2013
Prabhu Ki Awaaz
January 2013


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, January 2013

Prabhu Ki Awaaz

Tasveer
Pradhaan Henry B. Eyring

Doctrine aur Covenants sabhi jagah ke logon ko amantrit karta hai ki woh Prabhu Ishu Masih ke awaaz ko sune (dekhiye D&C 1:2, 4, 11, 34; 25:16). Woh Unke sandeshon, chetaoniyon, aur protsaahan ke shabdon se bhare hai jo praktikaran dwara chune huwe bhavishyevaktaaon ko diya gaya tha. In praktikaranon mein hum dekh sakte hai ki kaise Parmeshwar hamare vishwaas ke prarthnaaon ka jawaab suchna, shanti, aur chetaoni ke sandeshon se deta hai.

Hamare prarthnaaon se hum jaanna chahate hai ki Parmeshwar humse kya chahata hai, hamein is jiwan mein aur aanewaale jiwan mein shaanti aur khushiyaali paane ke liye kya karna hai, aur hamare aage kya ghatne waala hai. Doctrine aur Covenants aam aadmi aur bhavishyevaktaaon ke prarthnasheel sawaalon ke jawaabon se bhari hui hai. Yeh ek bahumulye gaaid hai jisse hum sikhte hai ki kaise apne saansaarik sukh aur anant mukti ke sawaalon ke jawaab paaye.

Prabhu Ishu Masih mein vinamrata aur vishwaas avashyak hai. Oliver Cowdery ne Prabhu se apni Mormon Dharamshaastra ka anuwaad karne mein sahayta dene ki ichcha pesh kiya aur uska jawaab paaya. “Oliver ko yaad dilaya gaya ki woh vishwaas ke bina kuch nahin kar sakta; uske badle use vishwaas se maangna chahiye. Prabhu ne Oliver ko aagya di ki woh dhaarmik baaton se khilwaar na karein; aur un cheezon ki maang na kare jo use dekhna hi nahin hai” (D&C 8:10).

Doctrine aur Covenants mein baar baar, Prabhu chahata hai ki vishwaas aur vinamrata aaye Unke sahayta dene se pehle. Is ka ek kaaran hai ki Unke jawaab hamare ichcha anusaar nahin hote. Na to woh apnaane ke liye aasaan honge.

Girjaghar itihaas aur hamare purvajon ke anubhavon se yeh sachchaai dikhti hai. Mere par-dada Henry Eyring ne dil se prarthna ki jab usne punahsthaapit susamachaar ke baare mein suna 1855 mein, yeh jaanne ke liye ki use kya karna chahiye. Jawaab ek sapne mein aaya.

Usne sapne mein dekha ki woh Elder Erastus Snow jo Barah Devduton ke Parishad ke the aur ek elder jiska naam William Brown tha ke saath mez par baetha hai. Elder Snow ne use susamachaar ke siddhaant lagbhag ek ghante tak sikhlaye. Phir Elder Snow ne kaha, “Ishu Masih ke naam se main tumhe aagya deta hoon ki tum baptisma loge aur yeh vyakti [Elder Brown] … tumhe baptisma dega.”1 Mera parivaar abhari hai ki Henry Eyring ke paas utna vishwaas aur vinamrata tha ki usne St. Louis, Missouri, USA mein 7:30 ke samay subha ko Elder Brown dwara ek barsaat ke paani ke talaab mein baptisma liya.

Uske prarthna ka jawaab Prabhu ke awaaz dwara aaya. Woh raat mein ek drishti aur sapne mein aaya, jaisa Lehi ke saath huwa tha (dekhiye 1 Nephi 8:2).

Prabhu ne hamein sikhlaya ki jawaab ehsaas dwara bhi aate hai. “Doctrine aur Covenants mein, Prabhu ne Oliver Cowdery ko sikhlaya ki Woh hamein hamare mann aur hirdayon mein batlaaega, Pavitra Aatma ke dwara, jo hamare upar aaega aur hamare andar rahega.” (D&C 8:2).

“Baad mein Prabhu ne Oliver Cowdery ko batlaya ki Unhonne uske mann ko shaanti batlaaya hai. Isse bada gawaah aur kahan tumhe milega par khud Parmeshwar se?” (D&C 6:36).

Doctrine aur Covenants, Girjaghar itihaas, aur Henry Eyring dwara rakkhe gaye uske mission ke itihaas se jo usne baptisma ke baad kiya tha se mainne sikha ki jawaab chetaaoni se aur shaanti se bhi aate hai.

April 1857 mein, Elder Parley P. Pratt jo Barah Devduton ke Parishad ke the ne ek sammelan mein bhaag liya us jagah par jise ab Oklahoma, USA kaha jaata hai. Henry Eyring ne likha ki Elder Pratt “ke mann mein kuch dukhi vichaar the … , woh bhavishye nahin jaan paa raha tha ya bachne ka raasta nahin mil raha tha.”2 Henry ne dukhbhari khabar likha Devdut ke shaheed hone ke turant baad mein. Elder Pratt apne safar par chala gaya tha bhale hi use khatre ke ehsaas huwe the, jaisa Bhavishyevakta Joseph ko huwa tha Carthage mein.

Yeh meri gawahi hai ki Prabhu hamesha vishwaas ka vinamra prarthna sunte hai. Doctrine aur Covenants aur hamara niji anubhav hamein sikhlata hai ki kaise hum un jawaabon ko pehchaane aur use vishwaas se apnaae, chahe woh nirdeshan ho, sachchaai ki swikriti, ya ek chetaoni. Main prarthna karta hoon ki hum hamesha Prabhu ke awaaz ko sunenge aur pyaar bhare awaaz ko pehchaanenge.

Vivaran

  1. “The Journal of Henry Eyring: 1835–1902” (is lekh ko chaapa nahin gaya hai woh lekhak ke paas hai).

  2. “The Journal of Henry Eyring: 1835–1902.”

Is Sandesh Mein se Shikshan

1. Is sandesh mein prarthna ke baare mein diye gaye peragrafon ko saath mein padhiye. Jaise jaise tum padhoge, parivaar ke sadasyon se kaho ki woh dhyaan se sune ki kaise Parmeshwar prarthnaaon ke jawaab deta hai. Prarthna ke avashyakta par gawahi dene ki soche.

2. Doctrine aur Covenants logon ke prarthna ke jawaabon se bhare hai. Kya hoga agar unke sawaalon ke jawaab(praktikaran) kabhi likhe nahin jaate? Parivaar ko protsaahit kare ki woh Aatma ki prerna ko pehchaane aur uspar amal karein. Woh shaayad apne prarthna par vichaaron ko apne journals mein likhna chahenge.