2016
Mandir Dharamsiddhantein aur Vaadein
June 2016


Shikshan Sandesh Bhent, June 2016

Mandir Dharamsiddhatein aur Vaadein

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kaise “Parivaar: Duniya ke liye Ek Aupchaarik Ghoshna” ko samajhne se Parmeshwar mein tumhara vishwaas badhega aur tumhein shikshan bhent ke zariye dekhbhaal karne mein madad karega? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Niwaran aur mukti ke liye sabhi zaroori siddhaanton ko Parmeshwar ke vaadon mein paaya jaata hai. “Vaadon ko banane aur nibhaane ka matlab hai ki humare swargya Pita aur Ishu Maseeh ke kareeb khudh ko le jaana,” Linda K. Burton, Sahayak Sanstha maha adhyaksh ne kaha.1

Barah Devduton ke Parishad Elder Neil L. Andersen ne kaha, “Prabhu ne kaha hai, ‘Dharamsiddhaanton mein … parmeshwartav ki shakti dekha ja sakta hai.’

“Yaha par sabhi laayak insaan ke liye Parmeshwar khaas ashirwaad deta hai jo baptisma le chukein hain, Pavitra Aatma ko praapt kartein hai, aur humesha prabhubhoj ko letein hain.”2

“Jab aadmi aur mahila mandir jaatein hain, “Barah Devduton ke Parishad Elder M. Russell Ballard ne kaha, “weh dono ek hi shakti mein bandh jaatey hain, jo purohiti shakti hai …

“… Sabhi aadmi aur sabhi auraton ko unke jiwan mein is shakti se madad milti hai. Sabhi jinhonne Prabhu ke saath pavitra vaadon ko bananya hai aur jo un vaadon par chaltein hain ko veyaktigat praktikaran praapt hota hai, dekhbhaal karne waale dut ashirwaad detein hain, Parmeshwar se waartalaabh karne ka, pure susamachaar ko jaane ka, aur, ant mein, Ishu Maseeh ke saath humare Pita ke saath sabhi samay rahana.”3

Anye Dharamshaastra

1 Nephi 14:14; Doctrine and Covenants 25:13; 97:8; 109:22

Jiwit Kahaniyaan

2007 mein, Peru mein ghambheer bhookhamp ke chaar dinon ke baad, Sattar ke Elder Marcus B. Nash ne shaakha pradhaan Wenceslao Conde aur uski patni, Pamela se mila. “Elder Nash ne Bahan Conde se pucha ki uske chote bachche kaese the. Muskuraahat ke saath, usne jawaab diya ki Parmeshwar ki ashirwaad ke saath weh sabhi surakhchit aur achche the. Usne Condes’ ke ghar ke vishye mein pucha.

“‘Ab nahi hai,’ usne saralta se kaha.

“… ‘Aur phirbhi,’ Elder Nash ne kaha, ‘jab ki hum baatein kar rahein hain tum muskura rahi ho.’

“‘Ha,’ usne kaha, ‘maine prarthna kiya aur mujhe shaanti mili. Humare paas sabhi kuch hai jo hume zaroorat hai. Hum sab ke saath hain, humare paas humare bachchein hain, hum mandir mein bandh chukein hain, humare paas yah mahaan Girjaghar hai, aur humare saath Prabhu hai. Hum Prabhu ki madad se dobara bana saktein hain.’ …

“Kya hai wah Parmeshwar ke saath vaadon ko banane aur nibhaane se jo hume humare musibaton ke samay par bhi hume muskuraane ki shakti pradaan karta hai, musibaton ko safalta mein badalne ka … ?”

“Parmeshwar buniyaad hai. Us shakti ko paane ke liye Uske saath banaye hue vaadon par chalo.”4

Vivaran

  1. Linda K. Burton, “The Power, Joy, and Love of Covenant Keeping,” Liahona, Nov. 2013, 111.

  2. Neil L. Andersen, “Power in the Priesthood,” Liahona, Nov. 2013, 92.

  3. M. Russell Ballard, “Men and Women in the Work of the Lord,” Liahona, Apr. 2014, 48–49.

  4. Dekhiye D. Todd Christofferson, “The Power of Covenants,” Liahona, May 2009, 19, 20–21.

Yeh Sochiye

Kis tarah mandir ke dharamsiddhant aur vaadein humein mazbooti aur shakti pradaan kartein hain?