2013
Prachaar Kaarye
January 2013


Shikshan Sandesh Bhent, January 2013

Prachaar Kaarye

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Antim-din Sant Prabhu ke tay kiye samay par aayenge Uske bagiche mein kaam karne ke liye manushye ke aatmaaon ke liye. (D&C 138:56). Hamein ek aupchaarik mission niyukti ki zaroorat nahin hai susamachaar ko baatne ke liye. Anye log jinke jiwan mein susamachaar dwara ashish aayenge hamare aas paas hai, aur jab hum khud ko tayyaar rakhenge, Prabhu hamara istemaal karega. Bhent karne waale shikshak apne dhaarmik zimmedaariyon ko apna sakte hai aur “manushye ko amaranshilta aur anant jiwan dila sakte hai.” (Moses 1:39).

Jab Bhavishyevakta Joseph Smith ne Sahayak Sanstha ki sthaapna ki 1842 mein, usne kaha ki mahilaaon ko sirf gareebon ki dekhbhaal nahin karni hai par aatmaaon ko bhi bachana hai.1 Yeh abhi bhi hamara lakshye hai.

“Prabhu … un sabhi ko sachchaai ki ek gawahi deta hai jo auron ke saath use baatenge,” Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta ke Dusre Salaahkaar ne kaha. “Prabhu humse, jo Uske punahsthaapit Girjaghar ke sadasye hai se ‘aasha karta hai ki hum apna muh sabhi samay par kholenge aur khushi se uska susamachaar bayaan karenge’ (D&C 28:16). “… Kabhi kabhi bayaan ka ek chota sa waakye kuch karwa sakta hai jisse kisi ke jiwan mein anantta tal badlaao aate rehte hai.”2

Dharamshaastra mein se

Doctrine and Covenants 1:20–23; 18:15; 123:12

Hamare Itihaas Se

Olga Kovářová jo puraane Czechoslovakia ki thi ki kahani ek uddharan hai sadasye ke prachaar kaarye ki hamare Sahayak Sanstha itihaas mein se. 1970’s mein, Olga ek daaktari ka chaatra thi aur ek gehri dhaarmik jiwan ki ichcha rakhti thi. Usne 75-varshiye Otakar Vojkůvka ko dekha, jo ek Antim-din Sant tha. “Woh mujhe umra mein 75-varsh ka dikhta tha magar dil se woh 18 ke kareeb tha aur anand se bhara,” usne kaha. “Yeh Czechoslovakia mein us samay bahut adbhud tha.”

Olga ne Otakar aur uske parivaar se pucha ki unhonne anand kaise paaya. Unhonne use anye Girjaghar sadasyon se milwaya aur use ek Mormon Dharamshaastra diya. Usne utsukta se use padha aur jald hi baptisma aur swikriti praapt kiya. Us samay se Olga achchaai ka prabhaao ban gayi ek raajnitik dabaao aur dhaarmik atyachaar ke duniya mein. Woh apne chote shaaka mein Sahayak Sanstha pradhaan thi aur usne anye logon ke aatma ko bachaya Masih tak laane se.3

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kya main Pavitra Aatma ki prerna ko sunti hoon jab main bhent karne waale bahanon se apna gawahi bayaan karti hoon?

  2. Main jin bahanon ki dekhbhaal karti hoon, kis tarah se unhe sahayta deti hoon susamachaar sikhne ke liye?

Vivaran

  1. DekhiyeTeachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 453.

  2. Dieter F. Uchtdorf, “Waiting on the Road to Damascus,” Liahona, May 2011, 76–77.

  3. Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 92–95.