2016
Bhavishyevaani aur Niji Praktikaran
April 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2016

Bhavishyevaani aur Niji Praktikaran

Ishu Maseeh ka sachcha Girjaghar punahsthaapit ho chuka hai aur aaj is dharti par hai. Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-dino ke Santon ka hamesha se bhavishyevaktaaon aur devduton dwara chalaya gaya hai, jo swarg se lagataar maargdarshan paate hai.

Woh divye tarika purane zamane mein bhi sachcha tha. Hum Baibal mein seekhte hai: “Isi prakaar se Prabhu Parmeshwar apne daas bhavishyevaktaaon par apna raaz bina prakat kiye, kuch bhi na karega” (Amos 3:7).

Parmeshwar ne hamare samay mein phir, Bhavishyevakta Joseph Smith ke zariye kaha hai. Usne Bhavishyevakta Joseph ke dwara Ishu Maseeh ka susamachaar prakat kiya hai uske sampurnata mein. Usne Apna pavitra purohiti ka punahsthaapna kiya uske chaabiyon aur adhikaaron, shaktiyon, aur purohiti ke pavitra shakti ke kriyaaon ke saath.

Hamare samay mein, jiwit bhavishyevaktaaen aur devdut ko bolne, sikhlane, aur raah dikhane ka adhikaar milta hai Pita Parmeshwar aur Prabhu Ishu Maseeh ke swikriti se. Uddhaarkarta ne Bhavishyevakta se kaha Woh Apne baaton ke liye kisi se chama nahin chahata, aur bhale hi swarg aur dharti khatm ho jaaye, Unka kaha khatm nahin hoga, magar sab sampurn hoga. Aur chaahe woh unke hi aawaaz se sampurn ho ya Unke sewakon ke aawaaz se, woh ek jaisa hai” (D&C 1:38).

Saal mein do baar maha sammelan mein, hamein is mauke ka ashirvaad milta hai Unke sewakon ke dwara Prabhu ka kaha sunne ke liye. Yeh ek bahut anmol saobhaagye hai. Magar us mauke ka mol is baat par nirbhar hai ki hum in baaton ko usi Aatma se apnaaye jisse woh kaha gaya tha. (dekhiye D&C 50:19–22).

“Apna Homework Kijiye”

Kayi saal pehle Barah Devduton ke Parishad ka ek sadasye ne mujhe ek sammelan bhaashan ko padhne ko kaha jo woh maha sammelan ke liye tayyaar kar raha tha. Mai parishad ka chota sadasye tha. Mujhe garv hua ki usne mujhe chuna tha un Prabhu ke laayak shabdon ko dhoondhne ke liye. Usne mujhse muskuraate huwe kaha, “Oh, yeh to bhaashan ka 22nd draft hai.”

Mujhe ek pyaar karne waale aur dayalu Pradhaan Harold B. Lee (1899–1973) ka aadesh yaad aaya jo usne mujhe pehle diya tha bahut zor daalte huwe: “Hal, agar tumhe praktikaran chahiye, apna homework karna.”

Maine us 22nd draft ko padha, us par vichaar kiya, aur prarthna kiya. Maine Pavitra Aatma ke prabhaao par bahut adhyan kiya. Jab us parishad sadasye ne apna bhaashan diya, maine apna homework kar liya tha. Mujhe nahin pata ki kya maine koi madad kiya, magar mai jaanta hoon ki bhaashan sunne ke baad mujhmein pariwartan aaya. Mujhe ayse sandesh aaye jise maine na padha tha aur usne kaha bhi nahin tha. Shabdon mein draft mein padhe gaye cheezon se bhi zyaada arth tha. Aur sandesh laga ki mere hi liye tha, meri zarooraton ke khaatir.

Parmeshwar ke sewak upwaas aur prarthna karte hai taaki woh jaan sake Woh kaun sa sandesh dena chahata hai un logon ko jinhe praktikaran aur prerna ki zaroorat hai. Maine us anubhav, aur kayi anye anubhavon se seekha, ki jiwit bhavishyevaktaaon aur devduton se sunne ka badhiya faeda hai, ki hum khud praktikaran praapt kar lete hai.

Prabhu har us vyakti se prem karta hai jo Unka sandesh sunega, aur Woh har ek dilon aur paristhitiyon ko jaanta hai. Woh jaanta hai anant jiwan ke maarg ko chunne ke liye har ek vyakti ko kya sudhaar, kya protsaahan, aur kya susamachaar ki sachchaai ki avashyakta hai.

Hum sab jo maha sammelan ke sandeshon ko sunte aur dekhte hai kabhi kabhi baad mein sochte hai, “Mujhe kya achchi tarah yaad hai?” Prabhu ki aasha hum sab ke liye hai ki hamara jawaab hoga: “Mai un chanon ko kabhi nahin bhulunga jab maine Aatma ki aawaaz ko apne mann aur dil mein mehsoos kiya tha mujhe batlaate huwe ki mai apne Swarg ke Pita aur Uddhaarkarta ko prasann karne ke liye kya kar sakta hoon.”

Hum us niji praktikaran ko praapt kar sakte hai jab hum bhavishyevaktaaon aur devduton se sunte hai aur jab hum vishwaas ke zariye use paate hai, jaise Pradhaan Lee ne kaha hum paa sakte hai. Mai anubhav se aur Aatma ke gawahi se jaanta hoon ki yeh sach hai.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Eyring ke kahani ko zor se padhne ki sochein jismein usne apne parishad sadasye ke sammelan bhaashan ka draft ko padha tha. Tum shaayad puchoge, “Praktikaran paane ka keemat kya hai?” Apne charcha ke baad, tum bhent karne waalon se kahoge ki woh sochein aur ek yojna ko amal mein laaye taaki woh aane waale maha sammelan sandeshon ko paa sakein “Aatma ke prabhaao ke niche jaise [Parmeshwar] ke sewakon ko diya gaya tha.”