2015
Kisi Aur ki Sarah
April 2015


Yuva

Kisi Aur ki Sarah

Lekhak Utah, USA mein rehta hai.

Mujhe mushkil lagta tha apne vishwaas ko lekar is saral sawaal ka jawaab dene mein ki “Tum coffee kyo nahi peete ho?” Pehle main bahane bana diya karta tha ki “yah bahut kadwa hai” ya “mujhe swaad pasand nahi hai.”

Main kyo sharminda hota tha? Main kyo apne vishwaas ke liye khada nahi ho pata tha? Ab pehli baatein yaad karte hue, mujhe pata nahi hai ki main kis se darta tha. Parantu mujhe yaad hai jab maine bahane ko banane ko khatam kar diya tha.

Ek din apne high skool ke Angrezi ki kaksha mein, adhyapak ne ek TV ke bhaag ko dikhlaane ko batlaya jise mujhe pata tha ki nahi dekhna chahiye. Jabki dusre shikshaein khushi se uchal rahe the, mere dost Sarah ne apna haath uthaya aur jaane ki aagya ko maanga.

Jab adhyaapak ne pucha kyo, Sarah ne saaf taur se batlaya ki, “Kyunki main Mormon hoon aur main bure shabdon waali chitra nahi dekhti.”

Uski himmat pure kaksha ke shaamne khade hokar kahane ki lajawaab tha. Sarah ko dhanyewaad, main bhi khada hua aur bahar ja kar bina pastaawe ke chitra khatam hone ka intazaar kiya.

Main humesha ke liye badal gaya. Main apne vishwaas par atal rahane laga bina sach ko chupaye. Aur ek prinaam mein, maine apne aap mein aatam-nirbharata ko prapt kiya aur Girjaghar aur skool ke gatividthiyon mein aur zyaada bhaag liya.

Maine Sarah ko kabhi nahi batlaya ki uski uddhaaran mere liye kiya tha, parantu main uske aatam-nirbharta ke uddhaaran par atal rahi. Ab maine jaana ki Parmeshwar ke aschariye, pavitra Girjaghar ke sadasye hone se koi bhi sharmindagi nahi hai. Main aasha karta hoon ki main, apne uddharaan se, kisi aur ke liye Sarah ki tarah ban sakun.