2015
Pradhaan Monson Himmat Rakhne ke liye Kehte hai
April 2015


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2015

Pradhaan Monson Himmat Rakhne ke liye Kehte hain

Tasveer
Pradhaan Thomas S. Monson

Khathintha ki ghatnon se guzarne se Pradhaan Thomas S. Monson ne dekha hai, ki hume ek ya dusre tarah ki chunaotiyon ko banana chahiye.

Achcha chunaoti ko banane ke liye, usne salaaha diya ki, hume himmat ki zaroorat hai —“na kehne ki himmat, ha kehne ki himmat. Faeslon par niyati pakka hota hai.”1

Aage bhaag mein, Pradhaan Monson Antim-din Santon ko yaad dilatein hain ki unko sachchaai aur pavitrata ke liye himmat ki zaroorat hai, jo weh vishwaas kartein hain ko bachane ke liye, aur duniya ko yakeen dilane ke liye ki anant mul aur siddhaanton ko tyaag rahe hain.

“Hum sab ko humesha himmat rakhne ko batlaya jaata hai,” usne kaha. “Yah humesha sach raha hai, aur humesha rahega.”2

Himmat mein Humesha Parmeshwar ki Swikriti Rehti hai

“Hum sab dar, hasi ko anubhao, aur virodhi ki saamna karenge. Hum —sab ke paas— himmat hona chahiye ek faesle par atal raha kar virodhi ki saamna karne ke liye, himmat hona chahiye humare siddhaanton ko bachaane ke liye. Himmat, sulha nahi katri, Parmeshwar ke ashirwaad ko hume deta hai. Himmat ek shaktishali aur ek akarshit gun ban jaata hai jab wah sirf marne ke liye hi nahi hota hai parantu sachchaai ke saath rehne ke liye. Jab hum aage badhtein hain, us tarah jine ke liye jaise hume jina chahiye, hum zaroor Prabhu se madad haasil karenge aur Uske vaani mein daya prapt karenge.”3

Himmat ko Samna karo

“Anth tak jhelne ka kya matlab hai? Mujhe yah matlab pasand hai: himmat ko samna karo. Himmat avashyak hona zaroori hai tumhe vishawaas karne mein; zaroorat hai har samay par jab ki tum palan karoge. Is ki humesha zaroorat hai us antim din tak ke liye jab tum is maranshil jiwan se jaaoge.”4

Himmat Hona Chahiye Sachchaai se Khade Hone ke liye

“[Humesha] tumhare paas sachchaai aur pavitrata mein khade rehne ke liye himmat hona chahiye. Kyunki aaj ki sanstha Prabhu ke mul aur siddhaant jo hume prapt hai use dur hai, tume zaroori hai ki tum us ko bachaao jo tum vishwaas karte ho. Jabtak ki tumhare gawahi ke neev sthir nahi hai, yah tumhare liye mushkil hoga un logon ka samna karna jo tumhare vishwaas se alag hai. Jab neev sthir hoga, tumhare susamachaar, Uddhaarkarta, aur humare Swarg ke Pita ke gawahi par sabhi kuch tumhare jiwan bhar mein prabhao deta rahega.”5

Hume Dhaarmik aur Netik Himmat ki Zaroorat hai

“Sandesh jo t.v, filmon, aur dusre durdarshan mein [aaj] batlaein jaatein hain wah humesha humare virodh mein hota hai jisse hum chahatein hain ki humare bachchein swikaarein aur anmol samjhein. Humari zimmedaari sirf unhein dhaarmik cheezon ko aur dharamshaastra ko sikhlaane ka nahi hai parantu unki madad karne ka un cheezon se dur rahane mein bhi, bhale hi bahar ki shakti un par dabaao dale. Is mein hume bahut samay aur shakti lagana hai—aur dusron ki madad karne ke liye, hume khudh sabhi buraai se bachne ke liye dhaarmik aur netik himmat ki zaroorat hai.”6

Hume Humesha Himmat Rakhna Chahiye

“Jab hum aaj ki duniya mein rehte hain, yah nishchint hai ki humare vishwaas ko chunaoti milega. Kai baar hum apne aap ko dusron ke ird-gird paenge aur kam logon ke beech ya chaahe akela hi kya yah swikaar kiya ja sakta hai yah nahi. …

“Hume humesha himmat aur taeyaari ke saath jo hum vishwaas kartein hain ko bachaane ke liye rahana chahiye, aur agar hum is mein akele khadein ho, main aasha karta hoon ki hum himmat se karein, is gyaan se shakti prapt karein ki hum akele kabhi nahi hai jab hum Swarg ke Pita ke saath hain.”7

Vivran

  1. Thomas S. Monson, “The Three Rs of Choice,” Liahona, Nov. 2010, 67, 68.

  2. Thomas S. Monson, “The Call for Courage,” Liahona, May 2004, 55.

  3. Thomas S. Monson, “Be Strong and of a Good Courage,” Liahona, May 2014, 69.

  4. Thomas S. Monson, “Believe, Obey, and Endure,” Liahona, May 2012, 129.

  5. Thomas S. Monson, “May You Have Courage,” Liahona, May 2009, 126.

  6. Thomas S. Monson, “Three Goals to Guide You,” Liahona, Nov. 2007, 118–19.

  7. Thomas S. Monson, “Dare to Stand Alone,” Liahona, Nov. 2011, 60, 67.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Jinhein tum sihklaate ho ko us stithi ko sochne ko kahoge jo agle safta ho sakta hai—ghar, kaam par, skool mein, ya girjaghar par—jismein unhein himmat ki zaroorat hogi. Weh dar ka saamna kar saktein hain, kuch chunaotiyon ko khatam kar saktein hain, apne vishwaas ke liye khade raha saktein hain, ya susamachaar ke sidhaant ko puri tarah se nibha saktein hain. Unko apne soch ko baatne ke liye ya likhne ke liye kaho.