2013
Sakriyan
March 2013


Shikshan Sandesh Bhent, March 2013

Sakriyan

Prarthna ke saath is cheez ko sikhein aur, jaesa ho sake to, bahanon ko jinhe tum bhent karo unke sang baato. Sawaalon ki madad se bahanon ko mazboot karo aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka ek sakriye bhaag banaao. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Humare bhavisyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson, ne hume batlaya hai ki hum “un tak pahucho jinhe humari madad ki zaroorat hai aur unhe uchi sthaan tak pahuchao aur achchi raastey par. … Yah Prabhu ka kaarye hai, aur jab hum Prabhu ke maarg par hote hai, … hum Prabhu ke madad ko paate hai.”1

Kai saal pehle LaVene Call aur uski bhent shikshan saathi ne ek kam-sakriye bahan ko bhent kiya. Unhonne darwaaze par khatkhataya aur ek jawaan maa apne bathrobe mein ah kar darwaaze ko khola. Wah bimaar lagti thi, magar baad mein unhonne jana ki uska karan tha sharaab. Bhent karne waali shikshakein baeth gayi aur us jawaan jhelti hui maa se baatein kiya.

Jab woh chali gayi, unhonne kaha, “Yah Parmeshwar ki putri hai. Humare paas zimmedari hai unki madad karne ki.” To weh hamesha unhe bhent karte. Har samay, woh achche ka badlaao dekhte aur mehsoos karte. Unhonne bahan se Sahayak Sanstha ko aane ke liye kaha. Hichkichate hue, usne hamesha bhaag liya. Madad ke baad, wah aur uske pati aur putri ne girjaghar aaya. Pati ne Pavitra Aatma ko mehsoos kiya. Usne kaha, “Main wahi karunga jo bishop kahenge.” Ab weh Girjaghar mein sakriye hai aur mandir mein bandh chuke hai.2

Dharamshaastra mein se

3 Nephi 18:32; Doctrine and Covenants 84:106; 138:56

Hamare Itihaas Se

Unki madad karke unhein waapas laaein jo Ishu Masih ke susamachaar se dur chale gaye hai hamesha Antim-din Santon aur Sahayak Sanstha ke sadasye hone ka ek bhaag hai. Pradhaan Brigham Young (1801–77) ne kaha, “Hume ek dosre ke prati daya dikhlani chahiye, … aur unhe jinhe dikhta ho weh andhon ko maargdarshan de jab tak weh khud na dekh sakein.”3

Eliza R. Snow, dosre Sahayak Sanstha maha pradhaan, U.S.A, Utah, Ogden ki bahanon se abhari hai, unhe ek dosre ki madad karne ke liye. “Main achchi tarah se jaanta hoon ki mahaan kaarye hote hai [sewa ki tarah ] jo kabhi bhi [kitaab] mein nahi likhi jaati hai,” usne kaha. Magar yah jaante hue ki swarg mein bahanon ke kaarye ka hisaab hota hai jabki weh un tak pahuchti hai jinke hriday mein vishwaas kam hoti hai, usne kaha: “Pradhaan Joseph Smith ne kaha ki yah sanstha aatmaon ko bachane ke liye banaya gaya tha. … Dosri kitaab hai tumhare vishwaas, tumhare dayaluta, tumhare achchai ke kaarye, aur shabdon ki. …Kuch bhi chup nahi sakta.”4

Vivaran

  1. Thomas S. Monson, “The Sacred Call of Service,” Liahona, May 2005, 55, 56.

  2. LaVene Call ki putri se Sahayak Sanstha maha adhyakshata ko patra.

  3. Brigham Young, in Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 107.

  4. Eliza R. Snow, Daughters in My Kingdom mein, 83.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kya main aatma-nirbhar hoon ek kam-sakriye bahan se yah kahane mein ki Sahayak Sanstha sabha mein mere saath jaaye?

  2. Kya jin bahanon ka main dekh rekh karti hoon mujh se susamachaar ke vishay mein sawaal karne mein saral mehsoos karti hai?