerit honge yeh jaanne ke liye ki hum kis tarah un bahanon ki madad kar sakte hai jinhe bhent karein. “Chalo [hum] shakti ke bajaaye gyaan dhoonde,” Bahan Snow ne kaha, “[hamare] paas puri shakti hogi [hamare] gyaan ko aazmaane ke liye.”6

Vivaran

  1. Julie B. Beck, “Sahayak Sanstha: Ek Pavitra Kaarye,” Liahona, Nov. 2009, 114.

  2. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 9.5; 9.5.2.

  3. Dekhiye Handbook 2, 9.5.1.

  4. Julie B. Beck, Liahona, Nov. 2009, 114.

  5. Eliza R. Snow, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society mein (2011), 108.

  6. Eliza R. Snow, Daughters in My Kingdom, mein 45–46.