2013
Susamachaar se Sikhlana aur Sikhna
July 2013


Shikshan Sandesh Bhent, July 2013

Susamachaar Se Sikhlana aur Sikhna

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu Masih ek swami shikshak the. Usne humare liye uddhaaran ko banaya Usne “kaiyon aur akele mahilaon ko sikhlaya, raaste par aur samundar ke kinaare par, kuwen par aur unke gharon mein. Usne unke liye pyaar dikhlaya aur unko aur unke parivaaron ko achcha kiya.”1

Usne Martha aur Mary ko sikhlaya aur “unko Apne chela banne ko amantrith kiya aur mukti ko lene ke liye, ‘us achche bhaag’ (Luke 10:42) jo unse kabhi bhi nahi liya jayega.”2

Humare antim-din ke dharamsiddhaanton mein, Prabhu hume aagya deta hai ki “ek dosre ko yojna ke siddhaant ko sikhlaaye” (D&C 88:77). Sikhlane aur sikhne ke siddhaant par, Cheryl A. Esplin, Praathmik maha adhyakshta ki dosri salhaakaar ne, kaha, “Susamachaar ke siddhaant ko puri tarah se sikhna ek jiwan ke anth tak ka kaarye hai aur ‘niyam par niyam, aagya par aagya, thoda yaha aur thoda waha dunga’ (2 Nephi 28:30).”3

Jab hum sikhtey, padhatey, aur prarthna kartey hai, hum Pavitra Aatma ki shakti se sikhlaate hai, jo hamare sandesh ko “maanav [aur mahilaaon] hriday ke andar tak wah baat pahunchati hai” (2 Nephi 33:1).

Dharamshaastra mein se

Alma 17:2--3; 31:5; Doctrine and Covenants 42:12--13; 84:85

Hamare Itihaas Se

Hamare pichle bhavishyevaktaon ne hume mahilaaon ki tarah yaad dilaya hai ki hamare paas shikshak ki tarah ghar aur girjaghar mein zaroori kaarye hai. September 1979 mein, Pradhaan Spencer W. Kimball (1895--1985) ne “bahanon ko dharamshaastra” padhane ko kaha. Usne kaha: “Dharamshaastron ke visheshag baniye—na ki dusron ko neecha dikhlae, par unhein upar uthaen! Ant mein, kiske paas adhik zaroorat hay susamachaar ki sachchaiyon ko ‘rakhne’ ka (jinpar woh apni zaroorat ke samay par nirbhar ho sakte hain) un mahilaon aur maataon ko jo itna poshan karti aur shikshan deti hain?”4

Hum sab shikshak aur siknewaale hai. Jab hum dharamshaashtra aur hamare jiwit bhavishyevakta ke shabdon ko sikhlaate hai, hum dosron ko Masih tak aane mein madad kar saktey hai. Jab hum matlab ke sawaal puchne se sikhtey hai aur phir suntey hai, hum un sawaalon ka jawaab haasil kar saktey hai jo hume vyaktigat rup se zaroori hai.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kis tarah taeyaari kar rahi hoon aur achche shishak banne ke liye?

  2. Kya main apne gawahi ko un bahanon ke saath baant sakti hoon jinka main dekhbhaal karti hoon?

Vivaran

  1. Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 3.

  2. Daughters in My Kingdom, 4.

  3. Cheryl A. Esplin, “Teaching Our Children to Understand,” Liahona and Ensign, May 2012, 12.

  4. Spencer W. Kimball, Daughters in My Kingdom mein, 50.