2012
Apna Chelapan Prem aur Sewa dwara Dikhlaae
July 2012


Shikshan Sandesh Bhent, July 2012

Apna Chelapan Prem aur Sewa dwara Dikhlaae

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

Apne maranshil jiwan ke daoraan, Ishu Masih ne Apna prem auron ke liye dikhlaaya unki sewa karne se. Usne kaha, “Yadi aapas mein prem rakhoge to isi se sab jaanenge, ki tum mere chele ho” (John 13:35). Usne uddharan diya aur chahata hai ki hum “unki sahayta karein jinhe hamare sahayta ki avashyakta hai” (Mosiah 4:16). Woh apne chelon ko Apne saath Prachaar mein kaam karne ke liye bulata hai, unhe auron ki sewa karne ka mauka dekar aur Unke jaisa banne ka.1

Hamara sewa sandesh shikshak ke rup mein hamare Uddhaarkarta ke prachaar ko kareeb se dikhata hai jab hum apna prem unko dete hai jinhe hum bhent karte hai yeh sab karne se:2

  • Unke aur unke parivaar sadesyon ke naam yaad rakhe aur unhe achchi tarah jaane.

  • Unse bina aakne prem karein.

  • “Ek ek karke” unpar nigraani rakh aur unke vishwaas ko mazboot karein, jaise Uddhaarkarta ne kiya tha (3 Nephi 11:15).

  • Unse achchi dosti karein aur unhein unke gharon aur anye jagahon par bhent karein.

  • Har ek bahan ki parwaah karein. Janam din, grajuasion, shaadiyaan, baptisma, ya anye samay ko yaad karein jo uske liye arthpurn hai.

  • Naye aur kam sakriye sadasyon se samapark rakkhe.

  • Akele ya sahanubhuti chahane waalon se sampark karein.

Dharamshaastra mein se

3 Nephi 11; Moroni 6:4; Doctrine and Covenants 20:47

Hamare Itihaas Se

“Naye Niyam mein mahilaaon ki kahaniyaan hai, naam diye ya na diye gaye, jinhonne Ishu Masih mein vishwaas ko aazmaaya. … Yeh mahilaaen uddhaaran se chelein bane. … [Unhonne] Ishu aur Unke Barah Chelon ke saath yaatra kiya. Unhonne apna sab sampati Unki prachaar sewa mein ke liye diya. Unki mrityu aur Punarjiwan ke baad, [unhonne] vishwaasi chele hona jaari rakkha.”3

Paul ne Phebe naam ke ek mahila ke baare mein likha, jo “girjaghar mein ek sewika thi” (Romans 16:1). Usne logon se kaha ki woh “uski sahayta karo uski zaroorat anusaar: kyunki usne bhi bahuton ki sahayta ki hai” (Romans 16:2). “Phebe ne jaisi sahayta pradaan kiya tha logon ko aur uski tarah kai anye mahaan mahilaaen Naye Niyam ke aaj bhi unke jaise Sahayak Sanstha ke—neta hai, shikshan dene waale, maataen, aur anye—jo sewa,ya sahayta karte hai kai logon ki.”4

Vivaran

  1. Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 105.

  2. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 3.2.3.

  3. Daughters in My Kingdom, 3.

  4. Daughters in My Kingdom, 6.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kaise dusron ka poshan karne ki apni chamta ko badha rahi hoon?

  2. Main kya kar rahi hoon yeh tay karne ke liye ki jin bahanon ki main dekhbhaal karti hoon woh jaane ki main unse prem karti hoon?