2016
Humare Pita, Humare Salaahakaar
June 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, June 2016

Humare Pita, Humare Salahakaar

Kya tumne kabhi ek bhara hua baksa se jodhne waale bhaagon ko khola hai, jodhne ke maagdarshan ko nikaal kar dekha, aur socha hai, “Ki yah kisi matlab ka nahi hai”?

Kabhikabhi, humare pure chamta aur bhitari aswaasan ke bawaajood, hum ek bhaag nikaaltein hain aur puchtein hain ki, “Yah kis liye hai?” ya “Kis tarah yah saath judega?”

Humari nirasha badhti rahati hai jab hum bakse ko dekhtein hain aur us tyaag ko dekhtein hain jismein likha hua hota hai, “Aath—saal aur upar ke liye hai.” Kyunki humare paas abhi bhi koi pata nahi hai, ismein humari jaankaari ya humari atam-nirbharta nahi hai.

Kabhi kabhi humare pass is tarah ka anubhao susamachaar ke saath bhi hota hai. Jab hum us ke kuch bhaag ko dekhtein hain, hum apne sir ko khujatein hain aur yah sochtein hain ki kis bhaag ka hain. Ya jab hum dusre bhaag ki khojh kartein hain, hume yah pata chalta hain ki bhle hi puri koshish karletin hain, hum yah nahi jaan paatein hain ki kyun is bhaag ko shaamil kiya gaya hai.

Humare Swargya Pita Humare Salaahakaar Hain

Saobhaagye se, humare Swargya Pita ne hume humare jiwan ko nirmaan karne ke liye aur hamein khud ko sabse achcha banane ke liye ashchariye maargdarshan ko diya hai. Yeh maargdarshan humare kisi bhi umar ko lekar ya sitithi par lagu hota hai. Usne hume susamachaar aur Ishu Maseeh ka Girjaghar diya hai. Usne hume mukhti ki yojna, safalta ki yojna, khushhaali ki bhi yojna ko pradaan kiya hai. Usne hume mushkilon ya jiwan ke chunaotiyon mein akela nahi choda hai, kahatey hue, “Ab tum jaao. Kaamyaab raho. Khudh pata lagao.”

Agar hum sirf shaanti dhare aur ek vinamar hriday aur ek saaf mann se dekheinge, hum yah jaanege ki Parmeshwar ne hume kai aozaar pradaan kiya hai humare jiwan mein Uske pure niyamon ko achchie tarah se samajh kar khushiyon ko paane ke liye.

  • Usne Pavitra Aatma ka anmol uphaar diya hai, jo hume veyaktigat swargya shikshak ki tarah chamta deta hai, jab hum Parmeshwar ki vaani ko sikhtein hain aur apne soch aur kaarye ko Uske vaani ke saath jodte hain.

  • Usne hume 24/7 ka samay diya hai Usse baatein karne ke liye vishwaas bhare prarthna aur sachche iraade ke dwara.

  • Usne hume naya-din ke devdut aur bhavishyevaktaon ko diya hai, jo humare samay mein Parmeshwar ke vaani ko batlaatein hain aur unko adhikaar hai dharti aur swarg mein baandhne aur seal karne ka.

  • Usne Apne Girjaghar—ek vishwaasiyon ka sangahan ko punaharsthaapit kiya hai jo saath kaam kartein hain ek dusre ki madad ke liye jab weh apne mukhti ke liye kaarye kartein hain dar, dagmagaatey, aur kabhi khushi kabhi gam ke saath.1

  • Usne hume pavitra dharamshaastra ko diya hai—Uske likhe gaye vaani hamare liye.

  • Usne naye teknology ke anginit aozaaron ko humare chelatav ke raastey mein madad ke liye diya hai. In mein se kai ashchriye aozaaron ko LDS.org par paa saktey ho.

