2013
Kripa Mere Hriday ko Swasth ki Jiye
March 2013


Yuva

Kripa Mere Hriday ko Swasth ki Jiye

Apne bhaai ke mrityu ke ek saal hone par, maine uske mrityu se pahale ke apne jiwan ke yaadon ko socha. Maine sirf us ghambheer peeda ko nahi mahesoos kiya balki us ashirwaad ko bhi jo Parmeshwar ne mujhe diya tha.

Maine kabhi ya nahi samjha ki log kaise kehtein hai ki kisi pyare ki mrityu kaise ashirwaad laati hai. Main yah nahi samjh paya ki kaise main khushi aur dhanyewaad use de sakta hoon jisne mujhe itini badi dukh diya ho. Yaha par ek raat hai, phirbhi, jisne mere pure samajh ko badal diya tha.

Main beech raat mein hriday ke bhari peeda se jag gaya jo maine pehle kabhi nahi jhela tha. Yah peeda jaanlewa tha. Main apne ghutne par gira aur Swarg ke Pita se prarthna kiya. Meri puri jiwan mein maine Balidaan aur Ishu Masih ke chamatkaari theek karnewaali Shakti ke vishaye mein sikha tha. Ab mere vishwaas ko dekhne ka samay hai. Kya main sahi mein vishwaas karta tha? Maine apne Swarg ke Pita se chaha ki kripa mere hriday ko theek kare. Peeda bahot tha ki main akele is se nahi guzar sakta tha.

Phir shaanti, daya, aur pyaar ka ehsaas tha jisne mere sharir ko bhar diya tha. Maine ya mahesoos kiya tha ki Parmeshwar ne hume Apne baazuon mein le liya tha aur mujhe us peeda se bacha raha tha jo maine mahesoos kiya tha. Main apne bhaai ko ab bhi yaad karta tha, magar main dosri tarah se dekh raha tha. Yaha par mere paas bahot kuch tha is anubhaao se sikhne ko.

Main jaanta hoon ki Parmeshwar ka pyaar aur shaanti uplabdh hai. Hume sirf use lena hai.