2013
Kalyaan
August 2013


SHIKSHAN SANDESH BHENT, August 2013

Kalyaan

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Girjaghar kalyaan ka lakshye hai sadasyon ki sahayta karna atma-nirbhar banne ke liye, gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karna, aur sewa pradaan karna. Kalyaan Sahayak Sanstha ke kaarye ka mukhye bhaag hai. Pradhaan Henry B. Eyring, Pratham Adhyakshta ke Pehle Salahkaar, ne sikhlaya:

“[Prabhu] ne duniya ke shuruaat se Apne chelon ko madad karne ke raaste pradaan kiye hai. Usne Apne bachchon ko amantrit kiya hai apna samay, apna saadhanon samarpit karna, aur aap khud Unke saath milkar auron ki sewa karein. …

“Unhonne hamein amantrit kiya aur aagya diya hai Uske kaarye mein bhaag lekar unko upar uthane ke liye jo zarooratmand hai. Hum ek vaade ko banate hai jaha hum baptisma ke paani se baahar nikalte aur Parmeshwar ke pavitra mandir mein karte hai. Hum us vaade ko dobara Raviwaar ko karte hai jab hum prabhubhoj ko lete hai.”1

Bishop ya shaaka pradhaan ke netritav mein, sthaaniye netaaen dhaarmik aur saansaarik kalyaan mein sahayta karenge. Sewa karne ke mauke zyaadatar daura karne waale shikshak se shuru hota hai jo prerna dhoondhte hai yeh jaanne ke liye ki kaise woh apne bhent karne waale bahan ki zaroorat ka khyaal rakhe.

Dharamshaastra mein se

Luke 10:25–37; James 1:27; Mosiah 4:26; 18:8–11; Doctrine and Covenants 104:18

Hamare Itihaas Se

June 9, 1842, mein Bhavishyevakta Joseph Smith ne Sahayak Sanstha ke bahanon ko batlaya ki woh “gareebon ko raahat de” aur “aatmaaon ko bachaae.”2 Yeh lakshye abhi bhi Sahayak Sanstha ke madhye mein hai aur hamare adarsh waakye mein bhi likha hai, “Dayaluta kabhi asafal nahin hota” (1 Corinthians 13:8).

Hamara paanchwa Sanstha maha pradhaan, Emmeline B. Wells, aur uske salaahkaaron ne yeh adarsh waakye ko 1913 mein ek yaadgaar ki tarah hamare shuruaat ke siddhaanton ke liye laaya tha: “Hum zaroor apna lakshye goshit karte hai …Bhavishyevakta Joseph Smith ke prerit shikshan ko kaskar [pakad] ke rakhna jab usne us yojna ko prakat kiya jiske dwara mahilaaon ko shakti mili purohiti ke sansthaao ke netritav ke zariye taaki woh beemaar ki dekhrekh, zarooratmand ko sahayta, bhudhe logon ko sahanubhuti, laaparwaahon ke liye chetaoni, aur yateemon ko sahayta dena.”3

Aaj Sahayak Sanstha ka vishwabhar mein prabhaao hai jab hum dayaluta ka haath badhate hai, Masih ka sacha pyaar ko padosiyon ke saath baatte hai (dekhiye Moroni 7:46–47).

Vivaran

  1. Henry B. Eyring, “Opportunities to Do Good,” Liahona aur Ensign, May 2011, 22.

  2. Joseph Fielding Smith, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) mein, 63.

  3. Daughters in My Kingdom, 63.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kaise main apne aap aur apne parivaar ko dhaarmik aur sansaarik dekhrekh ke liye tayyaar karungi?

  2. Kaise main Uddhaarkarta ke uddharan ka paalan kar sakti hoon un bahanon ke zarooraton ko pura karne ke liye jinki main dekhbhaal karti hoon?