2013
Pehchaano, Yaad Rakho, aur Dhanyevaad Do
August 2013


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, August 2013

Pehchaano, Yaad Rakho, aur Dhanyevaad Do

Tasveer
Pradhaan Henry B. Eyring

Parmeshwar chahata hai ki hum Unhe un sabhi ashirvaadon ke liye dhanyevaad dein jo Woh hamein deta hai. Hum asaani se apne dhanyevaad dene waale prarthnaaon mein bagaer koi bhavna ke ho jaate hai, aksar ek hi bol dohraate hai magar dhanyevaad dene ki ichcha nahin rakhte apne hriday mein Parmeshwar ke prati. Hamein “Aatma ke saath dhanyevaad dena chahiye” (D&C 46:32) taaki hum Parmeshwar dwara diye gaye cheezon ke prati sachchi abhaar dikhla sakein.

Kaise Parmeshwar dwara kiye gaye upkaaron ka hum ek chota bhaag bhi yaad rakh sakte hai? Devdut John ne likha hai woh jo Uddhaarkarta ne hamein sikhlaya hai yaad rakhne ke ek uphaar ke baare mein jo Pavitra Aatma ke uphaar dwara milta hai: “Parantu Sahayak, arthaat Pavitra Aatma, jise Pita mere naam se bhejega, woh tumhe sab baate sikhaega, aur jo kuch mai ne tumse kaha hai, woh sab tumhe yaad dilaega” (John 14:26).

Pavitra Aatma woh baate yaad dilata hai jo kuch Parmeshwar ne hamein sikhlaya hai. Aur ek tarika jisse Parmeshwar hamein sikhlata hai woh hai Apne ashirvaadon se; aur isliye, agar hum vishwaas karne ka chunao karenge, Pavitra Aatma Parmeshwar ke dayawaan kaaryon ko hamein yaad aaega.

Tum aaj prarthna mein iska jaanjh kar sakte ho. Tum is aadesh ka paalan kar sakte ho jo kehta hai ki “Aap Prabhu apne Parmeshwar ko sabhi cheezon ke liye dhanyevaad de sakte ho” (D&C 59:7).

Pradhaan Ezra Taft Benson (1899–1994) ne sujhaao diya ki prarthna dwara mauka milta hai aysa karne ke liye. Usne kaha: “Bhavishyevakta Joseph ne ek samay kaha tha ki sabse bada paap jo ek Antim-din Sant doshi hoga karne mein hai abhaar na prakat karne ka paap. Main vishwaas karta hoon ki humne aysa nahin socha hoga ki yeh ek bhari paap hai. Hamein Prabhu se apne prarthnaaon aur niwedanon mein adhik ashirvaadon ko maangne ki zaroorat hai. Magar kabhi kabhi main mehsoos karta hoon ki hamare prarthnaaon mein abhaar dikhlane ke waakye aur un ashirvaadon ke liye dhanyevaad dena hai jo mil chuke hai. Humein kayi cheezon ka ashirvaad mila hai.”1

Hum aaj Pavitra Aatma ke uphaar ko is tarah mehsoos kar sakte hai. Aap ek niji prarthna dhanyevaad dene se shuru kar sakte ho. Aap apne ashirvaad gin sakte ho aur phir ek pal ke liye ruk sakte ho. Agar tum vishwaas karoge, Pavitra Aatma ke uphaar ke sahayta se, tum paaoge ki anye ashirvaadon ke yaadein tumhare mann mein aayenge. Agar tum har ek ashirvaad ke liye abhaar prakat karoge, tumhara prarthna pehle se thoda lamba hoga. Yaad aayenga, aur abhaar bhi mehsoos hoga.

Apne jernal mein likhte samay tum yahi tarika apna sakte ho. Duniya ke shuruaat se Pavitra Aatma ne logon ko yaad dilane mein madad kiya hai. Tumhe yaad hoga ki Moses ke kitaab mein likha hai, “Aur yaad rakhne ka ek kitaab rakha gaya, jismein likha tha, Adam ke bhaasha mein, jo bhi manushye Parmeshwar se prerna ki aatma dwara likhne ki aagya maangega uski maang puri hogi” (Moses 6:5).

Pradhaan Spencer W. Kimball (1895–1985) ne prerna bhare likhawat ke baare mein batlaya: “Jo bhi yaad rakhne ka kitaab rakhte hai ko Prabhu unke daenik jiwan mein yaad aate rahenge. Jernal dwara hum apne ashirvaadon ko gin sakte hai aur apne aane waale peedhi ke liye un ashirvaadon ka itihaas rakh sakte hai.”2

Jab tum likhna shuru karoge, tum khud se puchoge, “Aaj Parmeshwar ne mujhe aur mere priyejanon ko ashirvaad diya?” Agar tum aksar vishwaas ke saath aysa karoge, tum khud ko ashirvaadon ko yaad karte paaoge. Aur kabhi kabhi tumhare mann ko uphaar yaad aayenge jo din bhar mein tumne dekha nahin magar us samay tum jaanoge ki usmein Parmeshwar ka haath tha.

Main prarthna karta hoon ki hum hamesha vishwaas se pehchaanenge, yaad rakhenge, aur dhanyevaad denge un cheezon ke liye jo Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta ne kiya hai aur kar rahe hai Unke paas jaane ke liye.

Vivaran

  1. Ezra Taft Benson, God, Family, Country: Our Three Great Loyalties (1974), 199.

  2. Spencer W. Kimball, “Listen to the Prophets,” Ensign, May 1978, 77.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Apne sandesh mein, Pradhaan Eyring hamein amantrit karta hai Swarg ke Pita ke daya ko apne prarthnaaon mein yaad karein. Jinhe tum padhate ho unke saath vichaar-vimarsh karein kaise abhaar ke saath prarthna karna hamein madad kar sakta hai Parmeshwar ke haath ko apne jiwan mein pehchaanne ke liye. Jinhe tum padhate ho unke saath ghutne par ho jaao aur jo bhi prarthna karega ko kaho ki woh sirf dhanyevaad dein.

Tum abhaar prakat karne ke avashyakta ka adhyan kar sakte ho diye gaye kuch aur verses padh kar un verses ke saath jo Pradhaan Eyring ne diya hai: Psalm 100; Mosiah 2:19–22; Alma 26:8; 34:38; Doctrine and Covenants 59:21; 78:19; 136:28.