2016
Hamare Anant Pita ki Putriyaan
April 2016


Shikshan Sandesh Bhent, April 2016

Hamare Anant Pita ki Putriyaan

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kaise “Parivaar: Duniya mein Susamachaar ka ek Aupchaarik Ghoshna” ko samajhna Parmeshwar mein vishwaas ko badha sakta hai aur tum jinki bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karti ho ko ashirvaad dega? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Dharamshaastra hamein yeh sikhlaata hai ki “hum Parmeshwar ke santaan hai” (Acts 17:29). Parmeshwar ne Emma Smith, Bhavishyevakta Joseph Smith ki patni, ko “meri putri” kaha (D&C 25:1). Parivaar ek ghoshna hamein sikhlaata hai ki hum sab “ek priye aatmik … putri hai swargiye maata/pita ke.”1

“[Maransheel jiwan se pehle] ke samay, hum apne anant stri pehchaan ke baare mein seekhein the,” Carole M. Stephens ne kaha, jo Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein pratham adhyakshta hai.

“Hamara maransheel yaatra is dharti par aane ka ne un sachchaaiyon ko nahin badla.”2

“Tumhare Swarg ke Pita tumhara naam aur paristhiti jaante hai,” Elder Jeffrey R. Holland jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne kaha. “Woh tumhare prarthnaaon ko sunnta hai. Who tumhare aashaaon aur sapno, dar aur krodh ki vajah ko jaanta hai.”3

“Hum sab Parmeshwar ke parivaar ka hissa hai aur usmein hamari zaroorat hai,” Bahan Stephens ne kaha. “Dharti ke parivaarein sab alag dikhte hai. Aur jabki hum bahut koshish karte hai mazboot paaramparik parivaarein banane ki, Parmeshwar ke parivaar ki sadasyata ke liye koi bhi status/stithi ki zaroorat nahin hoti hai—vivaahik status, parental status, vitt sambandhi status, milansaar status, ya jis tarah ka status hum social midia par daalte hai.”4

Anye Dharamshaastra

Jeremiah 1:5; Romans 8:16; Doctrine and Covenants 76:23–24

Hamare Itihaas Se

Bhavishyevakta Joseph Smith ne apni Pehli Drishti,5 ki kahani mein kayi sachchaaiyon — ko saabit kiya hai saath mein yeh bhi ki Swarg ke Pita hamare naam jaante hai.

Jawaan Joseph ne mehnat kiya jaanne ke liye kaun se girja ka bhaag banna hai aur James 1:5 mein maargdarshan paaya. Joseph ne kaha tha ki woh Parmeshwar se puchega.

1820 ke ek spring waale subha ko, woh pedon ke beech gaya prarthna karne ke liye magar usi samay use kisi kaali shakti ne daboch liya. Iske baare mein usne likha hai:

“Is dar jaane ki stithi mein, maine apne sir ke upar dekha ki raushni aayi, jo surye ki raushni se bhi zyaada thi, jo dhire dhire mere upar aa giri.

“Jaise aysa hua mainne apne aap ko un dushmanon se azaad paaya jo mujhe jakde hue the. Jab woh raushni mere upar padi thi mai ne do Logon ko dekha tha, jinke unjiyaala aur mahima unke baare mein achchi tarah se batla rahe the, mere upar hawa mein khade hue. Un mein se ek ne mujh se kaha, mujhe mere naam se bulaate hue, dusre ki or ishaara karte hue —Yeh Mera Ek Lauta Putra hai. Unhe Suno!” (Joseph Smith—History 1:16–17).

Vivran

  1. “Parivaar: Duniya Mein Ek Aupchaarik Ghoshna,” Liahona, Nov. 2010, 129.

  2. Carole M. Stephens, “Parivaar Parmeshwar se Hai,” Liahona, May 2015, 11.

  3. Jeffrey R. Holland, “To Young Women,” Liahona, Nov. 2005, 28.

  4. Carole M. Stephens, “Parivaar Parmeshwar se Hai,” 11.

  5. Dekhiye Gospel Topics, “First Vision Accounts,” topics.lds.org

Yeh Sochiye

Yeh jaanne se ki aap Parmeshwar ki putri ho aapke nirnay par kaise asar padta hai?