Kyo humare swargya Pita ne hume itna madad kiya hai? Kyunki Wah hume prem kartein hain. Aur kyunki, Usne Khudh hi batlaya hai, “Yah mera kaarye aur mera mahima hai—insaan ke jiwan ko maranshilta aur anantta tak pahuchane ka.”2

Dusre shabdon mein, Swargya Pita humare Parmeshwar hain, aur Parmeshwar humare liye salaahakaar hai.

Swarg mein rahane waale humare Pita Apne bachchon ke zarooraton ko kisi aur se bhi ziyada jaantein hain. Yah Uska kaarye aur mahima hai hume sabhi samay madad karne ka, hume ashchariye sharirik aur dhaarmik saadhanon ko diya hai humari madad ke liye Uske paas waapis jaane ke raastey mein.

Sabhi Pita Ek Salahakaar Hai

Duniyabhar ke kuch bhaag mein, pitaaon ko June ke mahine mein privaaron aur sangathanon dwara sammaan pradaan kiya jaata hai. Sabhi samay achcha hai apne mata-pitaaon ka sammaan aur izzat karne ka. Pitaein apne parivaaron ke liye kai achche aur kai laayak kaarye ko kartein hain. Do sabse zaroori karye unke bachchon ke jiwan mein pitaaon ka hai ek achcha uddhaaran aur salaahakaar hona. Pitaaien apne bachchon ko achcha aur galat se ziyada batlaatein hain; weh unke liye bahot hi ziyada kartein hain aur asha kartein hain ki apne aap ko jiwan ke laayak banaye.

Pitaaein apne amnol bachchon ko salaaha detin hain aur apne uddhaaran se ek sachche jiwan ko jeene ka raasta dikhlaatein hain. Pitaaein apne bachchon ko akela nahi chodhtein hain parantu turant madad kartein hain, unko apne paaron par khade hone ke liye jab kabhi bhi weh dagmagaatein hain. Aur kabhikabhi jab gyaan detein hain, pitaaen apne bachchon ko kathinnaaiyon se guzarne detein hain, yah batlaane ke liye ki yah sabse achcha tarika hoga unko sikhane ka.

Hum Sabhi Salahakaar Hai

Jabki dharti ke pita apne khudh ke bachchon ke liye yah kartein hain, aatma ki salaaha hai jo sabhi Parmeshwar ke bachchon ke liye zaroori hai, kisi bhi umar, ya sthaan ke liye. Yaad rakho, Parmeshwar ke bachchein humare bhaai aur bahanein hain; hum sabhi anant parivaar ke sadasye hain.

Is tarah se, hum sabhi ko salaahakaar hona chahiye ek dusre tak pahuchne mein aur apne aap ko sabse achcha banane ki madad mein. Kyunki hum Parmeshwar ke bachchein hain, humare paas chamta hai Uski tarah banne ka. Parmeshwar aur apne bhaaiyon se prem karne se, Parmeshwar ke aagyaaon ka paalan karne se, aur Maseeh ke uddhaaran par chalna humare swargya maata-pita ke paas waapis jaaane ka seedha, saral, aur khushaal raasta hai.

Agar duniya ka Parmeshwar humare baare mein itna dekhbhaal karta hai ki Wah humare liye ek salaahakaar hai, shaayad hum bhi apne logon tak pahunch saktein hain, unke rang, jaat, aokaad stithiyon, bhaasha, ya dharam ke bawaajood. Hume prerna bhare salaahakaar banna chahiye aur dusron ki jiwan ko ashirwaad dena chahiye—naaki sirf apne khudh ke bachchon ko parantu duniyabhar ke Parmeshwar ke bachchon ko bhi.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Tum shayad jise sikhlaate ho ko yah puchne se shuruwaat karna chahoge ki us pal ko yaad karo jab swargya Pita ne unhein salaaha diya tha. Tum phir unse yah puch saktey ho ki us palon ko yaad karo aur jab unke jiwan dene waale pita se salaaha praapt hua tha ke pal ko jo unhone mahesoos kiya tha mein kya antar hai. Tum unhein chunaoti de saktey ho us cheezon par amal karne ke liye jo unhone likha tha dusron ke liye achcha uddhaaran banne ki kosish mein ko karne ke liye.