2013
Vishwaaas se Chalna
July 2013


Yuva

Vishwaaas se Chalna

Lekhakh North Carolina, USA mein rehta hai.

Mai Winter Quarters, Nebraska, USA, ke bhoomi mein chalna kabhi bhi bhool nahi sakta hoon, jaha pehle aguwaein pehle rehte the. Bhoomi pavitra mahesoos hota tha, usi tarah jaise mainne baahar ek mandir mein ghooma tha.

Mere aankhon mein aansoo bhar gaye, dhundala dikh raha tha. Maine ek murti dekha magar pehchaan nahi paya. Jab maine apne ansoo ko poch diya, main ek aadmi aur aurat ko dekha jinke chehre udaasi se bhare hue the. Jab maine nazdeek se dekha, maine ek shishu ko unke paeron ke paas kabar mein dekha.

Yah dekh kar maine bahot kuch mahesoos kiya: udaasi, gussa, dhanyewaad, aur khushi. Main unke peeda ko dur karna chahata tha jo weh Santon ne mahesoos kiya tha, magar main ussi samay abhari tha us ke liye jo unhone susamachaar ke liye balidaan diya tha.

Mere Winter Quarter ke anubhao ne mujhe madad kiya tha yah jaanne mein ki Swarg ke Pita susamachaar ko Apne bachchon ko deta hai aur unhe shaakha deta hai ki weh apni chahat se wah karein. Us shishu ke mataa-pita saral maarg ko chunn saktey the. Bhavishyevaktaon ke piche chalna aur susamachaar ke niyamon ka paalan karna aguwaaon ko zaroori tha aage badhne ke liye aur unke shishu ko bhi dafnaana. Magar unhonne apne jiwan mein susamachaar ko chuna aur chunaotiyon ko swikaar kiya. Maine sikha ki Santon ko susamachaar mein samarpan aur unke aage badhane ki chamata vishwaas aur asha se badhati thi—ujwal bhavishye aur vishwaas ki asha ki Prabhu unhe jaantey hai aur unke peeda ko dur karenge.