2015
Bhavishyevaktaon ke Piche Chalo
January 2015


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, January 2015

Bhavishyevaktaon ke Piche Chalo

Tasveer
Pradhaan Thomas S. Monson

World War II ke ant tak main ne United States Navy mein sewa pradaan kiya. Main ek naawik tha, navy ka sabse chota darze ka. Phir main Seaman First Class ke liye niyukt hua, jis ke baad main Yeoman Third Class ka niyukt hua.

World War II khatam hua, aur phir baad mein main mukt hua. Magar maine parinaam banaya ki agar main kabhi waapis phir sena mein gaya, to main sena afsar ki tarah sewa pradaan karunga. Maine socha ki, “sena ka sthaan jaha weh bhojan karte ab mere liye nahi hai, ab mez bhi saaf nahi karna padega, agar main in sab se bach sakun.”

Mukt hone ke baad, main United States Naval Reserve mein shaamil ho gaya. Main sabhi Somwaar ke raat ko abhyaas ko jaata tha. Maine bahot mehnat kiya taaki safal ho sakun. Maine sabhi tarah ke pariksha ko kiya: dimaagi, sharirik, aur uttejit. Ant mein, achchi khabar praapt hui: “Tumhe United States Naval Reserve mein ek kam padvi wali afsar ki niyukti praapt hui thi.”

Maine khushi se apne patni ko dikhlaya, Frances, aur kaha, “Maine kar liya! Maine kar liya!” Usne mujhe gale lagaya aur kaha, “Tumne paryaapt mehnat kiya hai use praapt karne ke liye.”

Magar phir kuch hua. Mujhe apne ward bishopric mein salahkaar niyukt kiya gaya. Bishop salaah sabha bhi usi raat ko tha jabki navy abhyaas sabha tha. Main jaan gaya ki kuch gadbad tha. Main jaanta tha ki main Naval Reserve aur apni bishopric kaarye ko ek saath nahi kar sakunga. Mujhe kya karna chahiye? Ek nirnay lena tha.

Maine uske liye prarthna kiya. Phir main us aadmi se milne gaya jo hamare stake pradhaan the jabse main ladka tha, Elder Harold B. Lee (1899–1973), phir baad mein Barah Devduton ke Parishad. Main uske saamne ke mez par baeth gaya. Maine use batlaya ki main us niyukti ko kitna chahata tha. Sahi mein, maine use us niyukti ke patra ko dikhlaya jo mujhe praapt hua tha.

Kuch der vichaar karne ke baad, usne mujh se kaha, “Yah tumhe karna chahiye, Bhaai Monson. Tum Bureau ke Naval Affairs ko patra likho aur unhein batlaao ki tumhare bishopric ke sadasye mein niyukti ke kaaran, tum United States Naval Reserve ke niyukti ko swikaar nahi kar sakte ho.”

Main bahot udaas ho gaya. Usne aage kaha, “Phir San Francisco ke Twelfth Naval District ke neta ke paas likho aur unhein batlaao ki tum us sthaan se mukt hona chahate ho.”

Maine kaha, “Elder Lee, tum sena ke baare mein nahi jaante ho. Sahi hai ki weh mujhe us niyukti se mukt kar denge agar main swikaar nahi karna chahata hoon, magar Twelfth Naval District mujhe mukht nahi karenge. Korea mein ubharnewaale ladaai ke kaaran, ek naya afsar zaroor niyukt hoga. Agar dobara niyukti mili, main ek khaas afsar ki tarah waapis jana chahunga, magar main nahin jaaunga agar main is niyukti ko swikaar nahi karunga. Kya tum sahi mein chahate ho ki main yah salaah ko maanu?”

Elder Lee ne mere kandhon par apne haath ko rakha aur pita ki tarah kaha, “Bhaai Monson, aur zyaada vishwaas karo. Sena tumhare liye nahi hai.”

Main ghar chala gaya. Maine ussi tarah us sena ke patra ko lifafe mein daala aur use aswikaar kar diya. Phir baad mein maine Twelfth Naval District ke paas likha aur guzaarish kiya ki mujhe Naval Reserve se mukht kar dein.

Naval Reserve se meri mukti ka parinaam Korean War ke shuruwaat hone ke aakhri dal mein baahar aaya. Mere khaas daftar se sena ke dal ko sakriye kiya gaya. Che safte baad mujhe bishopric mein salahakaar ki niyukti praapt hua, mujhe apne ward ka bishop niyukt kiya gaya.

Main Girjaghar mein us sthaan par aaj nahi hota jahan main hoon agar maine bhavishyevakta ke salaah par nahi chala hota, kya maine us parinaam ke liye prarthna nahi kiya tha, kya mujhe zaroori sachchaai ka parinaam nahi praapt hua tha: Parmeshwar ki gyaan humesha manushyon ko paagalpan lagta hai.1 Magar sabse achchi seekh jo humein maranshilta mein praapt hota hai jab Parmeshwar batlatein hai aur Uske bachchein nibhaatein hain, weh humesha sahi honge.

Yah kaha gaya hai ki itihaas chote faeslon se hi likha jaata hai, aur humara jiwan bhi waisa hota hai. Faesalon par anewaala jiwan nirbhar hota hai. Magar hum apne faesalon ko akele nahi banatein hai.

Agar tum swarg ke roshni ko dekhna chahate ho, agar tum Sarvashaktimaan Parmeshwar ke prerna ko mehsoos karna chahate ho, agar tum apne andar Swarg ke Pita ke maargdarshan dete hue mehsoos karna chahate ho, tab tum bhavishyevaktaon ke piche chalo. Jab tum bhavishyevaktaon ke piche chaloge, tum surakhshit daayre mein rahoge.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Girjaghar ke kai sadasyon ko Devdut se sidhe salaah nahi praapt hoga, jaesa ki Pradhaan Monson ko praapt hua tha. Magar hum bhi usi tarah ke ashirwaad ko praapt karenge jab hum bhavishyevaktaon aur devduton ke shikshanon par chalenge. Pradhaan Monson ke pichle maha sammelan ke bhaashanon ko padho (yaad karo yah shuruwaat aur antim bhaashan bhi the). Khaas maargdarshan ya niyuktion ko karne ke liye aosar dhoondho. Tum unke saath yah seekh ko baat sakte ho jinhe tum bhent karte ho aur un tarikon ko dhoondho jahan Pradhaan Monson ke salaah ko amal mein la sakte ho.